!jindagi ki kitaab!

by ranjana on June 07, 2006, 09:05:37 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12
ReplyPrint
Author  (Read 9442 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #105 on: July 13, 2006, 04:09:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
teri aankho mein hi mera sansaar basa hai
tu hai toh har lamaha mera khushiyon se saja hai

beet gaya hai ab toh dard ka zamaana
ab toh bas yeh dil tere pyaar ke rango mein ranga hai

har ek saans mein bas raha hai tu mere saath
ab na koi kisamt se shikva hai na koi gilla hai


Wah kya baat hai Ranju Sudhar gayi :wink:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye Jo ZiNdAHgHi Ki kItAaB hAi! by lamhay_terbin in Shayri-E-Dard
Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab HaI by Delicate_Doll in Shairi - E - Zindagi
dil mera aik kitaab ki soorat..!! by chanda in Shayri for Khumar -e- Ishq
~:Kitaab:~ by Ghayal in Shayri-E-Dard
ZINDAGI KI KITAAB... by CoolGirl in Shairi - E - Zindagi
ranjana
Guest
«Reply #106 on: July 13, 2006, 05:01:41 PM »
Reply with quote
Puzzled !  Ranju bigadi kab thee...  :wink:  :razz:   :D
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #107 on: July 19, 2006, 10:59:25 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
teri aankho mein hi mera sansaar basa hai
tu hai toh har lamaha mera khushiyon se saja hai

beet gaya hai ab toh dard ka zamaana
ab toh bas yeh dil tere pyaar ke rango mein ranga hai

har ek saans mein bas raha hai tu mere saath
ab na koi kisamt se shikva hai na koi gilla hai


nice one  RANJANA .............

Jo poochta hai koi, surkh kyun hain aaj aankhen,
to aankhen mal ke kahata hoon ki raat so na saka.......

tere milne ki pyaas thi in taraste labon ko mere,
haath me jaam tha mere, phir bhi main pee na saka.....

band ki jo aankhen, tum chali aayen khayalon me,
saamne baithe rahi tum, mohabbat me kar na saka.......

hazaar chahoon magar, yeh na kaha sakunga kabhi,
ki raat rone ki khwaish thi, magar main ro na saka......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #108 on: July 20, 2006, 01:43:40 AM »
Reply with quote
bahut khoob vicky ......

unke khyalao.n mein hum dube rahe seher hone tak
na neend aayi na hi kahwabo mein woh khud aaye

karte rahe hum unse mohabbat chup chaap
ki kahi un per hamare  dil ke katal hone ka ilzaam na aaye

ek tamana thee  ki unhe kabhi chhoo kar toh dekhe
ki woh sach mein haqikat hai hai ya sirf mere khayalao.n ke saaye
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #109 on: July 20, 2006, 09:34:24 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "ranjana"
bahut khoob.....GAURAV.....

hamen yogo tak teri raha dekhi
sadiyon tak tera intazaar kiya

apni har dharkan har saans per tera hi naam likha
aur har pal dil ko beqarar kiya..........

tere hi ehasaso mein jeeti rahi mein
har beetate pal mein bas tujhse hi pyaar kiya

aaya na tera ek bhi khat  mujhe kabhi
fir bhi maine teri har baat ka etebaar kiya


Khat humne tujhe likhe bahut the.....
Par Dil me uss WaQt teri Ruswai ke Zakhm saje bahut the......

Kya kehta main bhi majboor Bejubaan tha......
Thi ek Garmi khoon me islye harr Lamha Tezaab tha......

Par ab tujhe hum kahin door jaane nahi denge......
Basa ke tujhe apni Bahon me....Ankhon se bahar aane nahi denge.....!!!!!


khat tumne mujhe likeh kyun the
jabh thi dil mein itni kharwahat tu mujhe yaad kyun karte the

itne behram kyun tum bangaye
issi toote huwe dil ko tehzab samjh baithe the :D:D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #110 on: July 21, 2006, 06:25:40 AM »
Reply with quote
bahut khub anjani ..... Usual Smile

na jaane kaisi kaisi aag mein jalte hain hum
aag hai hamari zinadgi aur ek sulgi hui kalam hai hum

kya khoya ,kya paaya ,koi hamse puche
toh apne aansu poonch ke khud hi mazak kar lete hain hum
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #111 on: July 21, 2006, 08:29:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khoob vicky ......

unke khyalao.n mein hum dube rahe seher hone tak
na neend aayi na hi kahwabo mein woh khud aaye

karte rahe hum unse mohabbat chup chaap
ki kahi un per hamare  dil ke katal hone ka ilzaam na aaye

ek tamana thee  ki unhe kabhi chhoo kar toh dekhe
ki woh sach mein haqikat hai hai ya sirf mere khayalao.n ke saaye


bahut khoob RANJANA........... nice one
too good ANJAANI...

Ek shikayat sanam se meri baar-baar rahati hai,
wada karke wo khwabon se mere door rahati hai.........

tadapti rahati hai wo baahon me bharne ko mujhe,
na jane phir kyun, duniya se wo darti rahati hai.........

hai meri bhi yehi tamanna, ki seene se laga loon,
kareeb aate hi, daaman apna chuda liya karti hai.......

khwaish yahi ab ki choom loon lab unke ek baar,
mulakaat kabhi karti nahi, wade hi karti rahati hai.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #112 on: July 21, 2006, 07:07:58 PM »
Reply with quote
bahut khoob vicky .....

jab tum hole se mera naam le kar
mere kaano ko dheere se labo se chhoo loge

gaalo per par ataki meri julpho ko
apne haatho se dheere se hata doge

tab meri palak sharam se bas jhuk jayegi
tehar jayagi wahi waqt ki sui jaise
aur wah ghadi bas suhaane milan ka pal ban jayegi
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #113 on: July 22, 2006, 10:36:23 AM »
Reply with quote
shukriya aur bahut khoob RANJANA..........

Kaano ki yeh baaliyan tumhari,
jab takrati hain badan se tumhare.....

dil me bas yehi armaan aata hai,
ki ban jaun tere kaan ki baali,
aur badan ko choomta rahun tumhare..........

in baaliyon ki kismat to dekhiye,
badan ki khusbu se mahakti hain tumhare......

zulfon ke saye me chupi yeh baaliyan,
jaise kali gahaton me chipa ho chand tumhare...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #114 on: July 22, 2006, 06:59:39 PM »
Reply with quote
wah nayi soch too good....bahut khoob vicky ....

mere kaano ki yeh balaiya aaj tujhe behka dengi
uljha lengi apni chamak mein aur neende teri udaa dengi

uljhegi jab lat hamari in mein tujhe diwaana sa bana dengi
chheen legi yeh qarar tera aur tujhi ko tujhse chura lengi

chhoega jab tu inhe pyaar se madbhari apni nigaho ke andaz se
toh yeh apne hi andaz se tujh mein ek pyaar ka deep jala dengi
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #115 on: July 23, 2006, 06:57:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
wah nayi soch too good....bahut khoob vicky ....

mere kaano ki yeh balaiya aaj tujhe behka dengi
uljha lengi apni chamak mein aur neende teri udaa dengi

uljhegi jab lat hamari in mein tujhe diwaana sa bana dengi
chheen legi yeh qarar tera aur tujhi ko tujhse chura lengi

chhoega jab tu inhe pyaar se madbhari apni nigaho ke andaz se
toh yeh apne hi andaz se tujh mein ek pyaar ka deep jala dengi


WOW nice topic baaliyaan.....gud job Ranju and vicky

Madhosh toh kia tumne ab yeh konsa Zurm baaki hai......
Baaliyan jo saji kaano me tumhare yeh bhi ek Raat ka saathi hai.....

Hoga safar shuru jab Kangan or Payal bhi kuch Sharam se awaaz karengi.....
Baaliyan sunengi sab baatein hamari or Dil pe mere War karengi......

Hoga sama jab bheega tab Saansein bhi labon ke milan ka intezar karengi......
Chooti jaise Sargoshian kuch usi tarah Baliyaan tere Chand se roop ka Saaj-O-Sringaar karengi..........!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #116 on: July 23, 2006, 05:51:21 PM »
Reply with quote
too good gaurav ....

yeh meri baliyaan mere husan ko aur bada deti hain
yeh jab hilti hai toh dil tera bhi hila deti hain

sun leti hain yeh sab woh sargoshiyaan
jo teri dil ki dharakane mere kaano mein keh jaati hai

yeh toh bahut natkhat si teri hi tarah sanam
tere pehlu mein aa ke yeh bhi shrama ke khud ko tere seene mein chhipa leti hai
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #117 on: July 23, 2006, 09:34:21 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
too good gaurav ....

yeh meri baliyaan mere husan ko aur bada deti hain
yeh jab hilti hai toh dil tera bhi hila deti hain

sun leti hain yeh sab woh sargoshiyaan
jo teri dil ki dharakane mere kaano mein keh jaati hai

yeh toh bahut natkhat si teri hi tarah sanam
tere pehlu mein aa ke yeh bhi shrama ke khud ko tere seene mein chhipa leti hai


ranju and BS too good!!! too good!!! hats off!! :D:D

jabh sunti hain baliyain meri angharayi teri
tu chup jaithi hain zulfoin mein meri

mera khano mein kuch ghung guna jaihti hain
dil mera tera sangh ghayal kar jaithi hain
Logged
ranjana
Guest
«Reply #118 on: July 25, 2006, 02:49:25 AM »
Reply with quote
nice one anjani .... :D shukriya ... :D

meri baali mein teen sitaaare hain
jo tujhe kare pyaar ke ishaare hain

samjhe sake toh samjh lena sanam
hum toh apna dil tujh per haare  hain!!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #119 on: July 25, 2006, 11:09:25 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
wah nayi soch too good....bahut khoob vicky ....

mere kaano ki yeh balaiya aaj tujhe behka dengi
uljha lengi apni chamak mein aur neende teri udaa dengi

uljhegi jab lat hamari in mein tujhe diwaana sa bana dengi
chheen legi yeh qarar tera aur tujhi ko tujhse chura lengi

chhoega jab tu inhe pyaar se madbhari apni nigaho ke andaz se
toh yeh apne hi andaz se tujh mein ek pyaar ka deep jala dengi


shukriya aur bahut khoob RANJANA.......
and nice one BADNAAM JI aur ANJAANI JI........

Shararat in baaliyon ki kuch samajh nahi aati hai,
jab ulajhti hain zulfon se teri, bechain kar jati hain......

chamak inki yaad dilaati hai saawan ki raaton ki,
aur mohabbat karne ko tujhse, majboor kar jati hain.....

cheen liya mera chain-o-karaar teri in baaliyon ne,
jab-jab yeh takra badan se, mujhe paas tere bulati hain.....

choona chahta hoon inhen main choomna chahta hoon,
paas aata hoon to teri tarah, naaz-o-nakhre dikhati hain....

dhak se dharak jata hai, us waqt nadan dil yeh mera,
jab-jab haaton se apne tu, in baaliyon ko utaarti hai........

SHARARAT IN BAALIYON KI KUCH SAMAJH NAHI AATI HAI,
JAB ULAJHTI HAIN ZULFON SE TERI, BECHAIN KAR JATI HAI......!!!!!
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 18, 2024, 11:26:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer