ham sa koi

by tabassum shakeel on June 11, 2006, 04:10:46 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 688 times)
tabassum shakeel
Guest
Reply with quote
kabhi aisa hua hai ham ne ham sa
doosara dekha
tab ahsaas hua ham akele hi nahi
kuchh aur bhi hain
jo ham se ghoomate hain is jahaan ki
gardihon me yun
ki jaise bheed me bachcha koi
nanha sa kho jaae
ki jaise ki kisiki sab se pyaari
 cheez kho jaae
ye bad haali ye bechaini
ye khoya pan
hamari hi akeli milkiyat to nahi
ji hamse aur bhi hain
tab ik us pal ko hamne bheed me khud ko
na tanha paya
is ik ahsaas ne hamko bahut
dhadhas bandhaya
ki ham se aur bhi hain.....................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #1 on: June 14, 2006, 01:07:33 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Tabssum...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #2 on: June 14, 2006, 01:09:28 PM »
Reply with quote
shukriya aryan
Logged
abeera
Guest
«Reply #3 on: June 14, 2006, 01:37:11 PM »
Reply with quote
asalam aliku ,bahut hi acha likha hai aap ne tabassum ,keep posting and sharing

hum se kya poochte ho ,hijr mein kya karte hain
tere loot aane ki din raat dua karte hain
teri to janee aay jaane tammana
apni her saans mein tujhe yaad karte hain
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #4 on: June 14, 2006, 04:05:28 PM »
Reply with quote
w salam abeera  bahut shukriya
aur bahut khoob aapne likha hai

ham jaison ki  qismat ham  jaise jaane
jinko hardam kuchh na kuchh bas sahna hai
dil me har dam dard chhupa ke rakhte hain
aansu ban ke hamko har dam bahna hai
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #5 on: June 15, 2006, 04:00:30 AM »
Reply with quote
hum sa koi nahin; koi humsa nahin;
mohabbat toh kiye, magar woh saath nahin;
Armaan dil mein hazaar, dil mein woh nahin;
intezaar bhi kiye, e-sanam, sirf tum nahin...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #6 on: June 15, 2006, 04:56:46 AM »
Reply with quote
bahut khoob ds

ye koi door se jo aaraha hai
vo dekho paanv hain uske thake se
ki haan bojhal hain uski bhi to saanse
mujhe lagta hai ye ham sa koi hai................
Logged
abeera
Guest
«Reply #7 on: June 15, 2006, 01:13:30 PM »
Reply with quote
thanks tabassum ,apne naam ki tarah muskurati rahein hamesha


palat ke aaye wohi zamanay mohabbat ke
key rung chlane lagay aur saba tahar jaye
kisi ka saath mile aur is tarah ho ke
waqt chalta rahe aur raasta tahar jaye
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #8 on: June 15, 2006, 01:58:55 PM »
Reply with quote
thanks abeera
aur bahut khoob aapne likha haai

dil jab bhi hai toota main geet likha
apne dard ko apna geet banaya hai
sou sou baar maren hain ham ik ik din me
jab jaake yun jeena hamko aaya hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #9 on: June 15, 2006, 02:11:59 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Abeera & Tabssum....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #10 on: June 15, 2006, 02:31:25 PM »
Reply with quote
thanks aryan

dil ka tootna tum jano ya ham jaane
dard kya hai ye tum jano ya ham jaane
jaane kitne tukdon me dil toota hai
har tukda hi rota hai aur kahta hai
kaash kisi ke saath na ho ab kuchh aisa
sabko mile jahan me bas ab pyar sada
sab ki qismat me pyar ka hissa ho
nahi kisi ka apne jaisa qissa ho
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #11 on: June 18, 2006, 02:21:37 PM »
Reply with quote
shukriya aryan
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 11:05:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer