Khwaab hai apna muqaddar

by seraj325 on February 10, 2009, 12:18:11 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1220 times)
seraj325
Guest
Reply with quote
Khwaab hai apna muqaddar tu gila kaise karen
Door hai mujhse bahot uss se mila kaise karen

Raaste roz mohabbat ke badal jate hain
Tum kaho Rasm-e mohabbat ye ada kaise karen

Yaad se teri darakhshaan hai zindagi meri
Yaad har saa.ns me.n hai, isko juda kaise karen

Be khudi itni hai ke khud ka bhi ehsaas nahin
Aesi haalat me.n kaho yaade khuda kaise karen

Kaash yuu.n door na hoti teri basti mujhse
Deed ka shauq hai, deedaar tera kaise karen

Mil hi jati meri Laila mujhe ek din pe Seraj
Aaj ke daur me.n Majnoo si khata kaise karen.!!

by me-- Seraj
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mohabbat e muqaddar by sahil_17n in Shayri for Khumar -e- Ishq
...~~Muqaddar~~... by HumTum in Shayri-E-Dard
*** mera muqaddar *** by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
khwaab ko khwaab samajh ke khwaab ki tauheen na kar... by diya786 in Shairi - E - Zindagi
~*Muqaddar*~ by Sonia01 in Shayri-E-Dard
abdulqadeer
Guest
«Reply #1 on: February 10, 2009, 12:23:12 PM »
Reply with quote
Khwaab hai apna muqaddar tu gila kaise karen
Door hai mujhse bahot uss se mila kaise karen

Raaste roz mohabbat ke badal jate hain
Tum kaho Rasm-e mohabbat ye ada kaise karen

Yaad se teri darakhshaan hai zindagi meri
Yaad har saa.ns me.n hai, isko juda kaise karen

Be khudi itni hai ke khud ka bhi ehsaas nahin
Aesi haalat me.n kaho yaade khuda kaise karen

Kaash yuu.n door na hoti teri basti mujhse
Deed ka shauq hai, deedaar tera kaise karen

Mil hi jati meri Laila mujhe ek din pe Seraj
Aaj ke daur me.n Majnoo si khata kaise karen.!!

by me-- Seraj

AAj ke daur me majnoo si khata kaise karen !! wah bhi wah seraj sahab !! bahoth umda !! maza agaya sahab !!

Qadeer Toopchi
Logged
Naziya Tahera
Guest
«Reply #2 on: February 10, 2009, 01:11:43 PM »
Reply with quote
Bahot khoob Seraj Bhaii

Be-khudi aesi hai ki khuud ka bhi ehsaas nahin
AAesi halaat me.n hum yade khuda kaise kare.n

Waah kya bekhudi hai Bhaai..

Mil hi jati meri Laila mujhe ek din pe Seraj
Aaj ke daur me.n majnoo si khata kaise kare.n

waah waah waah
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: February 11, 2009, 11:13:43 AM »
Reply with quote
wah wah bahoot bahoot khoob seraj.. bahoot umda likha hai
bahoot acha reply kiya hai Nazia.. very nice
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 11, 2009, 11:31:45 AM »
Reply with quote
Subhan Allah, Subhan Allah, bohat Hi Achche Seraj bhaiya,.
yunhi Likhte rahiye,.
Hume Seekhne Ka Maukha Milega,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: February 12, 2009, 10:50:38 AM »
Reply with quote
Khwaab hai apna muqaddar tu gila kaise karen
Door hai mujhse bahot uss se mila kaise karen

Raaste roz mohabbat ke badal jate hain
Tum kaho Rasm-e mohabbat ye ada kaise karen

Yaad se teri darakhshaan hai zindagi meri
Yaad har saa.ns me.n hai, isko juda kaise karen

Be khudi itni hai ke khud ka bhi ehsaas nahin
Aesi haalat me.n kaho yaade khuda kaise karen

Kaash yuu.n door na hoti teri basti mujhse
Deed ka shauq hai, deedaar tera kaise karen

Mil hi jati meri Laila mujhe ek din pe Seraj
Aaj ke daur me.n Majnoo si khata kaise karen.!!

by me-- Seraj

Beautiful creation Seraj Ji..Bohot Khoob...!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: February 12, 2009, 11:03:10 AM »
Reply with quote
Aaj ke daur me majnu si khata kaise karen........

Wah Seraj kya kehne badi bhari baat kahi hain tumne last line me maza aa gaya  Clapping Smiley

Majnu Ranjha Farhad in namo se bulana GHAYEL ko
Yeh woh namurad the jinko, na khuda mila na sanam

                                  -SG-

Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #7 on: February 12, 2009, 11:05:40 AM »
Reply with quote
Aaj ke daur me majnu si khata kaise karen........

Wah Seraj kya kehne badi bhari baat kahi hain tumne last line me maza aa gaya  Clapping Smiley

Majnu Ranjha Farhad in namo se bulana GHAYEL ko
Yeh woh namurad the jinko, na khuda mila na sanam

                                  -SG-



Wah Wah Wah ghayel kya likha diya yaar !! bahoth gaheri baath kahe gaye janab !!

Qadeer Toopchi
Logged
seraj325
Guest
«Reply #8 on: February 13, 2009, 06:17:22 AM »
Reply with quote
Shukriya aap logon ka..
 
Qadeer Topchi ji,

Naziya ,

Sophi ji,

Celmira ji

Sajid Ghayal ji,

Jazakallah.
Sajid Sahab bahot khoob Sher kaha hai aapne.
waah

bahot khoob.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 01:28:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer