Ishq sada se khubsurat hai..aye ishq teri har dil ko zarurat hai..ye khawab suhana har dil ne dekha...har dil ko tabir ki hasrat hai...shab o roz mien kahaan samaaye tu..tu har dil ki lamha lamha zarurat hai..ek tere hi dam se ye duniya khubsurat hai...
Tere lims ki khusbu ne mehkaya hai badan mera
Nafas nafas pe likha hai meine naam, sanam tera
Bistar ki silvatooN ko dekh ke hota hai yeh gumaN
Rha hai meri chahtooN pe har lamha, karam tera
Safar zindgi ka aur khushnumaaN ho jata hai tab
Milta hai jab mere kadmoN se aakar, kadam tera
Kis trah pehru tujhey khyaal yeh rehta hai mujhey
Tere hi sadke hua hai jaseey yeh, janam mera
Ishq ki intehaa bhalaa aur bhi kya hogi janemaaN
Tere dekhe se hi aata hai dum mein dum mera
Tere noor se hi hota hai ujala zindgi mein meri
Teri adyooN pe qurbaan hai yeh “HumTum” tera!!
[/color]
HumTum
Mujhe hairat hue aap ka fazal padh kar
quinki nazm aur gazal to kah nahin sakte un ke kuch usool hain kahin kuch hudood hain taba aazmaie karna acha hai. magar tukbandi bhi
lai aur sur mai huti hai. Maine yeh sirf isliye likah hai ke aap kuch samajhne ki koshish karte hain. Agar alfaz se khelne ke bajai unko tarteeb se bithain aur wazan ka khayal rakain to mumkin hai aik do qadam ki musafat tai hu sake warna loog milte gaye aur qafila banta gaya
lims to kucha hai hi nahin lams hai
lams mahsoos huta sungha nahin jata hai waise aap kuch bhi kar sakte hain jab aap ne khushbu aur mahak ka zikr kiaya hai to nafs nafs kahan fit hu ga to gul bute ,kalyan , shakh etc etc
isi tarah har shiar ko padhain
Aap isko dilse nalaga lain humne aik thread islah ki shuru ki thee woh yaad bash huye
zara talash gumshudha ho
ws javed