Jaane kitni haseenaaon ne mujhe dil me basa rakha hai................Kaash

by @Kaash on August 14, 2013, 05:37:24 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 903 times)
@Kaash
Guest
Reply with quote
Doston,aaj ye poetry mere un fans aur pyaare doston ke naam jo mere kalaam ki hamesha raah dekhte hain! jinke sneh ke kaaran mujhe kuch na kuch likhna padta hai!


Jaane kitni haseenaaon ne mujhe dil me basa rakha hai
ek se hanske milun to auron ne tufaan macha rakha hai




ye meri khoobsurati nahi jo lafz dilon ko chhoo jaate hain
mere chaahnewaalon ki nazron ne hi unhe aisa dikha rakha hai



aisa nahi hai ki fursat hote hue bhi main aa nahi pata yaaron
naa bhi aaun to logon ne mujhe duaon me chhupa rakha hai




kisi ko chaahna zururu nahi mohabbat se mohabbat ke liye
mujhko isi jazbaat ne beintaha khumaar dila rakha hai


aazmaayishen doston ke darmiyaan hargiz nahi aa paatin
jazba-e-dosti ne to har dost ko dil se muska rakha hai


zindagi me kahin par bahaaron ke mausam me bhi khiza rahti
aur kahin ek phool ne hi saare baagh ko mehka rakha hai



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jaane Kitni Ghadiyan Intezar Men Guzar Gayi Hain by majid in Shayri for Dard -e- Judai
Na Jaane Kitni Martafa by CA. Gajendra Singh in Other Languages
Tum mujhe Rooh Mei basa lo to acha Hai by hide_shayar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
°°° Zaif - Jaane Kitni Sadiyon Se °°° by Zaif in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Apni Ankhon Mein Tujhe Maine Basa Rakha Hai by pradeep srivastava raunaq in Shayeri for Dard -e- Bewafai
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: August 14, 2013, 05:46:14 PM »
Reply with quote
waah bhaai waah kaash ji aapke ird gird itnee haseenaayen rahtee hain mubarak ho
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #2 on: August 14, 2013, 05:50:15 PM »
Reply with quote
waah bhaai waah kaash ji aapke ird gird itnee haseenaayen rahtee hain mubarak ho

shukriya Saini sahab! haseenaayen to urdu poem ke lihaaz se word sahi baith raha tha to likha lekin mere kahne ka matlab doston se hi hai! baaki yoindia jagah to pyaari hai hi isme koi shak nahi hai! bahut hi pyaare dost hain yahan both males and females!
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #3 on: August 14, 2013, 06:24:35 PM »
Reply with quote
superb, dhero mubarakbad ek rau ke sath Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #4 on: August 14, 2013, 06:25:32 PM »
Reply with quote
बहुत खूब काश जी....कोई तो है जो हसीनायों से घिरा हुआ है...मुबारक हो....
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #5 on: August 14, 2013, 06:43:37 PM »
Reply with quote
 Applause Clapping Smiley Applause
Pija ayyam ki bhi talkhi ko bhi hans ke NASIR
Gham ko sahne may bhi khudrat ne maaza rakha hai...
Lyricist :Hakim Nasir
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #6 on: August 14, 2013, 06:52:12 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob kaash ji.. Usual Smile
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
soudagar
Guest
«Reply #7 on: August 14, 2013, 07:57:45 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: August 14, 2013, 08:02:01 PM »
Reply with quote

Kaash Sahaab Aadaab... !


WaaH janab waaH kia kahne janab bus gazab kar diyaa aapne toH... bade hi gehre raaz bayaaN kiye haiN janab kahiN hungamaa na ho jaaye...  icon_geek

Sabhi ashaar behad khoob rahe jee.. puri kalaam qabil e daad hai...
Is umdaa kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile



Doston,aaj ye poetry mere un fans aur pyaare doston ke naam jo mere kalaam ki hamesha raah dekhte hain! jinke sneh ke kaaran mujhe kuch na kuch likhna padta hai!


Jaane kitni haseenaaon ne mujhe dil me basa rakha hai
ek se hanske milun to auron ne tufaan macha rakha hai




 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard  Achcha matla hua hai janab daad...

ye meri khoobsurati nahi jo lafz dilon ko chhoo jaate hain
mere chaahnewaalon ki nazron ne hi unhe aisa dikha rakha hai



Kia kahne jee bahut khoob ....

aisa nahi hai ki fursat hote hue bhi main aa nahi pata yaaron
naa bhi aaun to logon ne mujhe duaon me chhupa rakha hai



Bahut khoob jee bahut khoob...



kisi ko chaahna zururu nahi mohabbat se mohabbat ke liye
mujhko isi jazbaat ne beintaha khumaar dila rakha hai


Achcha sher hai janab daad...


aazmaayishen doston ke darmiyaan hargiz nahi aa paatin
jazba-e-dosti ne to har dost ko dil se muska rakha hai


Bahut khoob jee ..


zindagi me kahin par bahaaron ke mausam me bhi khiza rahti
aur kahin ek phool ne hi saare baagh ko mehka rakha hai



WaaH waaH janab kia kahne behad umda " Aik phool ne saare baagh ko mehkaa rakha hai " laa jawaab khayaal raha janab waaH daad daad daad...


Logged
jyuthika
Guest
«Reply #9 on: August 14, 2013, 08:11:39 PM »
Reply with quote
nice
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #10 on: August 15, 2013, 02:08:24 AM »
Reply with quote
nice
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #11 on: August 15, 2013, 04:37:54 AM »
Reply with quote
Kya Bat Hai!@Kaash Ji!! Bahut Khoob.
Doston,aaj ye poetry mere un fans aur pyaare doston ke naam jo mere kalaam ki hamesha raah dekhte hain! jinke sneh ke kaaran mujhe kuch na kuch likhna padta hai!


Jaane kitni haseenaaon ne mujhe dil me basa rakha hai
ek se hanske milun to auron ne tufaan macha rakha hai




ye meri khoobsurati nahi jo lafz dilon ko chhoo jaate hain
mere chaahnewaalon ki nazron ne hi unhe aisa dikha rakha hai



aisa nahi hai ki fursat hote hue bhi main aa nahi pata yaaron
naa bhi aaun to logon ne mujhe duaon me chhupa rakha hai




kisi ko chaahna zururu nahi mohabbat se mohabbat ke liye
mujhko isi jazbaat ne beintaha khumaar dila rakha hai


aazmaayishen doston ke darmiyaan hargiz nahi aa paatin
jazba-e-dosti ne to har dost ko dil se muska rakha hai


zindagi me kahin par bahaaron ke mausam me bhi khiza rahti
aur kahin ek phool ne hi saare baagh ko mehka rakha hai



Logged
prashad
Guest
«Reply #12 on: August 15, 2013, 08:45:42 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
aqsh
Guest
«Reply #13 on: August 16, 2013, 12:25:32 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Just awesomeeeeeeeee kaash ji. bahut hi khoobsurat ehsaas rahe. hazaron dili daaaaaaad..
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 14 hours and 9 minutes.
Posts: 18588
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #14 on: August 16, 2013, 12:46:27 PM »
Reply with quote
waaah waah waah waah bohut khubsurat bohut umda
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 04:12:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer