:: Khwahish ::

by myheart_ursonly on January 21, 2006, 06:08:00 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1575 times)
myheart_ursonly
Guest
Reply with quote
Dedicated to Nidhi

"Dhalte gaye wo tanha din,guzarti gayin wo tanha raatein,
 zindagi ka ek hissa banti gayin tumhari chahat ki baatein,

 is dil ne paaya mujhe khudse door,par tumhare paas,
 beete kitne hi pal,kam na hua tumhari mohabbat ka ehsaas,

 tumhara har khwab is dil ko bechaen karke gaya,
 har guzarta lamha in ankho me ek umang bhar ke gaya,

 ye umang ki manzil ko paane tak har pal tumhara saath mile,
 kitna hi lamba ho safar bas thhamne ko tumhara haath mile,

 ab to bas yahi khwahish hai is dil ki hardam,
 saath mile mujhe tumhara zindagi me har kadam,

 khatm hon ye dooriyan,is rishte ka koi naam ho,
 sang ho tum mere har lamha,aisi haseen har shaam ho."
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khwahish by shweta_coolest in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
ek umar namu ki khwahish... by diajee in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Yah Khwahish Meri....... by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
khwahish by kaushikbhawna008 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khwahish..........! by anjaansaya in Shayri for Khumar -e- Ishq
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: January 21, 2006, 06:18:31 PM »
Reply with quote
kya baat hai Amit ji.......very nice...kaash mein bhi aisa likh pata....... sad5
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #2 on: January 21, 2006, 06:24:05 PM »
Reply with quote
HASRAT LIYE BAITHE HAI KHAMOSH NIGAHON SE.
SHAYAD KI WO AA JAYE BHOOLI HUI RAHO SE.
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: January 21, 2006, 08:48:31 PM »
Reply with quote
very nice hearty bro. ....jab bhi likhte ho kamaal likhte ho...Wish ur dreams cum true very soon.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #4 on: January 21, 2006, 09:42:02 PM »
Reply with quote
Amit aap ne kamaal ka likha hai...

Wish you all the best

Rajbir
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #5 on: January 22, 2006, 04:54:39 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
kya baat hai Amit ji.......very nice...kaash mein bhi aisa likh pata....... sad5


thanks badnaam_shayar. meri hindi poems to waise bhi itni achchi nahin hoti, i'm sure u write better than me  Usual Smile
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #6 on: January 22, 2006, 04:57:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
very nice hearty bro. ....jab bhi likhte ho kamaal likhte ho...Wish ur dreams cum true very soon.


thanks for liking it nikki sis and rajbir, and thanks 2 both of u for ur kind and loving wishes  :D
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #7 on: January 22, 2006, 05:02:21 AM »
Reply with quote
Quote from: "burniing_desiires"
HASRAT LIYE BAITHE HAI KHAMOSH NIGAHON SE.
SHAYAD KI WO AA JAYE BHOOLI HUI RAHO SE.


Very Nice burniing desiires, here's something for you: (nm)

"Aaj na jaane kyon hum unhein yaad kiya karte hain,
unhein nahi shaayad apne guzre kal ko yaad kiya karte hain.

unke saath bitaaye lamhon me hum khilkhilaya karte the,
Aaj unhi ko soch do aansoon bahaa diyaa karte hain.

Kal unse do baatein kar jo waqt guzaara karte the,
Aaj akele tanhai se samjhauta kar liya karte hain.

Zindagi ke har pal me unka saath maanga karte the,
Aaj zindagi ke woh pal dard ke gawaah bana karte hain.

Unke saath khwaab bunne ki koshish kiya karte the,
Aaj samjhe khwaab hakeekat nahi bana karte hain.

Gam aur khushi saath baatne ke waade kiya karte the,
Aaj hum khud hi gum akele pee liya karte hain.

Aaj na jaane kyon hum fir unhein yaad kiya karte hain,
Shaayad apne dil ko dhadkano ka waasta diya karte hain...... "
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: January 23, 2006, 05:21:29 PM »
Reply with quote
Quote from: "myheart_ursonly"
Dedicated to Nidhi

"Dhalte gaye wo tanha din,guzarti gayin wo tanha raatein,
 zindagi ka ek hissa banti gayin tumhari chahat ki baatein,

 is dil ne paaya mujhe khudse door,par tumhare paas,
 beete kitne hi pal,kam na hua tumhari mohabbat ka ehsaas,

 tumhara har khwab is dil ko bechaen karke gaya,
 har guzarta lamha in ankho me ek umang bhar ke gaya,

 ye umang ki manzil ko paane tak har pal tumhara saath mile,
 kitna hi lamba ho safar bas thhamne ko tumhara haath mile,

 ab to bas yahi khwahish hai is dil ki hardam,
 saath mile mujhe tumhara zindagi me har kadam,

 khatm hon ye dooriyan,is rishte ka koi naam ho,
 sang ho tum mere har lamha,aisi haseen har shaam ho."



Thanx u sooooooooo much amit,as always very well written,thanx a lot Usual Smile .
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #9 on: January 23, 2006, 05:45:22 PM »
Reply with quote
Quote from: "myheart_ursonly"
Quote from: "burniing_desiires"
HASRAT LIYE BAITHE HAI KHAMOSH NIGAHON SE.
SHAYAD KI WO AA JAYE BHOOLI HUI RAHO SE.


Very Nice burniing desiires, here's something for you: (nm)

"Aaj na jaane kyon hum unhein yaad kiya karte hain,
unhein nahi shaayad apne guzre kal ko yaad kiya karte hain.

unke saath bitaaye lamhon me hum khilkhilaya karte the,
Aaj unhi ko soch do aansoon bahaa diyaa karte hain.

Kal unse do baatein kar jo waqt guzaara karte the,
Aaj akele tanhai se samjhauta kar liya karte hain.

Zindagi ke har pal me unka saath maanga karte the,
Aaj zindagi ke woh pal dard ke gawaah bana karte hain.

Unke saath khwaab bunne ki koshish kiya karte the,
Aaj samjhe khwaab hakeekat nahi bana karte hain.

Gam aur khushi saath baatne ke waade kiya karte the,
Aaj hum khud hi gum akele pee liya karte hain.

Aaj na jaane kyon hum fir unhein yaad kiya karte hain,
Shaayad apne dil ko dhadkano ka waasta diya karte hain...... "


thnks heart
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #10 on: January 23, 2006, 05:54:57 PM »
Reply with quote
for u HEART!!!!

Dard me koi mausam pyara na hua,
Dil hua pyasa to pani se bi gujara na hua.

Dekho zara koi bebasi humari,
Hum uske ho gaye  jo humara na hua.
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #11 on: January 23, 2006, 06:01:39 PM »
Reply with quote
i wish i could write this in hindi n dedicate it to u (heart..if u dont understand punjabi,,)

this is not just a poem,,its me,

Ik raat si Mere ISHQ  wargi,
Ik Chan si OHDI Shakal warga....
Ik badal si wich opra jiha,
Ik Tara si Mere DIL warga.....
Badal ne akhar nu CHAN luko liya,
Us Tare da kise ne SAJJAN kho liya.....
CHAN jad badal de wich poori tarah luk giya,
Bina chanani to akhr oh Tara tut giya..... Holi-2 karke phir raat muk gai,
Mere vi ISHQ wali baat muk gai.....
Hun vi oh CHAN kinia te Apni Chanani sutda hai,
Par afsos hun roz raat nu ik NAVA TARA Tutda a.....
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #12 on: June 14, 2011, 11:38:02 AM »
Reply with quote


Very Nice burniing desiires, here's something for you: (nm)

"Aaj na jaane kyon hum unhein yaad kiya karte hain,
unhein nahi shaayad apne guzre kal ko yaad kiya karte hain.

unke saath bitaaye lamhon me hum khilkhilaya karte the,
Aaj unhi ko soch do aansoon bahaa diyaa karte hain.

Kal unse do baatein kar jo waqt guzaara karte the,
Aaj akele tanhai se samjhauta kar liya karte hain.

Zindagi ke har pal me unka saath maanga karte the,
Aaj zindagi ke woh pal dard ke gawaah bana karte hain.

Unke saath khwaab bunne ki koshish kiya karte the,
Aaj samjhe khwaab hakeekat nahi bana karte hain.

Gam aur khushi saath baatne ke waade kiya karte the,
Aaj hum khud hi gum akele pee liya karte hain.

Aaj na jaane kyon hum fir unhein yaad kiya karte hain,
Shaayad apne dil ko dhadkano ka waasta diya karte hain...... "


really well written shyari
hats off to you....
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nikki
Guest
«Reply #13 on: June 17, 2011, 08:54:05 PM »
Reply with quote
i wish i could write this in hindi n dedicate it to u (heart..if u dont understand punjabi,,)

this is not just a poem,,its me,

Ik raat si Mere ISHQ  wargi,
Ik Chan si OHDI Shakal warga....
Ik badal si wich opra jiha,
Ik Tara si Mere DIL warga.....
Badal ne akhar nu CHAN luko liya,
Us Tare da kise ne SAJJAN kho liya.....
CHAN jad badal de wich poori tarah luk giya,
Bina chanani to akhr oh Tara tut giya..... Holi-2 karke phir raat muk gai,
Mere vi ISHQ wali baat muk gai.....
Hun vi oh CHAN kinia te Apni Chanani sutda hai,
Par afsos hun roz raat nu ik NAVA TARA Tutda a.....

superbbbb excellent naya_daur ji...n brilliant Amit
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 07:38:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer