Dil Se Nikle Kuchh Savaal....

by punam on June 08, 2008, 08:12:01 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2010 times)
punam
Guest
Reply with quote
Meri neend udaane waale
zara yeh batlaade tujhe neend aati hai ya nahin..

meri nigaahon se kabhi na hatne waale
zara yeh batlaade teri nigaahen mujhe dhoondti hain ya nahin..

din raat khwaabon men aane waale
zara yeh batlaade tere khwaabon men mera aana hota hai ya nahin...

mera chain churake bechain karne waale
zara yeh batlaade tu bhi mere liye bechain hota hai ya nahin..

mere dil men ghar kar ke rahne waale
zara yeh batlaade tere dil men mere liye jagah hai ya nahin...

meri zindagi men aake mujhe mujhi se churane waale
zara yeh batlaade teri zindagi men mujhe shaamil kar paaoge ya nahin...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hum Nikle Unki Gali Sey (SMS) by Ricky in SMS , mobile & JOKES
savaal ye hai kitaabo.n ne kyaa diyaa mujahko by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
tum itne bewafa nikle... by myheart_ursonly in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Ek Savaal....Ek Javaab by Ghayal in Shayri-E-Dard
Savaal (Raiyat) by dard-e-dil in Shairi - E - Zindagi
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: June 08, 2008, 08:55:13 AM »
Reply with quote
Meri neend udaane waale
zara yeh batlaade tujhe neend aati hai ya nahin..

meri nigaahon se kabhi na hatne waale
zara yeh batlaade teri nigaahen mujhe dhoondti hain ya nahin..

din raat khwaabon men aane waale
zara yeh batlaade tere khwaabon men mera aana hota hai ya nahin...

mera chain churake bechain karne waale
zara yeh batlaade tu bhi mere liye bechain hota hai ya nahin..

mere dil men ghar kar ke rahne waale
zara yeh batlaade tere dil men mere liye jagah hai ya nahin...

meri zindagi men aake mujhe mujhi se churane waale
zara yeh batlaade teri zindagi men mujhe shaamil kar paaoge ya nahin...

...

Wah kamaal ka likha hai punam dear.. Applause

 
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #2 on: June 08, 2008, 01:02:59 PM »
Reply with quote
pOONAM JI MERI EK POST LKHTA HU .. PER PYAAR KE LIYE NHI HAI.

tumhari need udaii hai per sota main bhi nhi..
meri nigahon mein bas gayi ho tumhe khota main bhi nhi.

sach kehta hu mere khwaboon mein roj tum aati nhi ho.
aapne paar ka kya hoga, sach mein tum batlati nhi ho.

tere dil mein reht hu per mere dil mein um reh sakti nhi.
rota hu zar-zar tum aapna mujhe keh sakti nhi....

soocha hu jub aapne bare mein t na jaagta na sota hu.
sach bolu to tere hi liye bechain bahut hota hu.

pyaar kerne ki kismat thi, hasil tumhe ker sakta nhi.
na reh paunga tere bina aur,tujhe khud me shamil bhi ker sata nhi
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #3 on: June 08, 2008, 01:07:03 PM »
Reply with quote
Meri neend udaane waale
zara yeh batlaade tujhe neend aati hai ya nahin..

meri nigaahon se kabhi na hatne waale
zara yeh batlaade teri nigaahen mujhe dhoondti hain ya nahin..

din raat khwaabon men aane waale
zara yeh batlaade tere khwaabon men mera aana hota hai ya nahin...

mera chain churake bechain karne waale
zara yeh batlaade tu bhi mere liye bechain hota hai ya nahin..

mere dil men ghar kar ke rahne waale
zara yeh batlaade tere dil men mere liye jagah hai ya nahin...

meri zindagi men aake mujhe mujhi se churane waale
zara yeh batlaade teri zindagi men mujhe shaamil kar paaoge ya nahin...


Wah wah waaaaah Punam  Applause Applause Dil se keh rahi hu bahut hi accha likha hai aapne...Keep up  Thumbs UP
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #4 on: June 08, 2008, 01:12:51 PM »
Reply with quote
pOONAM JI MERI EK POST LKHTA HU .. PER PYAAR KE LIYE NHI HAI.

tumhari need udaii hai per sota main bhi nhi..
meri nigahon mein bas gayi ho tumhe khota main bhi nhi.

sach kehta hu mere khwaboon mein roj tum aati nhi ho.
aapne paar ka kya hoga, sach mein tum batlati nhi ho.

tere dil mein reht hu per mere dil mein um reh sakti nhi.
rota hu zar-zar tum aapna mujhe keh sakti nhi....

soocha hu jub aapne bare mein t na jaagta na sota hu.
sach bolu to tere hi liye bechain bahut hota hu.

pyaar kerne ki kismat thi, hasil tumhe ker sakta nhi.
na reh paunga tere bina aur,tujhe khud me shamil bhi ker sata nhi

Bhandhu jee aapne bahut accha reply diya hai. Bahut bahut accha laga padkar.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #5 on: June 08, 2008, 01:16:22 PM »
Reply with quote
Mere dil se nikla hai ek sawal
Bichadne ke bavjood tera intezar kyu hai,
Koyi kuch bhi kahe tujhper aitbar kyu hai,
Meri jajbathon mein yeh kaisi tapish hai,
Kya baat hai kyu dil mera bekarar hai Huh???
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #6 on: June 09, 2008, 02:16:39 PM »
Reply with quote
tumhare jawab ka tumhe intzaar hai.
dil mein jo basa hai wo mera pyaar hai.
reh nhi paati ho humein chorker,
isliye dil aaj bhi bekarrar hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: June 09, 2008, 02:21:06 PM »
Reply with quote
nice Punam, Sonia nad Dost Kavi!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #8 on: June 09, 2008, 02:24:42 PM »
Reply with quote
kya hua pooja ji saath nhi dogi.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #9 on: June 09, 2008, 02:34:42 PM »
Reply with quote
tumhare jawab ka tumhe intzaar hai.
dil mein jo basa hai wo mera pyaar hai.
reh nhi paati ho humein chorker,
isliye dil aaj bhi bekarrar hai.

haha... lovely ..  Applause

 

Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #10 on: June 09, 2008, 02:57:04 PM »
Reply with quote
thank q ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: June 09, 2008, 03:06:00 PM »
Reply with quote
kya hua pooja ji saath nhi dogi.


Koshish karati hu.. chah kar bhi kafi waqat se khumar-e-Ishaq main likha nahi ja raha..

Dil-e-izhaar se kab hume inkaar hai
Dil main be-intahaan pyar hai
Tham kar kahin hath to chor na doge
Rah rah kar dil main yahi sawal hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #12 on: June 11, 2008, 02:41:39 PM »
Reply with quote
kyn aata hai ye sawaal pyaar mein,
aankhe taras jaati hai tere intzaar mein .
dooriyan rakhogi aur.. kitni humse
ki ab rukti nhi hai khumari humse khumaar mein
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #13 on: June 11, 2008, 03:03:33 PM »
Reply with quote
Koshish karati hu.. chah kar bhi kafi waqat se khumar-e-Ishaq main likha nahi ja raha..

Dil-e-izhaar se kab hume inkaar hai
Dil main be-intahaan pyar hai
Tham kar kahin hath to chor na doge
Rah rah kar dil main yahi sawal hai


Lovely... good lines pooja di
Logged
munirmansuriraja
Guest
«Reply #14 on: June 11, 2008, 03:46:04 PM »
Reply with quote
ye kaisi kashish hai in lamhon ki,
ki teri or khincha chala aata hoon,
har lamha meri rooh ko tadpata hai,
isiliye to fanaa-e-kabra par bhi,
 tera hi naam likha chala jata hoon
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 12:13:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.197 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer