jab tum milogi

by samir_bc on February 14, 2006, 09:31:32 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 11013 times)
samir_bc
Guest
«Reply #60 on: March 01, 2006, 10:56:57 AM »
Reply with quote
FOR U SUMAIYAH
jo yakeen hai aapka ki honge aap roh baro humse
khuda kare yeh yakeen hakikat main jald hi badal jaye
jaante hain karte ho ab bhi mohabbat mujhse tum
yeh dil tadap jata hai jab kerti ho baat kisi aur se tum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KAB MILOGI TUM___DIL_K_JAZBAAT by DIL_K_JAZBAAT in Shayri for Dard -e- Judai
Suraiyah
Guest
«Reply #61 on: March 01, 2006, 07:53:40 PM »
Reply with quote
Hai wada milenge tujse,
karenge tera har sapna pura,
Samjha apne nada dil ko na tadpe ye ese,
Jan jab karte hai bat hum kisi se...hota hai humare labon pe naam sirf tera...
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #62 on: March 01, 2006, 10:16:35 PM »
Reply with quote
tumhe dekhne ke lia taraste hain
tumse milne ke lia tarapte hain
tera deedar karna chahte hain
hum tumse pyar karte hain

vry nice...suraiya samir...tushar and pooja
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #63 on: March 07, 2006, 06:41:17 AM »
Reply with quote
nice one anjani ji
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #64 on: March 07, 2006, 03:20:55 PM »
Reply with quote
Quote from: "anjani_si"
tumhe dekhne ke lia taraste hain
tumse milne ke lia tarapte hain
tera deedar karna chahte hain
hum tumse pyar karte hain

vry nice...suraiya samir...tushar and pooja

kiyon tarasti ho hamein dekhne ke liye
ankhen band karogi to tumko nazar aajayenge
kiyon tarapti ho milne ke liye humse tum
hum to kushboo ki tarah tere paas bikhar jayenge
agar karti ho piyar humse tum na kaho labon se kuch bhi
yeh to woh ehsaas hai jo dil se dil tak pahunchaye jayenge
Logged
Suraiyah
Guest
«Reply #65 on: March 18, 2006, 10:11:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "samir_bc"
kiyon tarasti ho hamein dekhne ke liye
ankhen band karogi to tumko nazar aajayenge
kiyon tarapti ho milne ke liye humse tum
hum to kushboo ki tarah tere paas bikhar jayenge
agar karti ho piyar humse tum na kaho labon se kuch bhi
yeh to woh ehsaas hai jo dil se dil tak pahunchaye jayenge


na kahenge kuch labon se apni,
bas ankhon ka ishara samaj lena,
jab kare ga dil yaad tumhe,
dil se dil ki sada sunlena...
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #66 on: March 25, 2006, 05:55:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "Suraiyah"

na kahenge kuch labon se apni,
bas ankhon ka ishara samaj lena,
jab kare ga dil yaad tumhe,
dil se dil ki sada sunlena...



tumne kuch bhi na kaha labon se
phir bhi hum tere dil ke ehsaas ko samajh gaye
aaye ek sada si achanak laga ki tumne pukara hai humein
chodker duniya daari tujhse milne ko hum nikal gaye
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #67 on: August 01, 2006, 01:25:33 PM »
Reply with quote

Ab tou Aankhon mein samaati nahin soorat koi
Ghaur sey Mein ne Tujhey Kaash na dekha hota
hum is dil ko hi nikal dete seene se
chehra tera is dil main kaash na samaya hota

NM

Logged
ranjana
Guest
«Reply #68 on: August 02, 2006, 03:17:25 AM »
Reply with quote
dil ke band drawazo per jab bhi yaade dastak de jaayegi
hame yun hi unki woh pyaar bhari baate yaad aaygi

karenge hum fariyaad unse milne ki baar baar
aur isi intazaar mein bas yeh umar beet jaayegi

kise pata thaa ki mohbbat kar degi yun jeena mera dushwaar
aur meri raat ko neend yun hi aankho se juda ho jaayegi

din mein kiya karte they unki tasveer se baate hum
raat ko wahi baate hame is tarah beqrar kar ke satayengi

hum karte hain unse pyaar behisaab
ab na jaane hamare milne ki ghadi kab aur kaise aayegi
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #69 on: August 03, 2006, 08:07:47 AM »
Reply with quote
Keep writing yar Usual Smile

Samney Beth ko Jo dil ko Churaey Koi !
Aisi chori ka pata khak lagaey koi !
Logged
ranjana
Guest
«Reply #70 on: August 05, 2006, 02:34:17 AM »
Reply with quote
too good samir .....


tere yeh masoom sawal mujhko bebas sa kar jaate hain
chheen lete hain mere dil ka chain aur mujhe heraan sakar jaate hain

hai yahi pyaar toh yah itna bedard kyu hota hai
jab milte hain dil se dil toh fir bicharna kyu hota hai

rehte hain woh mere dil mein aur dharkane naam unka hi leti hain
fir bhi duniya ki nazaro se yeh chhipana kyu hota hai

jab dil ki lagi bad jaati hai aur ek pyaar ki shama jal jaati hai
kyu  fir us dil mein basi us murat ko ek naqab pehnanaa padta hai

hain yeh bhi kuch sawal aise jinhe soch ke mann dar jaata hai
per teri chahat hai dil mein itni jayda ki tujhe pyaar karne se nahi ruk paata hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #71 on: August 05, 2006, 09:43:45 AM »
Reply with quote
behad khubsoorat likha hai aapne RANJANA aur SAMIR BHAI.....
kamaal kar diya aap dono ne... bahut khoob.....
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #72 on: August 06, 2006, 04:32:21 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
too good samir .....


tere yeh masoom sawal mujhko bebas sa kar jaate hain
chheen lete hain mere dil ka chain aur mujhe heraan sakar jaate hain

hai yahi pyaar toh yah itna bedard kyu hota hai
jab milte hain dil se dil toh fir bicharna kyu hota hai

rehte hain woh mere dil mein aur dharkane naam unka hi leti hain
fir bhi duniya ki nazaro se yeh chhipana kyu hota hai

jab dil ki lagi bad jaati hai aur ek pyaar ki shama jal jaati hai
kyu  fir us dil mein basi us murat ko ek naqab pehnanaa padta hai

hain yeh bhi kuch sawal aise jinhe soch ke mann dar jaata hai
per teri chahat hai dil mein itni jayda ki tujhe pyaar karne se nahi ruk paata hai





thanks vicky bhai and sanjana ji ,u too good again sanajana ji

tere jo hai sawal unhe sochker heraan na ho
tere har sawal ka hum khud jawab ban jayenge

aap hamare dil se dil to milaker dekho
jo mil jayenge dil to bhichar na payenge

na dar tu zamane ki nazron se, agar pyar karte ho dil se
yeh zamane wale ab hamara kiya kar payenge

yeh jo saroor hai mere pyar ka kayam rakhna bus isi tarah
khud ba khud tumhare sawalon ke jawab tumhe mil jayenge


Logged
ranjana
Guest
«Reply #73 on: August 07, 2006, 01:46:20 AM »
Reply with quote
bahut khoob samir ....

teri ab inhi baato se hum dil ko behlayenge
ab teri  dil ke siva apna thikaana aur kahan banayenge

jab bhi sunenge hum teri sada kahi bhi
tere hi tasvur mein apni duniya sajayenge

jab honge tanha toh karnge  khud se hi  mohbbat ki  baate
per tere saamne aate hi mere nayan sharam se jhuk jaayenge

yaad rakhenge hum us lamhe ko har pal
jab teri bahaon mein hum simat ke kho jaayenge
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #74 on: August 07, 2006, 01:21:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khoob samir ....

teri ab inhi baato se hum dil ko behlayenge
ab teri  dil ke siva apna thikaana aur kahan banayenge

jab bhi sunenge hum teri sada kahi bhi
tere hi tasvur mein apni duniya sajayenge

jab honge tanha toh karnge  khud se hi  mohbbat ki  baate
per tere saamne aate hi mere nayan sharam se jhuk jaayenge

yaad rakhenge hum us lamhe ko har pal
jab teri bahaon mein hum simat ke kho jaayenge




bahut khoob ranjana ji


karenge wahi baat jo laye muskaan labon pe tere
is dil ki dhadkano main humne tumko basaya hai

tasavur na kar jald hi hum saath honge tere
tujhe apni duniya main basane ka irada jo banaya hai

mohabbat kerti bhi ho, sharma bhi jaati ho tum
tumhari inhi adaon ne to hume deewana banaya hai

humse raha nahi jaata, dil chahta hai deedar karna tera
tere deedar ke liye hi rahon pe nazron ko tikaya hai

jaldi aajao tum bahon me hamari, tarapte hain humbhi
kab se tumhare liye hi humne apni bahon ko phelaya hai


Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 17, 2024, 09:03:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.17 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer