jab tum milogi

by samir_bc on February 14, 2006, 09:31:32 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 11014 times)
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #75 on: August 07, 2006, 01:28:01 PM »
Reply with quote
Quote from: "samir_bc"
tum jab milogi mujhe
kiya kahun kaisa sama hoga
jab dekhengi yeh aankhein tumko
kiya kahun inmein kaisa nasha hoga
aaj jo duriyan hai beech main hamare
jab ye duriyan mitengi to kiya hoga
tum jab hongi bahon me meri
kiya kahun kaisa woh maza hoga
abhi to sirf main chahta hun tumhein
kiya kahun kaise tumhein bhi mujhse piyar hoga
jab tum bhi karogi izhare mohabbat mujhse
kaise kahun us waqt mera kiya hoga
.

bohut achaa likha hai samir..........really great.....A.TRUTH.OF.A.LOVER
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KAB MILOGI TUM___DIL_K_JAZBAAT by DIL_K_JAZBAAT in Shayri for Dard -e- Judai
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #76 on: August 07, 2006, 02:58:48 PM »
Reply with quote
Quote from: "samir_bc"
Quote from: "ranjana"
too good samir .....

tere yeh masoom sawal mujhko bebas sa kar jaate hain
chheen lete hain mere dil ka chain aur mujhe heraan sakar jaate hain

hai yahi pyaar toh yah itna bedard kyu hota hai
jab milte hain dil se dil toh fir bicharna kyu hota hai

rehte hain woh mere dil mein aur dharkane naam unka hi leti hain
fir bhi duniya ki nazaro se yeh chhipana kyu hota hai

jab dil ki lagi bad jaati hai aur ek pyaar ki shama jal jaati hai
kyu  fir us dil mein basi us murat ko ek naqab pehnanaa padta hai

hain yeh bhi kuch sawal aise jinhe soch ke mann dar jaata hai
per teri chahat hai dil mein itni jayda ki tujhe pyaar karne se nahi ruk paata hai

thanks vicky bhai and sanjana ji ,you too good again sanajana ji

tere jo hai sawal unhe sochker heraan na ho
tere har sawal ka hum khud jawab ban jayenge

aap hamare dil se dil to milaker dekho
jo mil jayenge dil to bhichar na payenge

na dar tu zamane ki nazron se, agar pyar karte ho dil se
yeh zamane wale ab hamara kiya kar payenge

yeh jo saroor hai mere pyar ka kayam rakhna bus isi tarah
khud ba khud tumhare sawalon ke jawab tumhe mil jayenge

khool !:)
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #77 on: August 10, 2006, 05:22:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "amit_is_always_cool"
Quote from: "samir_bc"
tum jab milogi mujhe
kiya kahun kaisa sama hoga
jab dekhengi yeh aankhein tumko
kiya kahun inmein kaisa nasha hoga
aaj jo duriyan hai beech main hamare
jab ye duriyan mitengi to kiya hoga
tum jab hongi bahon me meri
kiya kahun kaisa woh maza hoga
abhi to sirf main chahta hun tumhein
kiya kahun kaise tumhein bhi mujhse piyar hoga
jab tum bhi karogi izhare mohabbat mujhse
kaise kahun us waqt mera kiya hoga
.

bohut achaa likha hai samir..........really great.....A.TRUTH.OF.A.LOVER

thanks amit brother
Logged
ranjana
Guest
«Reply #78 on: August 10, 2006, 08:31:48 AM »
Reply with quote
Quote from: "samir_bc"
Quote from: "ranjana"
bahut khoob samir ....

teri ab inhi baato se hum dil ko behlayenge
ab teri  dil ke siva apna thikaana aur kahan banayenge

jab bhi sunenge hum teri sada kahi bhi
tere hi tasvur mein apni duniya sajayenge

jab honge tanha toh karnge  khud se hi  mohbbat ki  baate
per tere saamne aate hi mere nayan sharam se jhuk jaayenge

yaad rakhenge hum us lamhe ko har pal
jab teri bahaon mein hum simat ke kho jaayenge

bahut khoob ranjana ji

karenge wahi baat jo laye muskaan labon pe tere
is dil ki dhadkano main humne tumko basaya hai

tasavur na kar jald hi hum saath honge tere
tujhe apni duniya main basane ka irada jo banaya hai

mohabbat kerti bhi ho, sharma bhi jaati ho tum
tumhari inhi adaon ne to hume deewana banaya hai

humse raha nahi jaata, dil chahta hai deedar karna tera
tere deedar ke liye hi rahon pe nazron ko tikaya hai

jaldi aajao tum bahon me hamari, tarapte hain humbhi
kab se tumhare liye hi humne apni bahon ko phelaya hai

jab se chale hain hum saath tere teri rahagujar mein
ab khabar mujhko meri hi kahan  rahi

chhoo liya jis pal tune haath mera yun hi
ek ankahi si baat tere dil ne mujhse tab kahi

de de bas ek lamha apne is pyaar ka mujhe
bas yahi hasrat ab mere dil mein rahi

bahut seh chuki hun mein dard duniya ke
chala do kadam bhi tu saath toh ek raahat si mere dil ko hui
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #79 on: August 12, 2006, 08:54:13 AM »
Reply with quote

kahoot khood ranjana ji

tum meri kon ho kuch tumhi batao mujhe
kiyon khayalon me mere chayi rehti ho

kiyon dil chahta hai milna tumse
kiyon tum mujhko tadpaati rehti ho

saamne aane ko kehti ho aur saamne aati bhi nahi
kiyon humare sabra ko itna azmaati rehti ho

agar samajhti ho saath hai hum tumhare
phir duniya se kiyon darti rehti ho

humne to apni zindagi tumhare naam kerdi hai
aur tumho ki ek lamhe ki baat kerti rehti ho

tum agar meri kuch bhi nahi lagti
phir kiyon har taraf dikhayi deti ho

[/b]
Logged
ranjana
Guest
«Reply #80 on: August 12, 2006, 10:15:51 AM »
Reply with quote
chhaye hain hum tujh per jo is tarah
toh ek  din jaraur mulakaat hogi

hain yeh chahaye khawbo ki baate
par ek din toh pyaar ki barsaat hogi

milne lagengi teri raho se rahe meri
jab achanak yun hi kabhi koi baat hogi

jhaank sako toh jhaank ke dekh lo meri aankho mein
tere hi likhe hue lafazo ki koi tasveer in mein basi khaas hogi

nikal pade hain hum tere ishq ki  raha mein  ab toh
kya meri kismat ki lakreero ko bhi manzur yeh baat  hogi !!!!!
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #81 on: August 13, 2006, 02:57:32 PM »

good one sanjana ji

yeh zindagi ka safar hum na kaat payenge ab akele
na chhorna saath mera,yunhi saath nibhaati jaana

ho hi jayegi mulakaat bhi ek din is is pyar ke safar me
piche na mudna, yeh pyar ka kadam hamari taraf badhati jaana

tere har dard ko hum bant lenge teri kasam
humse na chupana apna samjhke sab batati jaana

aapki har raah aasaan ban jayegi saath humare
karke bharosa bus aap saath nibhati jaana

ho jaye gar koi khata to maaf kardena hume
tujhse dur hokar ab to mushkil mera jee paana

Logged
ranjana
Guest
«Reply #82 on: August 13, 2006, 05:14:48 PM »

bahut khoob samir .......

hai yeh zindagi ka safar kuch aisa
kabhi na kabhi toh mulkaat hogi

jo baat abhi tak hoti hain geeto mein
woh baat kabhi toh khule aam hogi

nahi hai yeh raha aassan ishq ki
magar kabhi toh is ki muhkil kuch aassan hogi

yum toh aati hai nahi neend meri aanhko mein
ab jab bhi aayi toh fir shayad sapne mein tujhse koi baat hogi
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #83 on: August 14, 2006, 01:26:04 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

bahut khoob samir .......

hai yeh zindagi ka safar kuch aisa
kabhi na kabhi toh mulkaat hogi

jo baat abhi tak hoti hain geeto mein
woh baat kabhi toh khule aam hogi

nahi hai yeh raha aassan ishq ki
magar kabhi toh is ki muhkil kuch aassan hogi

yum toh aati hai nahi neend meri aanhko mein
ab jab bhi aayi toh fir shayad sapne mein tujhse koi baat hogi

har baar ki tarah good ranjana ji

tum saamne bethi raho  mere yeh arzu hai meri
hum karte rahen deedar sirf tera yeh arzu hai meri

khuwabon me to bahut mil chuke hum tumse
ho hakeekat me mulakat yeh arzu hai meri

kab karogi apni zulfon ka saya hum per
teri zulfon se khelen yeh arzu hai meri

jo sapne tere sajaye hain humne apni palkon per
bus woh jaldi poore ho jayen yeh arzu hai meri

jo geet gaati hain dil ki dhadkane meri
wahi geet tumbhi gungunao yeh arzu hai meri

tumhen bahon me bhare aur kuch hosh na rahe
tumbhi isi tarah kho jao mujhme yeh arzu hai meri

kab se bethe hain hum pyaase isi tamanna me
bujhe yeh pyaas labon se tere yahi arzu hai meri

kho jao tum bhi khayalon main mere meri tarah
teri saanson se takrayen meri saanse yahi arzu hai meri

yeh jo bhi khuwab hain ,jo bhi arzu hain meri
tumhe bhi ho yehi sab arzu, yeh arzu hai meri

Logged
ranjana
Guest
«Reply #84 on: August 14, 2006, 01:43:54 PM »
Reply with quote
teri aarzo ab meri justju banane lagi hai
meri har tamana teri bahaon mein pighalne ko machlane lagi hai

khul jaayenge jab gesu mere  tere kandho per
tab tujhe apna bhi na hosh kahan rehega

chhaa jaayegi tab ek kaali si ghata tere mooh per
aur tu mujh mein kho ke bas mera ho ke rehega

dil ki dharkano mein bas raha hai naam tera
yeh dil tera hi geet gunganaata rehega

in saanso  mein hai mil ab saanse tumhari
ab yeh armaan tere dil ka mere dil mein bhi bas ke rehega
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #85 on: August 14, 2006, 09:05:06 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
teri aarzo ab meri justju banane lagi hai
meri har tamana teri bahaon mein pighalne ko machlane lagi hai

khul jaayenge jab gesu mere  tere kandho per
tab tujhe apna bhi na hosh kahan rehega

chhaa jaayegi tab ek kaali si ghata tere mooh per
aur tu mujh mein kho ke bas mera ho ke rehega

dil ki dharkano mein bas raha hai naam tera
yeh dil tera hi geet gunganaata rehega

in saanso  mein hai mil ab saanse tumhari
ab yeh armaan tere dil ka mere dil mein bhi bas ke rehega

samir ranju mom and amit!!! kya khoob likha hai appne!! :D:D:D

mera pyar tujhe majboor kar degha
tujhe morh karh peeche mujhe dekhna he paregha

asmaan mein jabh taroon ko dekhoghe
khud be khud tujhe meri yaad dilayenghe

dil ki awaaz jabh tum sunoghe
tu samne humhe he paoghe

meri sansoin mein baas jaoghe
mere dil mein rehnelaghoghe :D:D
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #86 on: August 15, 2006, 10:56:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
teri aarzo ab meri justju banane lagi hai
meri har tamana teri bahaon mein pighalne ko machlane lagi hai

khul jaayenge jab gesu mere  tere kandho per
tab tujhe apna bhi na hosh kahan rehega

chhaa jaayegi tab ek kaali si ghata tere mooh per
aur tu mujh mein kho ke bas mera ho ke rehega

dil ki dharkano mein bas raha hai naam tera
yeh dil tera hi geet gunganaata rehega

in saanso  mein hai mil ab saanse tumhari
ab yeh armaan tere dil ka mere dil mein bhi bas ke rehega

bahoot khoob anjani ji aur ranjana ji
jab aapka bhi dil machalta hai aane ko bahon me meri
aap door rehti kiyon ho, bahon me aati kiyon nahi

hosh me hum khud bhi nahi rehna chahte tujhse milne ke baad
gesu apne bikhraker aap hamare hosh khoti kyon nahi,

hum to kab ke tere ho chuke, jaane jaan tujhme kho chuke
khayalon me bahut tera deedar kiya,hakikat main aati kiyon nahi

jab dil ki dhadkano me basa liya hai naam mera
hum bhi chahte hain sunna, hume woh dhadkane sunati kiyon nahi

mil jayen meri saanse teri saanso se chahte ho ap bhi
phir milti kiyon nahi,apni sanso ko hamari saanso se takrati kiyon nahi

Logged
ranjana
Guest
«Reply #87 on: August 15, 2006, 06:21:43 PM »

bahut khoob samir ........... Usual Smile

in uljhi hui saanso ko suljhaane ko ab toh aao
dil mein hai mare kar jajbaat un baato ko sunane ko ab toh aao

aankho mein saj gaye hain sapne apne milan ke
in sapno ko ab toh aa ke sach sa kar jaao

chand bhi aaj behaka hua sa hamko lagta hai
aaj is madmast hawa ka kuch toh ishaara tum samjh jaao

le rahi hain angriyaan mere dil mein ab uthati si umange
is behakte alam  mein ab aur na hamko tarsaao

beet na jaaye yeh pyaar ka masaom kahi suhaana
bas ek baar apni saloni si suart ki jhalak toh dikhala jaao
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #88 on: August 16, 2006, 01:29:38 PM »
Reply with quote
wah ranjana ji too good

teri saanso ko suljhane ka koi irada nahi
hum to chahte hain inme aur ulajh jayen

sapne milan ke sach ho jayenge thoda aur intezar kar
is ishq me jitna ho intezaar, isme aur mazaa aaye

chand behka nahi,jalta hai dekhker tere husn ko
tu jo daale nazar to chandni me bhi nikhar aajaye

jitna tarapte hai aap, utna humbhi tarapte hain tujhse milne ko
ab to bas karte hain duwa,tujhse milan ki ghadi jald hi aajaye

mout bhi aajaye to humko nahi parawah koi
bus ek baar tu banke ghata mujhpe cha jaaye

Logged
ranjana
Guest
«Reply #89 on: August 16, 2006, 05:06:15 PM »
Reply with quote
bahut khoob samir .........

hum tujh per ghata ban ke chhaa jaaye toh kya hoga
teri aankho mein khawab ban ke bas gaye toh kya hoga

le sekega na tu ek pal bhi chein ki neend fir sanam
aag tere dil mein mere pyaar ki sulag jaaygi toh kya hoga

meri palako per theri hai koi ghazal tere pyaar ki
yeh aaj tere labo per jab utari toh fir is behketi shaam ka kya hoga

na kar aaj shokhiyaan tu mere khule khule se gesuo.n se
in geeli ghaatao se koi badari jo tujh per barsi toh dil ki dharakno ka kya hoga
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 17, 2024, 09:04:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer