**dil** RH's Collection

by Rajesh Harish on October 30, 2008, 11:07:41 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Author  (Read 6579 times)
Rajesh Harish
Guest
Reply with quote
Dil sambhalta hoon par sambahta nahi
Aap ko ek baar dekhne ki badi laalsa thi
Ho sake hamari galiyon  se guzarna sahi
Dil sambhal kar may chala jaunga kahin
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SMS collection 0.1 by murali in SMS , mobile & JOKES
My SMS Collection! by bybh in SMS , mobile & JOKES « 1 2 ... 116 117 »
JusT a Collection....!!! by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
SMS Collection by Masoom_Badmash in SMS , mobile & JOKES
SMS COLLECTION! by Masoom_Badmash in SMS , mobile & JOKES « 1 2  All »
Daredevil
Guest
«Reply #1 on: October 30, 2008, 11:09:03 AM »
Reply with quote
Barson ke baad dekha Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai per naam tha bhala saa

Ubroo khichey khichey sey Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see Lehja thaka thaka saa

Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa

Khawabon mein khawab Uss ke Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa

Pehley bhi zindagi mein kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin auron sey tha juda saa

Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey Dil tha dara dara saa

Ab such kahein tou yaaro Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat Aik waaqaya zara saa

Taywer thay berukhi key andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin lagta tha Aashna saa


NM
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: October 30, 2008, 11:11:26 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Rajesh ji

Nice sharing Rishi
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: October 30, 2008, 11:22:06 AM »
Reply with quote
Dil todhne wale tujhe dil doondh raha hai
Ab hume batao ki tumhara wada kahan hai
Jo tum ne kiya tha jab hum mile the paheli baar
Aaj toota dil lekar hum kar rahe hai tera intezaar
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #4 on: October 30, 2008, 11:25:53 AM »
Reply with quote
WOH MERA THA YEH BATANA AJEEB LAGTA HAI
AB US SE AANKH MILANA AJEEB LAGTA HAI

JO ZINDAGI MAI KABHI BHI MERA HO NA PAYA
AB US KA KHWAAB MAI AANA AJEEB LAGTA HAI

BARAY KHULOOS SE DAWAT TO US NE BHEJI HAI
PAR US KI MEHFIL MAI JANA AJEEB LAGTA HAI

THA JIS KA HAATH HAMESHA HAMARAY HAATHOO MAI
AB US SE HAATH MILANA AJEEB LAGTA HAI


NM
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: October 30, 2008, 11:36:50 AM »
Reply with quote
Dil lekar jab se tu gayee hai kuch soojhta nahi
Tardpan badh gayee hai tera dil roothne laga hai
Mera dil mujhe waapas kardo aur kuch chaha nahi
Jab tu bewafa hai to mere liye aur koi hoga kahin
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #6 on: October 30, 2008, 11:39:29 AM »
Reply with quote
Aiy mairy humnasheen chal kahen aur chal
iis chamn mein ab apna guzaraa nahey
baat hotii guloon tak to seh laitay hum
ab to kantoon pay bhi haq humara nahey
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: October 30, 2008, 11:42:50 AM »
Reply with quote
Dil diya tha yaar ko samajh kar may dildaar
Us ne usse phenk diya jaise tha wah bekaar
Ab to lagta hai yahan koi nahi hai madadgaar
Jinhe apna yaar samjha woh bhi nikla gaddaar
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #8 on: October 30, 2008, 11:43:52 AM »
Reply with quote
Teray firaaq key lamhey shumaar kartey howe
Bikhar chalein hein terra intazaar kartey howe

To mein bhii khush hoon koi uss sey gaa key keh denna
Agaar woo khush hey mujhey beqaraar kartey howey

Tumhein khabar he nahin key koi toot gayya
Muhabbatoon ko buhat paeydar karteey howey

Mein muskarata howwa aeenay mein ubhroon gaa
Wo roo parey gii acchanak singhar kartey howey

Mujhey khabar thi key abb loot kar naa aaoon gaa
Soo tujh koo yaad kia dil pey war kartey howey

Woo keh rahhi theey samandar nahin aankhen hein
Mein unn mein doob gayya aetibaar kartey howey
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: October 30, 2008, 11:46:00 AM »
Reply with quote
Nice sharing Rishii
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #10 on: October 30, 2008, 11:46:34 AM »
Reply with quote
na hareef-e jaan, na shareek-e ghum
shab-e intizaar, koi to ho
kisay bazm-e shock main layain hum
dil-e bay karar koi to ho

kisay zindagee hay azeez ab
kisay aarzoo-aay shub tarab
magar aay nigaray wafa talab
tera aitabar koi to ho

kaheen tar-e daman-e gul milay
tu yeh maan lain k chamman khilay
k nishanay fasl-e bahaar ka
saray shakhsar koi to ho

yeh udaas udaas say bam-o-dur
yeh ujaar ujaar c rah guzar
chalo hum naheen na sahee magar
sarray koo-aay yaar koi to ho

yeh sakoon-e-jaan kee gharee dhalay
to charagay dil hee na bujh chalay
woh bala say ho ghum-e-ishq ya
ghum-e-rozgar koi to ho

sarray maqtalay shab-e-aarzoo
rahay kuch to ishq kee aabroo
jo naheen adoo to faraz tu
k naseeb-e-daar koi to ho


Thanku Sir Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: October 30, 2008, 11:58:44 AM »
Reply with quote
Tara ka tootna sabhi ne dekha
Dil ka tootna kisi ne na dekha
Ab hum jee kar kya karenge
Jab hamara dil hi toot gaya
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #12 on: October 30, 2008, 12:01:22 PM »
Reply with quote
main dhoubh jaoun teri ein jheel sii gahri ankhoun main
phir apni barbadi ka Eilzam teray nam kar doun

main apni Rouh koo teray Wajood mai bhar doun
phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun

tou mojhay mouhubat ka aghaz day sanam
main apnay payar ka anjam teray naam kar doun

mouhobatoun kay qaseeday likhoun teri sana mai
hazaron payar kay paygham teray naam kar doun

hou jis ka zikar mouhubaat kii har kahani mai
eik aysa payar ka paygham teray naam kar doun
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: October 30, 2008, 12:21:57 PM »
Reply with quote
Bahoot Badhiya Dono Ne Achcha Likha Hai,.
Good Going Yaar Yunhi Likhte rahiye,.
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #14 on: October 30, 2008, 12:44:50 PM »
Reply with quote
Yaadon Sey Rishta Kal Bhi Tha Yaadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha
Dil Afsurdaa Sa Aaj Bhi Hai

Tum Door Huvey Majboori Mein Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana
Ye Dil Ka Dar Vaa Aaj Bhi Hai

Woh Sahil Woh Mitti Geeli Mitti Ke Gharondey Sahil Per
Sahil Ki Bipherti Mojoon Se
Gharondon Ko Bachana Aaj Bhi Hai

Tum Khush Ruho Abaad Ruho Dil Apna Tu Barbaad Huva
Gham Dil ka Sahara Kal Bhi Tha
Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Aankhon Mein Jo Kal Tuk Tha
Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai

Ab Shikva Kisi Se Kya Karna Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmayaa Tha
Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai
NM
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 01:09:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer