"Khwaish" Ko Mohabbat Hai Mohabbat Se....

by khwaish on July 29, 2010, 07:33:37 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4297 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
Reply with quote
Aarzoo-E-Dil kab Machle  Gumaan Hota Nahi
Yeh Ishq Ek Aisi Aag hai jiska Dhuaan Hota Nahi...

Ishq Ki Raah mein Dard Bhi Mitha Lagta Hai!!!
Chot Lag jaaye To koi Nishaan Hota Nahi...

Jisne Bhi Ishq Ki Tadap Mehsoos Ki Hai Woh Hi Jaane
Paau Ke Neeche Zameen Aur Sar par Aasman Hota Nahi..

Kasme-Waade Karna Asaan hai Par Unn Waado ko Nibhaana Mushkil
Ishq Karne Se Pehle Zara Sochlo,Ishq Kabhi Asaan Hota Nahi...

Jab Dil Dard Deta Hai To Aankh se Aansu Behte Hai
Aur Gham-e-dil par Kabhi Koi Meharbaan Hota Nahi...

Aaj "Khwaish" Ko Bhi Mohabbat Hai Mohabbat Se!!!!
Bin Mohabbat Ke Insaan Bhi Kabhi Insaan Hota Nahi...

                ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"YAQEEN MERI MOHABBAT PE AAYA" by k.shael in Shayri-E-Dard
"Hamein Kaash Tumse Mohabbat Na Hoti" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
~~"APNI MOHABBAT ME DHOKHA KHAYE HAI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~~"AASHIK KO MOHABBAT ME KUCH MILTA NAHI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
Jinhe Mohabbat Se Mohabbat Naa Ho "Khwaish" by khwahish in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #1 on: July 29, 2010, 07:35:02 AM »
Reply with quote
wowwwwwwwwwww.........superbbbbbbbb poetry khwaish ji.....

wait for my reply ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #2 on: July 29, 2010, 07:50:46 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Wah Khwaish ji wah... bahut khoob likha hai aapne... bahut sundar... aur ekdum sach likha hai aapne... sach me mohabbat asaan nahi hota.... bahut bahut khoob...!!
!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #3 on: July 29, 2010, 08:08:32 AM »
Reply with quote
Aarzoo-E-Dil kab Machle  Gumaan Hota Nahi
Yeh Ishq Ek Aisi Aag hai jiska Dhuaan Hota Nahi...

Ishq Ki Raah mein Dard Bhi Mitha Lagta Hai!!!
Chot Lag jaaye To koi Nishaan Hota Nahi...

Jisne Bhi Ishq Ki Tadap Mehsoos Ki Hai Woh Hi Jaane
Paau Ke Neeche Zameen Aur Sar par Aasman Hota Nahi..

Kasme-Waade Karna Asaan hai Par Unn Waado ko Nibhaana Mushkil
Ishq Karne Se Pehle Zara Sochlo,Ishq Kabhi Asaan Hota Nahi...

Jab Dil Dard Deta Hai To Aankh se Aansu Behte Hai
Aur Gham-e-dil par Kabhi Koi Meharbaan Hota Nahi...

Aaj "Khwaish" Ko Bhi Mohabbat Hai Mohabbat Se!!!!
Bin Mohabbat Ke Insaan Bhi Kabhi Insaan Hota Nahi...

                ~~~~~Khwaish~~~~~

koshish ki hai khwaish ji aapke saamne kuch likhne ki....ummeed karti hun pasand aayega...

pyar ishq mahobbat lafz hain deewanon k
inka hakikat me koi mol hota nahin..

pagal hain wo jo mar mitte hain mahobbat k naam par
unka asliyat se samna kabhi bhi hota nahin...

khoye rehte hain wo apne khwabon ki duniya me
tut jate hain jab khwaab koi pura hota nahin...

kehne me bht aasan hai k pyaar hai mujhe
par pyaar ka asli matlab unhe pata hota nahin

pyaar sirf paana ya haasil karna nahin hai dost
isme apne hath apne pass kuch bhi bachta nahin

zindagi me pyar se jyada jaruratein ahmiyat rakhti hain
ye kyun ye pyaar me pagal dil kabhi samjhta nahin...!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #4 on: July 29, 2010, 08:12:49 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahut khoob....!!!

pyar ishq mahobbat lafz hain deewanon k
inka hakikat me koi mol hota nahin..

pagal hain wo jo mar mitte hain mahobbat k naam par
unka asliyat se samna kabhi bhi hota nahin...

khoye rehte hain wo apne khwabon ki duniya me
tut jate hain jab khwaab koi pura hota nahin...

kehne me bht aasan hai k pyaar hai mujhe
par pyaar ka asli matlab unhe pata hota nahin

pyaar sirf paana ya haasil karna nahin hai dost
isme apne hath apne pass kuch bhi bachta nahin

zindagi me pyar se jyada jaruratein ahmiyat rakhti hain
ye kyun ye pyaar me pagal dil kabhi samjhta nahin...!!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #5 on: July 29, 2010, 08:14:27 AM »
Reply with quote
shukriya ji klaskar ji aapka ...jo aapne ise pasand kiya...ab dekhen khwaish ji ki kya rai hai iss bare me...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #6 on: July 29, 2010, 08:51:09 AM »
Reply with quote
koshish ki hai khwaish ji aapke saamne kuch likhne ki....ummeed karti hun pasand aayega...

pyar ishq mahobbat lafz hain deewanon k
inka hakikat me koi mol hota nahin..

pagal hain wo jo mar mitte hain mahobbat k naam par
unka asliyat se samna kabhi bhi hota nahin...

khoye rehte hain wo apne khwabon ki duniya me
tut jate hain jab khwaab koi pura hota nahin...

kehne me bht aasan hai k pyaar hai mujhe
par pyaar ka asli matlab unhe pata hota nahin

pyaar sirf paana ya haasil karna nahin hai dost
isme apne hath apne pass kuch bhi bachta nahin

zindagi me pyar se jyada jaruratein ahmiyat rakhti hain
ye kyun ye pyaar me pagal dil kabhi samjhta nahin...!!!

Bahut bahut Khoob Anamika Ji..Kya Kehne Aapke..

par..

Pyaar,Ishq,Mohabbat Ek Aisa Jazba Hai
Jo umar Bhar Saath rehta Hai
Pucho Kabhi Uss Insaan Se Jinhe Yeh Haasil nahi
Uski Aankh Se Ashq ka Katra Behta Hai...

Main Yeh nahi kehta Ke Ishq Asaan Hai
Par Ishq Ki Apni Ek pehchaan hai!!!!
Jisse Ishq Haasil Nahi,
Woh Mehfilon Bhi Mein Tanha Rehta Hai,

Ishq Hi Aisa Jazba Jo Umar Bhar saath Rehta Hai..

Yeh Naa Kaho, Ke Haqeeqat Mein
Inn Ehsaaso Ka Koi Mol Nahi,
Jisse Ishq Kabhi Haasil Naa Hua Ho,
Woh Naa Jaane Kitna Dard Dil Hi Dil Mein Sehta Hai

Yeh Ishq Hi Aisa Jazba Hai Jo Umar Bhar Saath Rehta Hai...

Maana Humne bhi Ke
Insaan Ki Kayi Zaroorate Hai!!!
Par Kabhi Kisi Tanha Insaan Ko pucho,
Uski Sabse Badi Zaroorat Kya Hai..
Woh Bhi Bhari Aankhon Se Yeh Kehta Hai...

Yeh Ishq Hi Aisa Jazba hai Jo Umar Bhar Saath Rehta hai...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #7 on: July 29, 2010, 08:58:41 AM »
Reply with quote
bht khubbb khwaish ji.... Applause Applause Applause Applause

par... Feared. Feared. Feared. Feared.

kya apna pyaar pakee insan khush rehta hai
kya koi dard use na fir kabhi hota hai

kya wo har roz k haalaton me haske jeetahai
kya apne pyaar ki wo tab bhi ijjat karta hai

jiske liye wo har tooofaan se khelta hai
jiske liye har tadap har ilzaam sehta hai

kya us pyaar ko apna banane k baad
wo uski kabhi ahmiyat samjhta hai

bhul jata hai wo pyar wo ishq wo mahobbat ki batein
jab zindagi ki safar k utaar chadhav se guzarta hai

lagti hain ruumani khwabon wali baatein bemaani
jab mehangai k daldal me wo ghasta hai...!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #8 on: July 29, 2010, 09:13:57 AM »

Anamika Ji,Aakhri Do Sher ne to raungte khade kar diye..
aapki gehri soch ko salaam Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

par... tongue3

Maana Humne Bhi Ke Pyaar karna Asaan hai
par Pyaar Nibhaana Mushkil
Chot Khaana Asaan hai
Par chot khaakar Muskurana Mushkil...

PAR

Sirf Haasil karna Bhi To Koi Pyaar Nahi
Woh Aashiq Jhoota hai Jisse Apne Sanam Ki Majbooriyon ka Satkaar Nahi...

Zindagi mein Utaar-Chadaau se Har koi Guzarta Hai
Kya Kisi Ko Apne Sanam Ki waffa Par itna Bhi AItbaar nahi...

Gar Saath Koi Ho To Har Mushkil ka Saamna Kar Sakte hai
Pathjad Ke Mausam jab saath dekhe hai to Kya Bahaar Ka Intezaar Nahi...

Eh mere Dost!!!! Pyaar To Pyaar Hi Hai!!!!
Faayde-Munaafe Ke Tol-Mol Mein Jo Fassa rahe,
Pyaar Aisa Koi Karobaar Nahi....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #9 on: July 29, 2010, 10:14:14 AM »
Reply with quote
bht payra reply ji...ispe to jitni bahas karo kum hai...na insaan pyaar bina jii sakta na use khokar...

ye pyar bahot hi ajeeb shai hai........
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #10 on: July 29, 2010, 10:22:42 AM »
Reply with quote
bht payra reply ji...ispe to jitni bahas karo kum hai...na insaan pyaar bina jii sakta na use khokar...

ye pyar bahot hi ajeeb shai hai........

Bikul sahi kaha Aapne,Iss Topic Par Jitna Baat kare Utna Kam hai..

Par Anamika Ji humein aapke jawaab ka intezaar hai..

Plz kuch Zaroor likhiyega icon_flower
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: July 29, 2010, 08:33:07 PM »
Reply with quote
Kya baat hai Khwahish Dost aur Anamika di...bahaut khubsoorat likha hai aap dono ne hi...

Khwahish Dost. yeh quoted poem apki issi thread main mujhe aisa laga kay mere liye likhi ho jaise..har baat har lavz dil main uttar gaya... Applause
Bahut bahut Khoob Anamika Ji..Kya Kehne Aapke..

par..

Pyaar,Ishq,Mohabbat Ek Aisa Jazba Hai
Jo umar Bhar Saath rehta Hai
Pucho Kabhi Uss Insaan Se Jinhe Yeh Haasil nahi
Uski Aankh Se Ashq ka Katra Behta Hai...

Main Yeh nahi kehta Ke Ishq Asaan Hai
Par Ishq Ki Apni Ek pehchaan hai!!!!
Jisse Ishq Haasil Nahi,
Woh Mehfilon Bhi Mein Tanha Rehta Hai,

Ishq Hi Aisa Jazba Jo Umar Bhar saath Rehta Hai..

Yeh Naa Kaho, Ke Haqeeqat Mein
Inn Ehsaaso Ka Koi Mol Nahi,
Jisse Ishq Kabhi Haasil Naa Hua Ho,
Woh Naa Jaane Kitna Dard Dil Hi Dil Mein Sehta Hai

Yeh Ishq Hi Aisa Jazba Hai Jo Umar Bhar Saath Rehta Hai...

Maana Humne bhi Ke
Insaan Ki Kayi Zaroorate Hai!!!
Par Kabhi Kisi Tanha Insaan Ko pucho,
Uski Sabse Badi Zaroorat Kya Hai..
Woh Bhi Bhari Aankhon Se Yeh Kehta Hai...

Yeh Ishq Hi Aisa Jazba hai Jo Umar Bhar Saath Rehta hai...

Logged
MHussain
Guest
«Reply #12 on: July 29, 2010, 08:56:53 PM »
Reply with quote
Achey jazbat heyn
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: July 30, 2010, 12:26:57 AM »
Reply with quote
                           Kabhi  Banke  Sukoon  Qaraar  Deti Hai
                       To  Kabhi  Dard  Jigar  Ke Paar  Deti Hai

                       Kahan Tak Bachoge Isse Shihab, Yeh To
                       Har Rang Roop Men Shumaar  Rehti Hai.

Khubsoorat likha hai Shihab bhaijan...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #14 on: July 30, 2010, 06:55:25 AM »
Reply with quote
wowwwwwwwwwww.........superbbbbbbbb poetry khwaish ji.....

wait for my reply ji

Thankyou Sooooooooooooooo Much Ji..

Stil waiting for ur reply.. icon_flower
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 07:27:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.19 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer