Hathon Mein Hath Le Kar Tera Sath Nibhaana Hai...

by Aryaan on June 14, 2005, 01:51:30 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 49310 times)
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #30 on: June 21, 2005, 03:12:11 PM »
Reply with quote
vaibhav , aryaan,  sanya,  Faree sahib bahut sahi bahut khoob ..................bahut bahuut khoob ....






har ek harf e arzu ko dastaan kiye hue
zamaanaa ho gaya hai un ko mehman kiye hue

suroor e aish talkhi e hayat ne bhula diya
dil e hazin hai bekasi ko hijr e jan kiye hue

kali kali ko gulistan kiye hue vo aayenge
vo ayenge kali kali ko gulistan kiye hue

sukun e dil ki rahaton ko un se maang lun
sukun e dil ki rahaton ko bekaraan kiye hue

vo ayenge to ayenge junun e shauq ubharne
vo jayenge to jayenge tabahiyan kiye hue

main un ki bhi nigah se chupa ke un ko dekh lun
ki un se bhi hai aaj rashk badguman kiye hue





           


                           .......................chiraag
Logged
nikki
Guest
«Reply #31 on: June 21, 2005, 04:04:55 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Hathon mein hath le kar tera sath nibhaana hai
Tujhko apni mohabbat ka jazbah dikhaana hai

Teri baahon mein aakar, sukoon mil jaaye mujhe
Teri zulfon ko, apne kaandhon pe bichaana hai

Tu azeez hai mujhe itni, main keh nahi sakta
Tera deewaana hoon main, bas itna bataana hai

Haseen nazaaron mein, ab mera mann lagta nahi
Tere chehre ko, nigaahon ke saamne laana hai

Main kahin baith jaaun tanha, duniya ki fikr mein
Tujhe apne paas bitha kar, sabko bhulaana hai

Jab dekhe tu mujhko, tau chehra khil jaye mera
Har takleef ko, apne dil se mujhe, mitaana hai

Main dua'a mein maangta hoon, khuda se tujhko
Apna sab kuch kho kar, bas tujhe hi paana hai

Khwaabinda ho kar, aksar yeh sochta hai Aryaan
Kya tujhe bhi kuch iss tarha, mujhe sunaana hai


wonderfull as ever Aryaan.........................u r gr8
Logged
nikki
Guest
«Reply #32 on: June 21, 2005, 04:06:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "chiraaaaaaaaag"
vaibhav , aryaan,  sanya,  Faree sahib bahut sahi bahut khoob ..................bahut bahuut khoob ....






har ek harf e arzu ko dastaan kiye hue
zamaanaa ho gaya hai un ko mehman kiye hue

suroor e aish talkhi e hayat ne bhula diya
dil e hazin hai bekasi ko hijr e jan kiye hue

kali kali ko gulistan kiye hue vo aayenge
vo ayenge kali kali ko gulistan kiye hue

sukun e dil ki rahaton ko un se maang lun
sukun e dil ki rahaton ko bekaraan kiye hue

vo ayenge to ayenge junun e shauq ubharne
vo jayenge to jayenge tabahiyan kiye hue

main un ki bhi nigah se chupa ke un ko dekh lun
ki un se bhi hai aaj rashk badguman kiye hue


very nice Chirag ji.........................




           


                           .......................chiraag
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #33 on: June 21, 2005, 11:09:28 PM »
Reply with quote
Quote from: "chiraaaaaaaaag"
vaibhav , aryaan,  sanya,  Faree sahib bahut sahi bahut khoob ..................bahut bahuut khoob ....






har ek harf e arzu ko dastaan kiye hue
zamaanaa ho gaya hai un ko mehman kiye hue

suroor e aish talkhi e hayat ne bhula diya
dil e hazin hai bekasi ko hijr e jan kiye hue

kali kali ko gulistan kiye hue vo aayenge
vo ayenge kali kali ko gulistan kiye hue

sukun e dil ki rahaton ko un se maang lun
sukun e dil ki rahaton ko bekaraan kiye hue

vo ayenge to ayenge junun e shauq ubharne
vo jayenge to jayenge tabahiyan kiye hue

main un ki bhi nigah se chupa ke un ko dekh lun
ki un se bhi hai aaj rashk badguman kiye hue





           


                           .......................chiraag

Thanks a lot Chiraag.....& very nice buddy...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #34 on: June 21, 2005, 11:27:08 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"

wonderfull as ever Aryaan.........................you r gr8

Bohat shukriya Nikki.....

Hamein Muskurane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Harr Gham Ko Chupane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Harr Gham Bhool Jaaun Iss Dunya Ka Main
Chupa Lo Agar Hamein Apne Daaman Mein
Ek Doosre Ki Muskurahat Bane Rahein Sada Hum
Harr Dukh-o-Gham Se Lar Kar Jiyein Sada Hum..
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #35 on: June 22, 2005, 05:46:01 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Aryaan..

"
 Hamein Muskurane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Harr Gham Ko Chupane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Harr Gham Bhool Jaaun Iss Dunya Ka Main
Chupa Lo Agar Hamein Apne Daaman Mein
Ek Doosre Ki Muskurahat Bane Rahein Sada Hum
Harr Dukh-o-Gham Se Lar Kar Jiyein Sada Hum..
"

Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #36 on: June 22, 2005, 06:31:05 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Aryaan..

"
 Hamein Muskurane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Harr Gham Ko Chupane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Harr Gham Bhool Jaaun Iss Dunya Ka Main
Chupa Lo Agar Hamein Apne Daaman Mein
Ek Doosre Ki Muskurahat Bane Rahein Sada Hum
Harr Dukh-o-Gham Se Lar Kar Jiyein Sada Hum..
"

Ques....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #37 on: June 22, 2005, 12:19:10 PM »
Reply with quote
Quote from: "Qutubuddin"
Bahoot Khoob Aryaan..

Ques....

Shukriya Qutubuddin.....
Logged
nikki
Guest
«Reply #38 on: June 22, 2005, 03:24:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Quote from: "nikki"

wonderfull as ever Aryaan.........................you r gr8

Bohat shukriya Nikki.....

Hamein Muskurane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Harr Gham Ko Chupane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Harr Gham Bhool Jaaun Iss Dunya Ka Main
Chupa Lo Agar Hamein Apne Daaman Mein
Ek Doosre Ki Muskurahat Bane Rahein Sada Hum
Harr Dukh-o-Gham Se Lar Kar Jiyein Sada Hum..


very nice again......i will answer this later...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #39 on: June 22, 2005, 10:43:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"


very nice again......i will answer this later...

Shukriya Nikki.......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #40 on: June 23, 2005, 02:21:51 PM »
Reply with quote

Tujhe khabar nahi kitna tujhe saraha hai
Khuda ke baad tujhe hum ne itna chaha hai
Khuli hai aankh tau dekha hai teri soorat ko
Tere haseen tasawur mein neend aai hai

Tere beghair khushi bhi khushi nahi rehti
Tere khayaal bina zindagi nahi rehti
Hai mera pyar lahoo ban ke teri nass nass mein
  Teri wafaa mere ehsaas mein samaai hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #41 on: July 01, 2005, 09:41:33 PM »
Reply with quote

Yunhi udaas raha tau dekhna ik din main
Tamaam shehar mein tanhaiyan bicha doon ga
Na aauon ga, na miloon ga, na khat likhoon ga tujhe
Teri khushi ke liye main khud ko yeh saza doon ga
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: July 01, 2005, 10:03:36 PM »
Reply with quote
wah!!!! kaya tarap hai!!! kaya zazbaat hai!!!!! bahoot khoob!!!! bahoot acha likha hai apne Aryaan ji............

Hathon Mein Hath Le Kar Tera Sath Nibhaana Hai...
Tu ayye ya na ayye, muje teri yaandon ke sang chalaty jana hai!!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #43 on: July 01, 2005, 10:10:23 PM »
Reply with quote
chahley hi gaye teri yadooN ko liye seeney mein
kambakt !! dil bhi ik bevffa pe marta gya !!!  
Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: July 01, 2005, 10:11:43 PM »
Reply with quote
bewafa kah sakati nahi usko
khud ka dil hi, jab daga de gaya!!!!!!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 01:30:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer