*****Maana tum husn wale ho****

by baadal102 on February 05, 2008, 04:31:33 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2462 times)
baadal102
Guest
Reply with quote
Maana tum husn wale ho,garoor wale ho,

Lakh Chupo tum dunia se,
Khud ko chupa ke hume jalate kyo ho,

Bechain tum bhi ho mere liye.
Fir Ek jhalak ko tere hume tarsate kyo ho,

Rehte ho aas pass mere,
Fir dur hone ka ehsaas karate kyo ho,

Reh nahi sakte humare bina,
Fir humare aane ka intzaar karte kyo ho,

Singaar karte ho sirf hamare liye,
Fir parda nashi ban ke khud ko chipate kyo ho,

Garoor aa hi jaata hai husn ko,
Garoor ker ke khud ko satate kyo ho!!!!!


Baadal
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aye husn wale..... by Amit Janglan in Shayari -e- Husn « 1 2  All »
ae husn wale by majid in Shayari -e- Husn « 1 2  All »
husn wale bhi by mms in Shayari -e- Husn
Maana Aur Bahut Aenge by kamal.shayari in Share Poetry You Like
Maana ta khuda ki lakheer pe by chaltechalte in Pain in Love : Punjabi poetry
Roja
Guest
«Reply #1 on: February 05, 2008, 04:48:14 PM »
Reply with quote
Nice creation Baadal ji
Logged
punam
Guest
«Reply #2 on: February 05, 2008, 04:49:55 PM »
Reply with quote
Bahot khoob baadal ji...
Logged
baadal102
Guest
«Reply #3 on: February 05, 2008, 04:51:28 PM »
Reply with quote
thanx roja ji & punam ji


Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: February 05, 2008, 04:51:55 PM »
Reply with quote
wah ji kaya baat hai.. bahoot khoob baadal ji!!!
ek koshish meri taraf se:

Husan ko garoor, ashiq ke payar se atta hai
mujhe to bada nadan Ashiq, najar atta hai

Bechaini uski main hi to pyar najar atta hai
Husan ke dil ko karaar issi se atta hai

Rahte hai tere aas pass, aor kaha jayege
Kaise Ashiq ko phir, inkaar najar atta hai

Husan ke intzaar main shama ka jalna hai
Kayun phir Ashiq itna, bekraar najar atta hai

Shingar hai tere liye, aor parda zamne ke liye
Thehar thora sa, kyun itna be-sabar najar atta hai

Janta hai sara jahan, husan ke in adao ko
Jitna jhuka hai Ashiq, utna hi husan ko us per pyar atta hai

Husan ko garoor, ashiq ke payar se atta hai
mujhe to bada nadan Ashiq, najar atta hai.........
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: February 05, 2008, 04:53:19 PM »
Reply with quote
bahut khoob didi..

Koyi saat de na de .. tum mere saat raho
Mere andheron main banke saat chandni raat raho
Pyar jab tumne kiya toh wafa nibana
sirf saanson main banke dhadkano hayaat raho
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: February 05, 2008, 04:55:51 PM »
Reply with quote
shukaria pooja, wah kaya khoob likha hai Roja!!! Good one!!
Logged
baadal102
Guest
«Reply #7 on: February 05, 2008, 04:56:14 PM »
Reply with quote
bahut aache pooja ji
verry good lines

Shingar hai tere liye, aor parda zamne ke liye
Thehar thora sa, kyun itna be-sabar najar atta hai



Baadal
Logged
baadal102
Guest
«Reply #8 on: February 05, 2008, 04:59:22 PM »
Reply with quote
roja ji bahoot khoob


Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 05, 2008, 05:01:11 PM »
Reply with quote
bahut aache pooja ji
verry good lines

Shingar hai tere liye, aor parda zamne ke liye
Thehar thora sa, kyun itna be-sabar najar atta hai

Baadal

humm koi jawab nahi... sad5
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #10 on: February 06, 2008, 09:07:35 AM »
Reply with quote
hushn waalon ke naam ek chhota sa peigaam
bas pad leina na lagana hum par koyi iljaam...

Mere Haalat par na hans Ae mujhe girane waale
ab darta hai tu mujhey girta hua dekhkar
jab girne ki aadat si ho gayi hai mujhey....

oothake girana , Girake oothana , Fir se Girana--Girana Girana
shyad girne se bachana inn hasinao ka kaam nahin
yeh chand alfaaf chand hasinaon ke naam
jinhey apne rang roop par kuchh zyada he naaz hai

Inke har ek andaaz ko kya kahein janaab
surkh honthon ki laali ya sharabi Shabab
madhosh madmast karte hain janab

chahat aarjooo tamanaayein sharabi
yeh haalat sabhi ki inhone bana di

gir ke fida fir bhi harke inn par

gira ke oothana gar tumhi ne hai humko
toh hamein kasam khuda
hum bhi 100 baar gir jaaye
girey na kahin koyi Bas khuda maan jaaye
hamein aur hamein bas hamein he giraye....

Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #11 on: February 06, 2008, 09:49:59 AM »
Reply with quote
Nice creation Baadal ji
Maana tum husn wale ho,garoor wale ho,

Lakh Chupo tum dunia se,
Khud ko chupa ke hume jalate kyo ho,

Bechain tum bhi ho mere liye.
Fir Ek jhalak ko tere hume tarsate kyo ho,


Raat ke andhera kab tak suraj ko chupayega,
Amavas ka chand kab tak apni chandani ko chupayega
kab tak phool jaisa chehre bhavre se chupa rahega,
kab tak mehkhana devdas se door rahega
Logged
baadal102
Guest
«Reply #12 on: February 06, 2008, 11:34:50 AM »
Reply with quote
bahut aache zakhmola ji
bahut choti koshish mere taref se



Dekh surat husn ki,
Ashiq bekarar ho jaata hai,

Bechania tab bad jaati,
Jab husn ko pyar ashiq pe aata hai,

Shingaar mai husn chand nazar aata hai,
Ye dekh ashiq tadap jaata hai,

Maana husan ko garoor,
Ashiq ke payar se atta hai,

Husn ye kyo bhoolta hai,
Use banane wala bhagwan nahi ashiq kehlata hai!!!!!



Baadal






Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: February 06, 2008, 02:09:19 PM »
Reply with quote
bahut aache zakhmola ji
bahut choti koshish mere taref se



Dekh surat husn ki,
Ashiq bekarar ho jaata hai,

Bechania tab bad jaati,
Jab husn ko pyar ashiq pe aata hai,

Shingaar mai husn chand nazar aata hai,
Ye dekh ashiq tadap jaata hai,

Maana husan ko garoor,
Ashiq ke payar se atta hai,

Husn ye kyo bhoolta hai,
Use banane wala bhagwan nahi ashiq kehlata hai!!!!!



Baadal


Aapka choti si koshish bahut accha laga padkar. Yu hi aise choti choti koshishein karte rehna Baadal sb.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: February 06, 2008, 03:27:47 PM »
Reply with quote
zakhmola nice lines, magar samjh bahoot kam aai hai.. apki poem mai khumar kam aor gussa jayada najar ayya... jo mai samjh saki!!! Ho sakta hai ki main galat samjhi hu!!!

Baadal ji kaya khusurat koshish ki hai apne!! bahoot khoob!!

Husan ne kab kaha ki use Rub ne banaya hai
Chehre per yah noor, Ashiq ki deewangi se aaya hai

Husan ki adao ko, jab jab Ashiq ne uthaya hai
Husan ki agan ko, utna hi aor jalaya hai

Bechaini Ashiq ki, husan ko bhi bechain karti hai
Ashiq ke garoor ke samne, tabhi to husan ne sir jhukaya hai

Shingar husan ka, Ashiq ki najaro se hi to ayya hai
Jo husan wo dekhein, wo zamane ko kaha najar ayya hai

Husan ne kab kaha ki use Rub ne banaya hai
Chehre per yah noor, Ashiq ki deewangi se aaya hai...............

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 01:51:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.158 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer