~~EK KHWAHISH HAI~~

by ANJALI33 on April 13, 2007, 03:43:37 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1761 times)
ANJALI33
Guest
Reply with quote
Ek khwahish hai, jhalak mil jaye us chehre ki,
ke is deedaar ke baad koi tamanna na rahe

Ek khwahish hai, us dil tak pohoche ye sadaayein,
ke do dilon ki dhakano mein koi doori na rahe

Ek khwahish hai, rishta jud jaye us naam se,
ke phir juda rehne ki koi majboori na rahe

Ek khwahish hai, woh pyar mile unse,
ke is dil ki koi aur aarzoo na rahe

Ek khwahish hai, woh haath thaam le is tarah,
ke phir is dil ki koi kamzori na rahe

Ek khwahish hai, tanhaii mein uska saath mile,
ke phir kisi mehfil ki zaroorat na rahe

Ek khwahish hai, maut aa jaye unki baahon mein,
ke phir zindagi se koi shikayat na rahe !!!

                       ~~ANJALI~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khwahish yeh hai keh tum say by ysiddiqi in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Khwahish by Gyan Prakash in Shayri-E-Dard
MILAN ki khwahish ...... mkv by mkv in Shayri for Khumar -e- Ishq
ek khwahish.... by roy in Share: Poetry of Pain
khwahish by pritam tripathi in Shayri-E-Dard
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #1 on: August 02, 2007, 06:07:20 AM »
Reply with quote
wah wah..
superb
akhiri 2 line to sabkuch keh gayin
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #2 on: August 02, 2007, 08:17:32 AM »
Reply with quote
wah kya baat hai anjali

Ek khwahish hai, ke laut aaye wo
ke phir intezar ki koi waaja na rahe

Ek khwahish hai, bhar jaye khushiyon se daman
ke kisi gham ki koi jaga na rahe

Ek khwahish hai, sang chale wo umar bhar mere
ke phir kisi aur ka aasra na rahe

Ek khwahish hai, poori hojaye her khwahish iss dil ki
ke phir koi KHUDA se iltaaja na rahe
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #3 on: August 02, 2007, 01:10:47 PM »
Reply with quote
wah coolgirl G
apne bhi bohot acha addition kiya hai
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #4 on: November 19, 2008, 10:23:07 AM »
Reply with quote
ek khwaish hai rishta judd jaye uss naam sey ...

kya pyara andaaz hai
rishta jodney ka bhi
bahut hi pyara jasbaat hai


very nice anjali....

Jasbir Singh
hira_company@yahoo.com
Logged
aakash srivastava
Guest
«Reply #5 on: November 14, 2009, 03:18:01 PM »
Reply with quote
Ek khwahish hai, jhalak mil jaye us chehre ki,
ke is deedaar ke baad koi tamanna na rahe

Ek khwahish hai, us dil tak pohoche ye sadaayein,
ke do dilon ki dhakano mein koi doori na rahe

Ek khwahish hai, rishta jud jaye us naam se,
ke phir juda rehne ki koi majboori na rahe

Ek khwahish hai, woh pyar mile unse,
ke is dil ki koi aur aarzoo na rahe

Ek khwahish hai, woh haath thaam le is tarah,
ke phir is dil ki koi kamzori na rahe

Ek khwahish hai, tanhaii mein uska saath mile,
ke phir kisi mehfil ki zaroorat na rahe

Ek khwahish hai, maut aa jaye unki baahon mein,
ke phir zindagi se koi shikayat na rahe !
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #6 on: March 21, 2010, 03:50:16 PM »
Reply with quote
bahut khoob ,achhi khwaish hai. anjali ji. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Ek ek kar ke kai khwaish jataa di. aapne.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #7 on: March 23, 2010, 10:39:26 AM »
Reply with quote
Ek khwahish hai, jhalak mil jaye us chehre ki,
ke is deedaar ke baad koi tamanna na rahe

Ek khwahish hai, us dil tak pohoche ye sadaayein,
ke do dilon ki dhakano mein koi doori na rahe

Ek khwahish hai, rishta jud jaye us naam se,
ke phir juda rehne ki koi majboori na rahe

Ek khwahish hai, woh pyar mile unse,
ke is dil ki koi aur aarzoo na rahe

Ek khwahish hai, woh haath thaam le is tarah,
ke phir is dil ki koi kamzori na rahe

Ek khwahish hai, tanhaii mein uska saath mile,
ke phir kisi mehfil ki zaroorat na rahe

Ek khwahish hai, maut aa jaye unki baahon mein,
ke phir zindagi se koi shikayat na rahe !!!

                       ~~ANJALI~~
Itni nek khwahishaat aik saath, ise padhkar achchha laga. Aik apna sher yahaN darj kar raha hooN shaayad ye aapko pasand aaye:

Ishq ki bas yahi kahaani hai
Dil ka aana hai jaan jaani hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 04:59:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer