chand tum aur main

by tabassum shakeel on June 14, 2006, 04:42:59 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 7730 times)
tabassum shakeel
Guest
Reply with quote
nahi koi chahiye jab saath me hain chand tum aur main
andhera kyun vahhan jab sath me hain chand tum aur main

safar har khush numa hai rasta kitna bhi lamba ho
dilon se khush vo badhate ja rahe hain chand tum aur main

garahan aane se bashak duniya se door ho hi jaate hain
magar tab bhi to sang hain chand tum aur main

us jalte suraj se door hai apni ye sard duniya
isise khush hain rahte chand tum aur main

ye duniya khoobsurat hai jahan pe aa base hain ham
nahi koi aur hai bas chand tum aur main

vo din ki talkh tapish duniya ki berahmi aur baaten
ham is raat me hanste rahe hain chand tum aur main
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
""Jab Serd Bhoji Si Ratoon Main Tum Chand Ko Tanha by qakhs in Shayri for Khumar -e- Ishq
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
chand lamhon main by assi in Ghazals
Chand Aur Main ..! by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
Main Aur Chand! by Shireen Hakani in Shayri for Dard -e- Judai
TOUCHY
Guest
«Reply #1 on: June 14, 2006, 05:07:25 PM »
Reply with quote
WoW!! bahut hi Achha Likha hai Aapne...
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #2 on: June 14, 2006, 05:30:07 PM »
Reply with quote
Haanstay Haanstay Roo Perhty Thi
Kitny Pagal Wo Larki Thi


Us K Hoont To Chup Rehtay Thay
Aankho Se Baatain Karty Thi


Chat Per Dhoop Mian Baithay Baithay
Din Bhar Wo Sapnay Bunty Thi


Uljhi Yaadain Suljhanay Main
Saari Raat Ganwa Dete Thi


Kitna Tha Thehraoo Us Main
 Lekin Wo Kitny Gehri Thi


Ek Din Chaltay Chaltay US Nai
Mujh Se Koi Baat Kahi Thi


Aur Phir Raasta Ek Nahy Tha
Us Ki Manzil Aur Koi Thi

Bilkul Waisay Phool Khilay Hain
Jaisay Wo Haansty Rehty Thi


Aab To Bhool Giya Houn Shaid
Us Per Ek Ghazal Likhi Thi
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #3 on: June 14, 2006, 07:01:16 PM »
Reply with quote
wah touchy wah aapka to jawab hi nahi yani ya to likhna nahi likhna to bas bahut hi achcha likhna

arz kiya hai
 
jis ladki ki baat ho karte
vo sach me bilkul aisi thi
chand ko dekhke vo roti thi
tum ko dekhke muskati thi
sabse alag raha karti thi
 phoolon se baaten karti thi
titali yan uski sakhi saheli
tare sare uske saathi
tum dono ka sath anutha
 saath saath achche lagte the
vo tum se ye kah na paai
uski bhi koi majboori thi
tum se door kahin rahti hai
tum ko sapno me rakhti hai
tumne jo vo gazal likhi thi
aaj bhi usko vo gungunati hai
rote rote hans deti hai
hanste hanste ro deti hai
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #4 on: June 14, 2006, 07:06:18 PM »
Reply with quote
Quote from: "tabassum shakeel"
wah touchy wah aapka to jawab hi nahi yani ya to likhna nahi likhna to bas bahut hi achcha likhna

arz kiya hai
 
jis ladki ki baat ho karte
vo sach me bilkul aisi thi
chand ko dekhke vo roti thi
tum ko dekhke muskati thi
sabse alag raha karti thi
 phoolon se baaten karti thi
titali yan uski sakhi saheli
tare sare uske saathi
tum dono ka sath anutha
 saath saath achche lagte the
vo tum se ye kah na paai
uski bhi koi majboori thi
tum se door kahin rahti hai
tum ko sapno me rakhti hai
tumne jo vo gazal likhi thi
aaj bhi usko vo gungunati hai
rote rote hans deti hai
hanste hanste ro deti hai


Bahut khooob tabassum Jee.......Superbb
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #5 on: June 14, 2006, 07:11:02 PM »
Reply with quote
aapki zyada achchi hai
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #6 on: June 14, 2006, 07:27:21 PM »
Reply with quote
Aapki toh Aadat hai Tareef karne ki........Aur Khoobsoorat likhne ki.
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #7 on: June 14, 2006, 07:50:52 PM »
Reply with quote
ji ye hamari nahi aapki aadat hai.......

tanha tanha rahte ho
kam kam zara tum likhte ho
lekin jab jab likhte ho
sab se achcha likhte ho
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #8 on: June 18, 2006, 08:47:10 AM »
Reply with quote
hain kitne ab akele chaand tum aur main
sabhi hi ghamzada hain chand tum aur main
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #9 on: June 18, 2006, 09:41:09 AM »
Reply with quote
wah tabassum and touchy dono ne bahoot hi acha likha hai
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #10 on: June 18, 2006, 09:42:46 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pankhuri2"
wah tabassum and touchy dono ne bahoot hi acha likha hai


Thanks Pankhuri Jee.
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #11 on: June 18, 2006, 12:13:35 PM »
Reply with quote
shukriya pankhuri touchy hamesha bahut achcha likhte hain
par zara kam likhte hain
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #12 on: June 18, 2006, 12:28:35 PM »
Reply with quote
Good Work All of You . . .
 
Kaun hain jo har dum saath rahenge
Chaand Tum aur Main

Har pal har gadi ek duje se pyaar karenge
Chaand Tum aur Main

Es Jalim Duniya se mil kar ladenge
Chaand Tum aur Main

Raat ke andheron ko door yun Karenge
Chaand Tum aur Main

Jaamane ko PREM ki yaad hamesha denge
Chaad Tum aur Main
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #13 on: June 18, 2006, 12:53:50 PM »
Reply with quote
ye jaane chaand bhi kya cheez hai
jo saath hai mere
nahi ham dam koi jo saathye na ho
tum hamse door ho itna
ki bas ab kah nahi sakte
ye ham se door hokar bhi hame
 dikhta to rahta hai
mera hai ik sahara chand hi to
ki tum to door bas saalon se hi ho
kabhi bas saath me the
chaand tum aur main
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #14 on: June 18, 2006, 01:01:46 PM »
Reply with quote
Nice one . . .

Kya sama tha jab saath rehte the
Chaand Tum aur Main

Har raat der tak baat karte the
Chaand Tum aur Main

Kaise hota hai PREM Jaamane ko sikhate the
Chaand Tum aur Main

Aaj chahe hum Juda ho par ek-duje ko Yaad to karte hai
Chaand Tum aur Main. . . .
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 11:04:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.183 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer