gesu's Kwaab!!!!!!

by Gesu on December 29, 2005, 06:51:09 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 44
ReplyPrint
Author  (Read 24254 times)
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
Reply with quote
Chotey chotey se khwaabon ko sambhala hai meine,
Aane waale palon ki jhalak dekhi hai meine,
Woh tumhe kuch kehkar sharmana mera,
Woh bahon mein aakar kho jaana mera,
Woh paas aakar fir door jana mera,
Tumhare chhooney se woh dil ka dhadkana mera,
Baalon ko sehlakar us mahak mein kho jaana tera,
Tum ho hum ho bus yahi dil chahta hai mera...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~***((( KWAAB SAREY BIKHAR CHUKAY HAIN)))***~~~ by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kal shab aik ajeeb kwaab dekha tha! by mazHur in Ghazals
kwaab by tamanna1 in Share:Love Poetry
tinda
Guest
«Reply #1 on: December 29, 2005, 07:32:47 AM »
Reply with quote
gesu. . .bahut achcha likhti ho

woh paas ana tera, sharm se nazre jhukana tera. . .
chunni ke kinare ko bar bar ungli se ghumana tera. . .
fir tirchhi nazro se mujhe dekhna aur muskurana tera. . .
ankho hi ankho me bahut kuchh kehna tera. . .
mere sine par sar rakhna aur ye puchhna tera. . .
jaanu bahut pyar karte ho na mujhse?
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #2 on: December 29, 2005, 07:56:52 AM »
Reply with quote
thanks tinda ji!!!!!!!!! aapne bhi bahut khoob likha hai!!!!!!!

aur haan ek baat aur.....yeh jo aapki bhindi ji hain na...... unhe kahiga bhindi hamein bhi pasand hai!!!!!!! BURA TO NAHI MAANEGI NA WOH!!!!!!!!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #3 on: December 29, 2005, 08:00:49 AM »
Reply with quote
wah kya roomani jazbaat hain...Gesuji aur tindaji tussi cha gaye..Superhit shayari aap dono ka...
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #4 on: December 29, 2005, 08:21:27 AM »
Reply with quote
didar ji woh sab to theek hai but aap bina likhein kaise chale gaye means yeh topic KHWAAB pasand nahi aaya janaab ko !!!!!!!!!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: December 29, 2005, 09:35:08 AM »
Reply with quote
very nice gesu ji....and tinda ji............. :wink:

Khwaab jo dekha maine toh mujhe mera pyar nazar aa gaya,
Aankhein kholi jab toh phir wahi tuta dil samne aa gaya,
Phir pata nahi kyun hamare chehre p hansi aayi or saamne humara yaar aa gaya,
haath jo pakra jab maine uska,
toh aisa laga jaise jannat mein main aa gaya,
Yaa khuda kar de ye khwaab mera poora,
Aakhir ye khwaab mujhe tuta dil jorne ka ek rasta dikhla gaya........ tongue3
Logged
tinda
Guest
«Reply #6 on: December 29, 2005, 10:01:39 AM »
Reply with quote
thanx gesu, keh dunga bhala isme bura lagnewali kya baat hai!

khwab bahut suhane hote hain. . .
unhe sach karne wala saath ho,
bahut khwab pure bhi hote hain. . .
bas uska haath mere haath ho,
Logged
tinda
Guest
«Reply #7 on: December 29, 2005, 10:03:10 AM »
Reply with quote
thanks badnaam and dildaar shayar
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #8 on: December 29, 2005, 10:53:02 AM »
Reply with quote
very nice  badnaam ji!!!!!!!
badnaam huey to kya naam to bahut ho gaya janaab ka.....

Dhundli is tasveer aati hai khwabon mein,
Roz unse maulakaat hoti hai khwabon mein,
Lukka chuppi ka silsila kab tak chalega yoon khwaabon mein,
kyon dil ko jalatey ho chupke se khwaabon mein,
Saamne aa jao sanam ke kab tak rahenge hum in khwaabon mein....

gesu's khwaab!!!!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: December 29, 2005, 11:10:24 AM »
Reply with quote
thnx gesu ji.........ye naam toh maine aap logo k jariye kamaya hai warna kahan tha ye hamare bass mein............
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #10 on: December 29, 2005, 04:11:08 PM »
Reply with quote
Aaj fhir se Dil laga baitha hoon kisi hamkalam se kalam kalam kartey kartey
Yun phulon ki sej-o-narm-o-mulayam hui meri shyam dhaltey dhaltey

Fhir jaag chukein hain aarman wohi,
dobti kashti sang dhaltey dhaltey...
Hai ehsaas-e-muhabaat meri bahon,
mere jism-o-jaan mein jaltey jaltey..

Kabhie choomta hoon teri tasvir,
kabhie Jhoomta hoon tera ehsaas yaad karke

Kabhie satati hai dard-e-judaii,
to kabhie bharta hoon aahein tujhe fariyaad karke

Nirbhay...................!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: December 29, 2005, 05:17:26 PM »
Reply with quote
very good neer bhai.........bahut accha likha aapne......... tongue3
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #12 on: December 30, 2005, 05:32:59 AM »
Reply with quote
bahut hi khoob tinda ji and nirbhay ji!!!!!!!!!!!!!

Dhundli si tasveer aati hai khwaabon mein,
Roz unse mulakat hoti hai khwaabon mein,
Lukka Chuppi ka silsila kab tak chalega yoon khwaabon mein,
Kyon dil ko jalatey ho chupke se khwaabon mein,
Saamne AA JAO SANAM ke kab tak rahenge in khwaabon mein.....

Gesu's KWAAB!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #13 on: December 30, 2005, 05:35:32 AM »
Reply with quote
In khwaabon mein hi mujhe rehne do,
yeh galatfehmiyaan hi mujhe hone do,
Tum to aate nahi zindagi mein a-e hum dum,
Zinda rehne ke liye kuch to mere pass rehne do...

Gesu's Khwaab!!!!!!!!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #14 on: December 30, 2005, 05:41:12 AM »
Reply with quote
Khwaabon ki taseer bhi na jaane kaisi hai,
Weham se bhi jo ho nazuk us yakeen jaisi hai,
Woh aake yoon mujhe sadaayein diye jaatey hai,
Unhe bhi intezaar hai mera yahi kahe woh jaatey hai,
Aankh khulti hai to Khwaab toot jaata hai,
per yeh khwaab ki taseer na jaane kaisi hai,
Uski MEHAK dil yeh mera khilaye jaati hai....

Gesu's Khwaab!!!!!!!!!!!!!!1
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 44
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 01:40:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer