~main to sada ghareeb tha chalo kuch to mujhe mila hai ~

by fakharenaveed on June 13, 2005, 07:53:14 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2814 times)
fakharenaveed
Guest
Reply with quote


parchai ko bhi teri pa na saka main


jab Armanon ka chingariyon se wasta pada


daman ko bhi aag se bacha na saka main


tote hoye sapnon ki ladi phir se jod kar


armanon ka phir haar bana na saka main


tujh se teri yaadein mehboob hain hamain


khushbo main base khat jala na saka main

rehna udas ab meri adat si ho gayi


soyi jo qismat to jaga na saka main

kuch reshte bade ajeeb the


jin main na muhabbaton ka dard tha na


na hasraton ka junoon tha


na nazron main raaz tha

na rafaquton ka saaz tha

woh rishte barde fuzol the

jazbat ki aik bhol the

yeh hamare rishte ki to baat hai


ke dukhon bhari aik raat hai


ke tu ne tujhe bhula diya

jazbon ko main ne sula diya


tu to bada rafiq tha


main to sada ghareeb tha


chalo kuch to mujhe mila kabhi

yeh ghamon ka qafla sahi



yeh gham hi mere liye kafi hai

ke kuch zindagi baqi hai

Logged
amrita
Guest
«Reply #1 on: June 13, 2005, 08:08:12 PM »
Reply with quote
shikayat na karta zamanese koi
agar laut aata bulane se koi
kisko naa fir karte yaad...
agar bhul jata bhulane se koi!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #2 on: June 13, 2005, 08:12:25 PM »
Reply with quote
Kya Pata Tha, Yeh Khushi Honthon Se Bhi Chhoti Hoti Hai,
Magar Eh Bewafa, Is Dil Se Badi Koi Cheez Nahin Hoti Hai
Logged
amrita
Guest
«Reply #3 on: June 14, 2005, 09:01:23 AM »
Reply with quote
Quote from: "fakharenaveed"
Kya Pata Tha, Yeh Khushi Honthon Se Bhi Chhoti Hoti Hai,
Magar Eh Bewafa, Is Dil Se Badi Koi Cheez Nahin Hoti Hai


duniya ko aasani se bewafaa kehto ho
kya tum logon se sacha pyaar karte ho...??
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #4 on: June 14, 2005, 08:36:22 PM »
Reply with quote
woh haal e dil jantay bhi hain
mera dard e dil mantay bhi hain
humray dil mein hai kia
lgta hai woh humari baat nahin mnty hain
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #5 on: June 16, 2005, 10:35:57 AM »
Reply with quote
Good fakharenaveed and amrita ..


Both of u very nice..

Keep it up..

Ques...
Logged
amrita
Guest
«Reply #6 on: June 16, 2005, 11:15:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "fakharenaveed"
woh haal e dil jantay bhi hain
mera dard e dil mantay bhi hain
humray dil mein hai kia
lgta hai woh humari baat nahin mnty hain


tumhein kitna chahatein hai
tumhein achi tarah pehchaantey hain
agar tumhari har baat nahi mantey
tumhare liye saari raat nahi jaagtey..

thanks qutubuddin!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #7 on: June 16, 2005, 06:44:42 PM »
Reply with quote
chahtoon ka soda na kroo hum s dost
pyar itna bhi na krro hum s dost
Logged
amrita
Guest
«Reply #8 on: June 17, 2005, 10:21:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "fakharenaveed"
chahtoon ka soda na kroo hum s dost
pyar itna bhi na krro hum s dost


chahaton ka sauda tab kartey
agar kisi se pyaar katrey

hum pyaar ko hain khel samjtey
logon ke dilon se ab hai kheltey

sach bataye toh is khel mein ab mazaa hai aata
jab harne waalon ki ankhon mein hum apni guzri hui zindagi hai dekhtey

kash ki humney pyaar nahi kiya hota
humsein pyaar karne waale ne humara dil nahi toda hota..
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #9 on: June 17, 2005, 12:07:58 PM »
Reply with quote
Pyar bada harjai hai
isme milti bas rusvai hai
log karte hai baatein badi badi
har kisi ne mahobat dafnai hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #10 on: June 17, 2005, 07:11:32 PM »
Reply with quote
Dil is qdar tot chuka hai k aab yeh
kisi k liye nahin trap ske ga aab yeh
Logged
amrita
Guest
«Reply #11 on: June 17, 2005, 07:16:49 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Pyar bada harjai hai
isme milti bas rusvai hai
log karte hai baatein badi badi
har kisi ne mahobat dafnai hai


hum apni mohobbat ab kabhi dafan nahi karenge
kyunki kisi se hum pyaar hi nahi karenge

jaangaye hai ki pyaar mien milti sirf rusvaai hai
humein milne waala har koi harjaai hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #12 on: June 17, 2005, 07:36:40 PM »
Reply with quote
Harjai woh nahin tha shyad majboor tha
kisi ney bhra us k dil mein kuch ftoor tha
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #13 on: June 17, 2005, 10:20:10 PM »
Reply with quote
jab tark-e-wafa karti hai dahar.....
to rishta-e-khulus kyun karen hum.....

shab-e-wasl gujarta hain gairon ke saath.....
silwat-e-bistar ki khwahish kyun karen hum....
Logged
vaibhav7143
Guest
«Reply #14 on: June 18, 2005, 04:50:44 AM »
Reply with quote
Pyar Pyar To Sab Kehte Hain
Karta Koi Nahi
Sab Kehte Hai mar Jayenge
Par Marta Koi Nahi
Quote
[/color][/b]
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 04:07:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.392 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer