~~~Izhaar~~~

by Sammual on June 11, 2008, 08:51:19 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4538 times)
Sammual
Guest
Reply with quote
Karte hai unse behad pyar,
par kaise kare pyar ka izhaar.
jab ati hai woh samne has kar chali jati hai,
dekhti hai mujhe goor se aur nazroon se nazre milati hai.

darti hai kehne se par ankhoo se jadoo chalati hai,
karti hai hamse pyar yeh hamain nazroon se batati hai.

dekhti hai hamain mud mud kar aur pyar se sar jhukati hai,
aaisa lagha hai hamain jaise hamain apne paas bulati hai.

uski ankho ki kassis hamain uska diwana banati hai,
uski sansoo ki khoosboo mare ang ang ko mehka jati hai.

dekh kar use roz zindgi haseen ho jati hai,
dheere se sansee koi geet gungunati hai.

pyar main uske sawarne lage hai,
dhere dhere usse pyar karne lage hai.
keh denge aaj unse ki karte hai pyar tumse,
aaj hum apne pyar ka izhaar karne lage hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chahe aap inkaar karein ya izhaar by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pyaar Ka Izhaar.. by faizan's in Shayri for Khumar -e- Ishq
Izhaar nhi hota hai. by BHONDU in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tum Apni Chahat Ka Izhaar by capture in Shayri for Khumar -e- Ishq
**** IZHAAR ***** by salil2002 in Shayri for Khumar -e- Ishq
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #1 on: June 11, 2008, 08:55:29 AM »
Reply with quote
bohut khoob sammual ji


teri har ada ka jaadu chalne laga hai
dheere dheere dil mera b machalne laga hai
log kehte the pat.thar dil kabhi hamein
ab tere pyaar mei dil ye pighalne laga hai
[color]
Logged
Sammual
Guest
«Reply #2 on: June 11, 2008, 09:05:09 AM »
Reply with quote
shukriya kaushikbhawna ji apne bhi khoob likha hai.
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: June 11, 2008, 09:09:25 AM »
Reply with quote
ye kalam ne nahi unki aashiqui mei likha hai
ye madhoshi yu hi nahi unki deewangi ka nasha hai
hulchul dil mei kuch aisi hai aaj kal
jidar dekhu wahin khoobsurat sa sama hai
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #4 on: June 11, 2008, 03:06:00 PM »
Reply with quote
Karte hai unse behad pyar,
par kaise kare pyar ka izhaar.
jab ati hai woh samne has kar chali jati hai,
dekhti hai mujhe goor se aur nazroon se nazre milati hai.

darti hai kehne se par ankhoo se jadoo chalati hai,
karti hai hamse pyar yeh hamain nazroon se batati hai.

dekhti hai hamain mud mud kar aur pyar se sar jhukati hai,
aaisa lagha hai hamain jaise hamain apne paas bulati hai.

uski ankho ki kassis hamain uska diwana banati hai,
uski sansoo ki khoosboo mare ang ang ko mehka jati hai.

dekh kar use roz zindgi haseen ho jati hai,
dheere se sansee koi geet gungunati hai.

pyar main uske sawarne lage hai,
dhere dhere usse pyar karne lage hai.
keh denge aaj unse ki karte hai pyar tumse,
aaj hum apne pyar ka izhaar karne lage hai.


Bahut accha likha hai aapne Sammual jee
Logged
Sammual
Guest
«Reply #5 on: June 11, 2008, 03:18:08 PM »
Reply with quote
Shukria sonia ji.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: November 13, 2009, 08:49:25 PM »
Reply with quote
Wow very lovely n romatic creation Sam ji,bahut khoob,beautiful lines by Kaushik ji .excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: November 13, 2009, 09:13:09 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Sammual Ji
Logged
Sammual
Guest
«Reply #8 on: November 14, 2009, 10:34:15 AM »
Reply with quote
Shukriya Madhu Ji & Rajesh Ji..
Logged
vaibhav Tiwari
Guest
«Reply #9 on: March 24, 2015, 10:04:09 AM »
Reply with quote
तुमने कलम उठाई है तो वर्तमान
लिखना ,हो सके तो राष्ट्र का कीर्तिमान
लिखना .चापलूस तो लिख चुके हैं चालीसे
बहुत ,हो सके तुम ह्रदय का तापमान
लिखना ..महलों मैं गिरवी है
गरिमा जो गाँव की ,...सहमी सी सड़कों पर
तुम स्वाभिमान लिखना
कहीं पढ़ा था , याद नही किसका है
...............magar aapki in panktiyon
ke jawab me hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 06:13:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.178 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer