ek ladki ki dastaan.................

by salil2002 on February 04, 2007, 12:15:40 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1969 times)
anjani_si
Guest
«Reply #15 on: February 09, 2007, 11:21:32 PM »
Reply with quote
Quote from: "salil2002"
teri baaton pe yaki karne ko ji chahta hai
kissii se phir dil lagane ko ji chahta hai
teri aankhon main jab se dekhi hai chahat
ek baar phir se khud ko aazmaane ko ji chahta hai




wowwwwwwwwwwww
jeetji too god!!!
vry nice :D
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dastaan E Dosti by sanju in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
PHOOLON KI DASTAAN by Jiya in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Dastaan-e-Dard by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Dil Ki Dastaan,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek ladki ki dastaan --part two by salil2002 in Shayri for Khumar -e- Ishq
salil2002
Guest
«Reply #16 on: February 10, 2007, 08:16:13 AM »
Reply with quote
dear anjani

i m not jeetji............... sad5 chal koi baat nahi

this is for u

bhula diya tumne mere naam ko toh kya gham hai
dekh kar meri surat khwabon main teri aankh toh nam hai
tera saath nahin hain toh kya hua
tune yaad toh kiya ye kya kam hai
Logged
rockindia
Guest
«Reply #17 on: February 10, 2007, 08:38:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "salil2002"
Woh beeti huyi shaam apne saath yaadon ko bhi le gayi
Woh aansuon main bheegi huyi ek dastaan bhi thi keh gayi
Bayaan karta hoon apne lafzon main zazbaaton kii ek kahaani
Pariyon si ek ladki  kii ek dard bhari kahaani
Yeh dastaan thi ek masoom pari kii jispe pyaar ka saaya tha
Jo toot gayi thi tabse jabse kissii ne oose thukraaya tha
Khamosh ho chuke labon par ek sannaata chha jata tha
Ashqon se bheege huye chehre se jab zulfon ko main hatata tha
Muskuraati thi woh hardam harpal woh muskati thi
Main poochhta tha dard uska woh nagme gungunati thi
Jab bheeg jati thi palkein kissii ko yaad karke
Dekhti thi meri taraf dil k tukde char karke
Main thaamna jo chahta kabhi who door hat jaati thi
Mujhse apni dooriyon ka ehsaas bhi dikhati thi
Bebas thi woh dil k haathon aur is zamaane se anjaan thi
Nafrat bhi kaise karti woh ,oose sirf pyaar kii pehchaan thi
Maine chhoda oose kucch waqt akele uski tanhayee main
Dil ne roka mujhe bahut par chal diya de kar oose judaaii main
Jab lauta main vaapas woh phir se muskuraayi thi
Shayad kissii k pyaar kii chamak uski aankhon main ootar aayi thi
Oosne bhar k mujhko baahon main pyaar se dekha tha
Jab maine oosse uski khushi ka raaz poochha tha
Sharmaayi thi woh phir oosne dheere se sar ko jhukaya tha
Bataya oosne kii dil uska phir kissii par aaya tha
Main khush tha oose dekh kar uski khushiyon main muskuraya tha
Par phir kyun ootha ye dard sa dil mein main isko samajh na paya tha
Main phir chal diya alag raah par oose chhod kar uski duniya main
Tanha reh gaya tha main jaise kyun main ise samajh na paaya tha
Door tha main phir oosse par uski yaadon se nahi tha
Shayad main pehli baar uski khushiyon se khush nahi tha
Beete qayi din woh yaadon k saaye main thi kho gayi
Zindgi k ek mod par oosse mulaqat phir se ho gayi
Main dekhta raha oose woh mujhko dekhti rahi
Maine poochha na oosse kucch aankhon main baat ho gayi
Thukraaya tha aaj oosne kissii ko jaane kya baat thi ho gayi
Jaise who har gham se har khushi se anjaan ho gayi
Kucch na kaha maine oose bas phir se dosti ko thaam liya
Mohabbat k qayi roop hai bas is baat ko maan liya
Na chahat thi kissii aur kii na kissii k pyaar kii aarzoo thi
Bas who mere saath thi na ab kissii kii talaash thi
Dastaan ye yahin par khatam nahi hoti hai
Ye zindgi kii iske har panne par nayi ibarat likhi hoti hai



Bhaut Khoob Salil bhai jaan aap toh chaa gye
Logged
angel4u
Guest
«Reply #18 on: February 10, 2007, 05:36:00 PM »
Reply with quote

ishq ki aag mein chup chap jalte hai hum,
apni mohabbat ka izhaar kaise karein sanam,
tumhe kya pata kitni chahat hai tumse,
har wakt dua karte hai tum hi bano mere humrahi janam janam
Logged
salil2002
Guest
«Reply #19 on: February 11, 2007, 08:45:23 AM »
Reply with quote
Quote
ishq ki aag mein chup chap jalte hai hum,
apni mohabbat ka izhaar kaise karein sanam,
tumhe kya pata kitni chahat hai tumse,
har wakt dua karte hai tum hi bano mere humrahi janam janam


nice one angel

tere dil se nikle hai jo dua ye khuda qabool kare
hothon se nahin dil kii baat tu aankhon se bayaan kare
thak chuka hoon main bhi tere intezaar main
ab aa kar mere dil o sukoon ada kare
[/b]
Logged
salil2002
Guest
«Reply #20 on: February 09, 2009, 01:54:23 PM »
Reply with quote
aaj bhi mahek pahle pyaar kii saanson main hai
aaj bhi saans lene se darta hai yeh dil.....
Logged
fairy2633
Guest
«Reply #21 on: February 09, 2009, 02:02:36 PM »
Reply with quote
waah salil ji...bahut khoob...bahut hi pyare lines hai... Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: February 09, 2009, 09:05:17 PM »
Reply with quote
part 2 ki wajah se part 1 bhi mil gaya.... wah kaya baat hai salil and Angel apne khoob sath diya hai.

Good work!!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #23 on: February 10, 2009, 05:10:20 AM »
Reply with quote
part 2 ki wajah se part 1 bhi mil gaya.... wah kaya baat hai salil and Angel apne khoob sath diya hai.

Good work!!
thank u fairy and pooja di

is chiraag kii roshni se oojala hai tere ghar mein
kabhi yeh soch k bhi dekh yeh jalata kya hai..........
Logged
salil2002
Guest
«Reply #24 on: February 10, 2010, 08:50:32 AM »
Reply with quote
mohabbat ko samjha badi der k baad
haath aaya ab andhera ujaalon k baad
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 03:11:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.208 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer