Gunguni subah maiN yuN tera deedaar karte hai…
khaayaloN maiN bhi hum tumhi se pyar karte hai…
bikharti jab jab har kiran, us aaftaab ki jameen par…
sajda khuda ka kar, sadka tera hi sarkar karte hai…
rageeN hai wo galiyaaN, tere husN ke charchoN se…
hoga na humsa koi, deewanoN se takraar karte hai…
mile yar maikade mai, har sawal ka jawab dhundhte…
teri yaadoN mai madhosh, har jam se inkar karte hai..
hontoN pe hansi saza, chupate rahe raaz-e-dil kitne…
tujh bin ashq rukte nahi, ye aaj hum ikraar karte hai…
ye hawa ruhani kahegi tujhse halat-e-“saccha_pyar”…
degi paigaam mera, har pal wo tera intzar karte hai…
Gunguni subah maiN yuN tera deedaar karte hai…
khaayaloN maiN bhi hum tumhi se pyar karte hai…
kapil
Gunguni subah mein jab daaltey ho hum per nazar,
Nikhar jaata hai roop mera tumhe dekh ke hoti hoon sawarr,
Khayal aate hain tumhare hi shaamo-sehar hamein,
Le chalo sung apne ab aur kitna tadpaaoge hamein,
Jin galiyon mein hotey hain is husn ke charche,
Un galiyon mein tumhe log deewana bulaya karte,
Hawa ka harr ek jhoka deta hai paigam tumhara
Saanson mein bus jaata hai woh mehakna tumhara,
Raaz-e-dil aaj na chupao humse,
Utha do har parda ke yahi minatt hai tumse,
Jhel rahe hain hum shab-e-hijr mausam in ashqon ke samunder mein,
Maut aati hai din mein kayi baar kaise bataoon kis tarah tum samaye ho mujh mein...
gesu's koshish!!!!!!!!!