BETAABi !!!

by nirbhay on September 27, 2006, 07:37:37 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2082 times)
nirbhay
Guest
Reply with quote
Rokte Rokte na Rok saka, usse qaid mai na kar saka
Na Dil ki Baat Suna saka,  na Dil ki Khuwaish bata saka

Wo thi nahi pass mere par soch mai thi har ghadi
Na us ko mai bhula saka, na apne pass bula saka

Socha buhat ke baat karu, Uske Haal-e-Dil ko Eh-Tiyaat Karun
Na batein uski sun saka, na Kissey apne suna saka

Yaad mai hai wo aik lamha, jo bus yaad bhan ke reh gaya
Na usko mai thaam saka, na Dil ki aag bujha saka

Es Hajom-e-duniya mai usko bhi hai Talab shayad
Na phir wo mujhe dhoond sakii, na pata mera chala saka

Mai bi kho gayaa is duniya ke Meley Mein
NA MANZIL APNI PA SAKA, NA HUM-SAFAR APNA SAKA!
(MDFD)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
--- /// Milan se pehle ki betaabi /// ----- by ~Hriday~ in Miscellaneous Shayri
betaabi dil ki by Arushi Goyal in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: September 28, 2006, 05:02:23 AM »
Reply with quote

Nice one Nirbhay... =D>
What is (MDFD)Huh? Puzzled !
[/b]
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #2 on: September 28, 2006, 06:47:29 AM »
Reply with quote
wah wah nirbhay ji bahut khoob...........
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: September 28, 2006, 08:03:03 AM »
Reply with quote
good one Neer.

aur shikha ji MOFD matlab  -  MODIFIED....
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #4 on: October 01, 2006, 05:58:46 PM »
Reply with quote
Shukriya Everyone..


Shamaa Jalti Rahi Hum Pighalte Rahe,
Dekho Raat dhalne lagi hum machalte Rahe

Eik taraf baadalon pe tha roshni ka suroor,
Aur yahan karwatein hum badaltey Rahey..

Uss Shab-e-Hijr mein yoon to tanha they Hum,
Aake palkon pe wo sath chaltey Rahey

Khwaab Ke safar mein aaur kya kya hua Kya kahun,
Dhadkane badh gayi hum Jhijhakte Rahey

Dekhtey Dekhtey faaasle fhir ghaat gaye,
Sardiyoon ka mausam tha aur hum sulagtey Rahey

Baadi Dilchaspi se Chalta raha Ye silsila raat bhar
Betaabiyan badhti rahi, hum subeh ka intezar kartey Rahey
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: October 01, 2006, 06:32:49 PM »
Reply with quote
wow thats good dear..
Logged
roshni246
Guest
«Reply #6 on: October 01, 2006, 08:12:59 PM »
Reply with quote
ansun jo berahey hain inhe aaj behne do....
yeh dil ki dastan sunate hain...sunane do...

bohot pyaar hai jaan is dil mein yakeen karlo...
aaj yeh mohobbat ka bayan saare aam hojane do...

bewafa nahi hum...takdeer k haathon majboor the...
sachai ko aaj unki rooh mein utar jane do....

hai unhe bhi ishq humse najane kyu itrate hain...
aye sanam aaj dil-o-jaan ko ek hojane do....

karte hain hum be-inteha mohobbat tumse ....
aaj Shama-e-tamanna ko chiragan ho jane do...

chandni ko naaz hai k wo apne chand k kareeb hai...
aj hume apne be daag chand mein samane do....


~roshni~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: October 03, 2006, 05:20:06 PM »
Reply with quote
Kaise bataun main tumhe
mere liye tum kaun ho,
tum dhadkano ka geet ho,
jeevan ka tum sangeet ho,
tum zidnagi tum bandagi,
tum roshni tum taazgi,
tum har khushi tum pyaar ho,
tum preet ho manmeet ho,
aankhon mein tum yaadon mein tum,
sanson mein tum aahon mein tum,
nindon mein tum, khwabon mein tum,
tum ho meri har baat mein,
tum ho mere din raat mein,
tum subah mein tum shaam mein,
Tum soch mein tum kaam mein,
mere liye paana bhi tum,
mere liye khona bhi tum,
mere liye hasna bhi tum,
mere liye rona bhi tum,
aur jaagna sona bhi tum,
Jaun kahin dekhun kahin,
tum ho wahan, tum ho wahin,
kaise bataun main tumhe,
tum bin to main kuch bhi nahi,
kasie bataun main tumhe,
mere liye tum kaun ho,
yeh jo tumhara roop hai,
ye zindagi ki dhoop hai,

kaise bataun main tumhe
haalaat dil-e-betaab ke,
kaie bataun main tumhe
mere liye tum kaun ho,
mere liye tum mazhab ho
mere liye tum imaan ho,
tum hi ibaadat ho meri,
tum hi to chahat ho meri,
tum hi mera armaan ho,
takta hoon main har pal jise
tum hi to wo tasveer ho,
tum hi meri takdeer ho,
tum hi sitara ho mera,
tum hi nazara ho mera,
Is zindagi ka guzara ho tum,
mere liye raasta bhi tum,
mere liye manzil bhi tum,
mere liye sagar bhi tum,
mere liye saahil bhi tum,
main dekhti bas tumko hoon,
main sochti bas tumko hoon,
main jaanti bas tumko hoon,
tum hi meri pehchan ho,
kaise bataun main tumhe,
khuda ho tum mere liye,
mere liye kaynaat ho...
* * * * *
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #8 on: October 11, 2006, 07:11:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "angel4u"
Kaise bataun main tumhe
mere liye tum kaun ho,
tum dhadkano ka geet ho,
jeevan ka tum sangeet ho,
tum zidnagi tum bandagi,
tum roshni tum taazgi,
tum har khushi tum pyaar ho,
tum preet ho manmeet ho,
aankhon mein tum yaadon mein tum,
sanson mein tum aahon mein tum,
nindon mein tum, khwabon mein tum,
tum ho meri har baat mein,
tum ho mere din raat mein,
tum subah mein tum shaam mein,
Tum soch mein tum kaam mein,
mere liye paana bhi tum,
mere liye khona bhi tum,
mere liye hasna bhi tum,
mere liye rona bhi tum,
aur jaagna sona bhi tum,
Jaun kahin dekhun kahin,
tum ho wahan, tum ho wahin,
kaise bataun main tumhe,
tum bin to main kuch bhi nahi,
kasie bataun main tumhe,
mere liye tum kaun ho,
yeh jo tumhara roop hai,
ye zindagi ki dhoop hai,

kaise bataun main tumhe
haalaat dil-e-betaab ke,
kaie bataun main tumhe
mere liye tum kaun ho,
mere liye tum mazhab ho
mere liye tum imaan ho,
tum hi ibaadat ho meri,
tum hi to chahat ho meri,
tum hi mera armaan ho,
takta hoon main har pal jise
tum hi to wo tasveer ho,
tum hi meri takdeer ho,
tum hi sitara ho mera,
tum hi nazara ho mera,
Is zindagi ka guzara ho tum,
mere liye raasta bhi tum,
mere liye manzil bhi tum,
mere liye sagar bhi tum,
mere liye saahil bhi tum,
main dekhti bas tumko hoon,
main sochti bas tumko hoon,
main jaanti bas tumko hoon,
tum hi meri pehchan ho,
kaise bataun main tumhe,
khuda ho tum mere liye,
mere liye kaynaat ho...
* * * * *


ati sunder angel ji..........bahut khoob neer ji & roshni ji.........
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #9 on: October 11, 2006, 08:15:31 AM »
Reply with quote
Shukriya GeSu Jee.!!

Kya Khaa Liye aaj Breakfast mein ? Maar Shayari waayri ho rahi hai :lol:
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #10 on: October 11, 2006, 08:18:39 AM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"
Shukriya GeSu Jee.!!

Kya Khaa Liye aaj Breakfast mein ? Maar Shayari waayri ho rahi hai :lol:


woh subah subah chaaye ki jagah siyaahi pee li thi :lol:
Logged
Arushi Goyal
Guest
«Reply #11 on: June 01, 2013, 12:24:09 PM »
Reply with quote
kya baat hai nirbhay ji... bahut vadia....  Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 05, 2024, 01:33:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer