.'.'.'.'.Kaisi hai yeh jawani.'.'.'.'.

by Saba_Saba on July 31, 2005, 08:32:12 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4751 times)
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
Reply with quote
Pal, pal karke beeti jaaye
Jalti aankhein meechi jaaye
Rang-o-noor sab leti jaaye
Apne sang ,mastaani
kaisi hai yeh jawani Huh?

har pal man muskata rehta
har din hai ek sapna sajta
har aahat par dil dhadakta
hai sab iski nishani
Haai.. kaisi hai yeh jawani

Sapne dekar jaan hai leti
jeevan ko ek rog hai deti
seena dukh se chhalni karti
baat na iski jo maani
Zaalim.... kaisi hai yeh jawani
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jawani..ka badal! by Deewana29 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Husn-o-jawani by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aai jawani ... by NewYorker in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
jawani ko.... by thelostworld in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
BE- RAHAM JAWANI by poem143s in Shayri for Khumar -e- Ishq
harashmahajan
Guest
«Reply #1 on: August 01, 2005, 04:01:09 AM »
Reply with quote
Bahoot hi sunder saba_saba ji........

lagta hai labon ki zubaan ne
dil ki baat keh daali,
bara hi khusnaseeb hai woh shaks,
jo hai is baag ka maali.
hum toh yuin hi Guzre the iske drakhta ki chhanv se,
pata nahi kyuin iski mast hawa ne hamaari neend hi chura daali.


Quote from: "Saba_Saba"
Pal, pal karke beeti jaaye
Jalti aankhein meechi jaaye
Rang-o-noor sab leti jaaye
Apne sang ,mastaani
kaisi hai yeh jawani Huh?

har pal man muskata rehta
har din hai ek sapna sajta
har aahat par dil dhadakta
hai sab iski nishani
Haai.. kaisi hai yeh jawani

Sapne dekar jaan hai leti
jeevan ko ek rog hai deti
seena dukh se chhalni karti
baat na iski jo maani
Zaalim.... kaisi hai yeh jawani
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #2 on: August 01, 2005, 06:03:39 AM »
Reply with quote
kya baat hai kamal likha hai aap dono ne ........

Madmast mausam lagta hai jab javani aati hai
ye kabhi dhup kabhi chavn kabhi barsaat main bikhoti hai
jagati hai sine main mitha sa dard, katilana har andaz banati hai
sahi hota hai haan yahi hota hai jab bhi javani aati hai
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #3 on: August 01, 2005, 06:34:54 AM »
Reply with quote
waah kya baat hai sandhya ji...bahoot khoob..

jawaani ka apna andaaz hai jaane kya kya laati hai,
jab na ho ishq manzoor toh kya kya bahaane banaati hai.
ruksat ho toh yuin hi waade ker umedein jagana hai uska karam,
dil ko deke daag aour zigar ko gam jane kyuin kahan kahaan duba jaati hai.


Quote from: "sandhaya"
kya baat hai kamal likha hai aap dono ne ........

Madmast mausam lagta hai jab javani aati hai
ye kabhi dhup kabhi chavn kabhi barsaat main bikhoti hai
jagati hai sine main mitha sa dard, katilana har andaz banati hai
sahi hota hai haan yahi hota hai jab bhi javani aati hai
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #4 on: August 01, 2005, 02:11:26 PM »
Reply with quote
Shukriya
Aap sab ne bohat achha likha hai



Is ke ghav se na koi bach paaya
Chahe kare koshish is manane ki
Yeh to ithlati huyi guzar jaati hai
Karte raho minnat is ke laut aane ki
Ek baar jo jaati hai rooth to phir maanti nahi
Jawani kehte hai jise rog hai yeh to zindagani ki
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #5 on: September 16, 2005, 05:44:01 AM »
Reply with quote
tere jalwon ne jawaani ka saya dikhaya hai
aaj saba yuin chali ki her mausam ka sitam dhhaya hai
na de iljaam ab jawaani pe yuin ai pyaar kerne waalo
is ka hi jalwaa hai jo aaj tak ik-ik ne nibhaaya hai
Logged
shaiz
Guest
«Reply #6 on: September 16, 2005, 07:48:21 AM »
Reply with quote
gud
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: September 16, 2005, 07:45:47 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #8 on: September 16, 2005, 08:12:25 PM »
Reply with quote
Bahot khoob SABA!

Javani le ayi dhadkano main tarana,
Her waqt kisi ko milane ka dil dhunde hai bahana!
Javani hai mahobaat ka mausam,
Her waqt labon pe raheta hai name sanam!

Javani main mahobat ki ravani na ho,
Kya khak jite hai woh jinki koi kahani na ho!
Javani ko jee lenge hum jee bhar ke,
Gungunayenge isey hum zindagi bhar ke liye!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: September 19, 2005, 05:00:34 PM »
Reply with quote
Good one!!!!!


Jawaani ke naam na yah kahani karegy
Jawaani se shuru hum yah rawani karegy
Dil jo diya tuje to nibhayegy umar bhar
mar ke baad jo dohraye log, hum wo kahani karegy!!!
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #10 on: September 20, 2005, 06:22:59 AM »
Reply with quote
Thanxxxxxxxxx a lot :oops: tongue3

Harsh Ji, Pooja aur Benam Ji ...... Bohat KhuuB

Aap sab ne bohat achha likha ..... tongue3 Usual Smile
Logged
BeNam
Guest
«Reply #11 on: September 20, 2005, 07:06:15 PM »
Reply with quote
Woh Kahete hai ke Javani ke naam na yeh kahani karenge,
Toh chhup chhup kar kya bus yunhi ahen bharenge,
Ger hai mahobaat toh hum zahir karenge,
Dil diya hai tumane toh tumhe jeevan sathi kahenge!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: September 22, 2005, 10:24:29 PM »
Reply with quote
WOW!! Kaya baat hai!!

bahoot khoob BeNam ji!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #13 on: September 22, 2005, 11:24:25 PM »
Reply with quote
--- Zarra nawazi hai aapki Pooja -----

Hale dil bayan karata hun mera,
Jaan lo dil se Irada hai nek mera,

Kaise kahun ke kya dil ki halat ho gayi hai,
Abhi toh naam bhi nahi jaanata main tera,
Shayad yeh meri deewangi ki had ho gayi hai,
Bina tujhe dekhe shayad mujhe mahobaat ho gayi hai!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: September 23, 2005, 09:46:06 PM »
Reply with quote
Banden ki niyat nek hai,

Husan ka yah to Ishaq per jaadu chal gaya
yah kaya hua, banda bina dekhy hi hill gaya!!
deewangi ka saroor unper is kadar chaya hai
madhoshi ka alam yahan tak rang le ayya hai!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 09:26:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer