Kaun Ho Tum

by javedarshad on September 03, 2009, 01:32:17 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1243 times)
javedarshad
Guest
Reply with quote
Kaun Ho Tum


Kaun ho tum
Jo khawabon mein samana chahete ho
Kaun ho tum
Jo murda dil ko zinda kerna chahete ho

Shaid tum ko ilm nahin
Yeh luti Hasratoon ke
Nakaam armaanooN ke
KangalooN ki basti hai
Yahan nahin kahin
Piyaar hi bheek mein milta hai
Aur nahin kahin
JazbooN ki qadr hooti hai

Han ager tum ko
Chakna choor khuwab dekhna hain
To zaroor aau
Han ager tum ko
Tadapte Ehsasaat dekhna hain
To zaroor aau

Zindagee ke Ubelte nasoor zaroor dikha sakte hain
In nasooron se riste huye betabeer khuwab,
Tadapte jazbaat zaroor dikha sakte hain

Yahan ke maikade bhi ajeeb hain
HathooN mein hasratooN ke jaam
Koii Apni aabroo peeta hai
Koii apni hammiyat peeta hai 
Koii apni begunahi peerta hai

Yahan ke Qabristanoon mein
Zindagee ne tarah tarah ke mazaarsaja rakhain hain
Kaheen chahatain dafn hain
Kahain ummeedoon ka marqad hai
Kaheen aarzuoon ka mazar hai
Kaheen khuwaboon ki panah gah hai

Tu kaun hai jo is
base basaiye qabristaan mein
Weerani phailane aaya hai
Yahan koii dil pighalne wala nahin
Kuin ke azal se sare dil murda hain
Khuda ne in ujde ,khizaan raseeda
Jazbaat, Ehsasaat aur Khuwaboon ko
Aisa mukammal ikhtiyaar diya hai
Ke kisi chaman mein bahar aahi nahin sakti
Aai mere khuwaboon mein samane wale
Aai mere dil mein basera dhoondne wale
Ja jaker apni tadapti khushiyooN ko
Jake Gale laga le
In khizaan raseeda wadiyoon se
Bahut door apna nasheman banaley



Javed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
app ka kaun tha by Azedmeer in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
KAUN...........hu.....mai........?.... by akela in Shayri-E-Dard
Yeh kaun aya by Anushka in Shayari -e- Husn
KAUN,,... by manu_c in Love Poetry in Punjabi
KAUN HAI TU? by sunilmsn in Other Languages
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 03, 2009, 01:37:48 AM »
Reply with quote
nice work javed ji... magar bahoot he dardila khumar-e-Ishaq hai yah....
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: September 03, 2009, 01:41:13 AM »
Reply with quote
Tx Pooja ji,

Jab dard hoo ga to dardeela hi mawad nikle ga



javed
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: September 03, 2009, 02:09:23 AM »
Reply with quote
Wah wah Javed ji really touching and mindblowing creation.bahut khoob  Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: September 03, 2009, 02:55:27 AM »
Reply with quote
Its really too good Javed Ji...

sach mein tadapta hua dard Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: September 03, 2009, 07:34:40 AM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Javed Bhai..

Bhaut Hi Khoobsurat Peshkash.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #6 on: September 03, 2009, 09:15:36 AM »
Reply with quote
Tx a lot Madhu  ji



javed
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: September 03, 2009, 11:57:09 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Javed Sb
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #8 on: September 03, 2009, 03:22:48 PM »
Reply with quote
shukria Angel Sahiba




javed
Logged
suraj rathod
Guest
«Reply #9 on: September 03, 2009, 05:24:28 PM »
Reply with quote
lovely javed bhai  sunny Applause Clapping Smiley love9 wave hello2 Giggle Crying Crying hello crybaby2 Crying

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #10 on: September 03, 2009, 05:26:49 PM »
Reply with quote
bahut hi khoob javed ji.. wah

jasbir singh
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #11 on: September 03, 2009, 05:29:26 PM »
Reply with quote
shukria KHWaish ji



javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #12 on: September 03, 2009, 11:40:34 PM »
Reply with quote
Talat Ji shukria



javed
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: September 03, 2009, 11:58:10 PM »
Reply with quote
Kaun Ho Tum


Kaun ho tum
Jo khawabon mein samana chahete ho
Kaun ho tum
Jo murda dil ko zinda kerna chahete ho

Shaid tum ko ilm nahin
Yeh luti Hasratoon ke
Nakaam armaanooN ke
KangalooN ki basti hai
Yahan nahin kahin
Piyaar hi bheek mein milta hai
Aur nahin kahin
JazbooN ki qadr hooti hai

Han ager tum ko
Chakna choor khuwab dekhna hain
To zaroor aau
Han ager tum ko
Tadapte Ehsasaat dekhna hain
To zaroor aau

Zindagee ke Ubelte nasoor zaroor dikha sakte hain
In nasooron se riste huye betabeer khuwab,
Tadapte jazbaat zaroor dikha sakte hain

Yahan ke maikade bhi ajeeb hain
HathooN mein hasratooN ke jaam
Koii Apni aabroo peeta hai
Koii apni hammiyat peeta hai 
Koii apni begunahi peerta hai

Yahan ke Qabristanoon mein
Zindagee ne tarah tarah ke mazaarsaja rakhain hain
Kaheen chahatain dafn hain
Kahain ummeedoon ka marqad hai
Kaheen aarzuoon ka mazar hai
Kaheen khuwaboon ki panah gah hai

Tu kaun hai jo is
base basaiye qabristaan mein
Weerani phailane aaya hai
Yahan koii dil pighalne wala nahin
Kuin ke azal se sare dil murda hain
Khuda ne in ujde ,khizaan raseeda
Jazbaat, Ehsasaat aur Khuwaboon ko
Aisa mukammal ikhtiyaar diya hai
Ke kisi chaman mein bahar aahi nahin sakti
Aai mere khuwaboon mein samane wale
Aai mere dil mein basera dhoondne wale
Ja jaker apni tadapti khushiyooN ko
Jake Gale laga le
In khizaan raseeda wadiyoon se
Bahut door apna nasheman banaley



Javed




bhut achay javed sahab mashallah
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: September 04, 2009, 02:42:41 AM »
Reply with quote
Wow very romantic... well expressed lines. Bahut accha laga padkar Javed ji. Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 02:19:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer