chand tum aur main

by tabassum shakeel on June 14, 2006, 04:42:59 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 7775 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #30 on: June 19, 2006, 08:08:16 AM »
Reply with quote
wah ...

vo rona bhi kya rona tha
jab ham saath rote the
hansi se badh ke rona tha
jab ham saath rote the
hain teeno hi  juda ab
chaand tum aur main
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
""Jab Serd Bhoji Si Ratoon Main Tum Chand Ko Tanha by qakhs in Shayri for Khumar -e- Ishq
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
chand lamhon main by assi in Ghazals
Chand Aur Main ..! by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
Main Aur Chand! by Shireen Hakani in Shayri for Dard -e- Judai
PREMANSHU
Guest
«Reply #31 on: June 19, 2006, 08:15:06 AM »
Reply with quote
Aksaar Log Bhisadkar Hassi ko yaad karte hain
Saath bitaye jo acche pal unke wapas aane ki faryaad karte hain
Rakte hain magar Dil me sambhalkar Rone ki bhi yaadein
Chaand Tum aur Main

Chahe saath mil kar rone hi paade
Zindaji ke Zeher ko peena hi pade
Phir bhi har pal milne ki umeed kiya karte hain
Chaand Tum aur Main . . .
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #32 on: June 19, 2006, 11:27:42 AM »
Reply with quote
hai ikbagh hamara yaade guzishta
ki jisme tahlte aaahista aahista
karen zikr baaten purani purani
lage raat hamko suhani suhani
hain kitne aaj khush
cchaand tum aur main..................
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #33 on: June 19, 2006, 01:08:20 PM »
Reply with quote
Raat Ka Suhana Sama aur Tanhai
Mausam ke chehre par TABASSUM
Ek ajeeb se madhoshi hai Chaai
Aur iss PREM ki madhosi mein hain gumm

Chaand Tum aur Main . . .
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #34 on: June 19, 2006, 02:43:04 PM »
Reply with quote
dil me laakhon chahate thin
sekdon hi rahaten thi
ab koi na aarzoo
aur na koi justju hai
yunhi bas chale hi jaa rahe hain
chaand tum aur main..............
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #35 on: June 19, 2006, 03:21:56 PM »
Reply with quote
Chalna hi naseeb ban gaya hai
Bina kisi Manzil Chale Ja rahe Hain
Ek nayi manzil banane ke liya
Talash Naye Raston ki kiye ja rahe hain

Chaand Tum aur Main . . .
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #36 on: June 20, 2006, 04:58:58 AM »
Reply with quote
very nice all
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #37 on: June 20, 2006, 05:29:36 AM »
Reply with quote
hain  kitne ab akele
 chand tum aur main
hain saathi raat ke bas
 chand tum aur main
kabhi aisa bhi ho
ik khwab hai apna
ki sab hi muskuraen
chaand tum aur main
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #38 on: June 20, 2006, 06:04:39 AM »
Reply with quote
Saath Jab hai hardum
Toh phir kyon ho gum
Muskrane ka khwab jo dekha hai
Raat ke andere mein Aftaab dekha hai
Aftaab ki roshni se Andere ko dur hatenge
Ab chaahe kuch bhi ho har dam Muskraenge

Chaand Tum Aur Main . .  .
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #39 on: June 20, 2006, 01:35:55 PM »
Reply with quote
hai itne khushnaseeb kya chaand tum aur main?
kabhi kya hans sakenge chaand tum aur main?
andheron ka naseeba chaand tum aur main.
subah se hi hain darte chaand tum aur main.
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #40 on: June 21, 2006, 06:46:09 AM »
Reply with quote
Us Khuda ki Kaynaat Kabhi toh zaroor badlegi
Badnaseeb hai jo Takdeer Kabhi toh badlegi
Kisi na kisi Din Toh zaroor Has Paenge
Subah se zyaada Roshini Duniya ko Dikhaenge
Chaad Tum aur Main . ..

C'mon yaar ek subah to humari bhi hogi Usual Smile
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #41 on: June 21, 2006, 07:20:05 AM »
Reply with quote
dil aaj bahut hai khush mera aisi hi khabar kuchh aai hai
ik lambi khamoshi ke baad ek sada kahin se aai hai
chalo mil ke khushi manaen ham
chaand tum aur main...................
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #42 on: June 21, 2006, 07:34:36 AM »
Reply with quote
Kya baat hain..Excellent...Tabassum ji toh dhuadhaar form mein hain...Ek k baad ek shayari likhi jaa rahi hain...
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #43 on: June 21, 2006, 07:48:29 AM »
Reply with quote
Rahein har dum Khushiyon ke yeh mele
Hai dua rahein ab kabhi bhi na akele
De hamesha PREM ki sada sunai
Har Pal Haste aur Hasate rahein
Chaand Tum Aur Main . . .


Gud 2 c u happy after long time Usual Smile
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #44 on: June 21, 2006, 01:51:07 PM »
Reply with quote
Quote from: "shayar_dildaar"
Kya baat hain..Excellent...Tabassum ji toh dhuadhaar form mein hain...Ek k baad ek shayari likhi jaa rahi hain...


 :lol:  :lol:  :lol: thanx sd ji
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 11:42:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer