Meri Kahani...

by CoolGirl on March 22, 2007, 11:34:19 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 9763 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #30 on: May 14, 2007, 08:13:31 AM »
Reply with quote
jawani wo nasha hai ,jise mahoobat pi gayi
unki ek nazar hi jaadu chala gayi

kerliya tha iraada ke nahi karenge aisi khata
per nazrein khud bakhud unpe jaam gayi

bin piye jaane kaisa nasha sa hogaya
ab to band aankhon mein bhi unki tasweer saama gayi

dil thame hum khaare rahe bich sadak pe
aur wo ankhiyon se gal kar gayi

ab to intezar mein b maaza aane laga hai
ke humari saari jawani ussi mein hi guzar gayi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri kismat ki kahani by gum in Shayri-E-Dard
Meri Kahani.. Meri Zubani by Aashique in Shayri-E-Dard
'kahani teri' ( meri kyu lagti hai) by samnoj in Miscellaneous Shayri
meri kahani by Singh is king in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERI KAHANI MERI JUBAANI by amarhellboy in Shayeri for Dard -e- Bewafai
CoolGirl
Guest
«Reply #31 on: May 18, 2007, 07:43:28 AM »
Reply with quote
jane kyun tujhe pe hai barosa
ye dil to baut bar hai toota

apno se hi khaen hain zakhm
ab geeron se joor raha hai rishta

hum badly mein chahany ki khwaish nahi kerty
per koi iss tarha to ruswa nahi kerta

jo maanga unno ne humne woh hai diya
hogaye juda bina bole ek bar mang hi liya hota

ye haath ab thama hai tum ne
ab tum banke aaye ho meri zindagi mein farihta

raaz ki baatein sabko batate nahi hain
per unse chupate nahi jo dil mein hai rehta

pehla pyaar jald bhulaya jaata nahi
RANI ki aankhon mein aaj bhi wo manzar hai jalakta
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #32 on: May 19, 2007, 08:12:48 AM »
Reply with quote
jiske ho maasoom irade,use kya pata kya hai shatranj ke pyade
jo chala na ho angaaro par use kya pata raakh kya hai
jisne dekhi hi nahi nayi subah,use kya pata raat ki chandni kya hai
jiske liye pathar hi sona hai use kya pta heera kya hai


jo khud main hi khoya ho use kya pata zindagi kya hai
jisne pyar hi naa kiya ho..use kya pata nafrat kya hai
jo sach se hi bhag raha hai,use kya pata asli daud kya hai
jo apne hi saaye se darta ho use kya pta khauf kya hai


jo khud se hi bhaag raha ho use kya pata...bandeeshe kya hai
jisne kabhi haar hi naa dekhi ho use kya pta asli jeet kya hai
jo roya hi naa ho kabhi use kya pta khushi kya hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #33 on: May 22, 2007, 01:46:56 PM »
Reply with quote
chahe nafrat karo ya muhabbat
karoge to mujhse hi dilki chahat

ye dono hue jata hai dilse
kya gham hai chahe wo ho nafrat

aazmalo tum jitna bhoola na paaoge
hum to tumari badal denge ye fitrat

ab to tumhain pana hi hai humari aarzo
laar jayenge sabse ho chahe wo kismat

ker sakte ho jitna kerlo utne sitam
tumare diye dard ki hogayi hai hume aadat

ab bhi tum samaj na paaeye mere ishq ko
aanjan ho tum isse kya kare tumse shikayat

humne to kya hai kerte hain aur kerte rehenge
tumhi se bas RANI tumhi se muhabbat
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #34 on: May 23, 2007, 09:31:44 AM »
Reply with quote
guzre lamhon ki wo yaadein
har dard ko mita jati hain
teri pyar baari wo baatein
muskurahat leaati hain

mehfil chahe kitni haseen kyun na ho
dil mein chupe aanson kabhi biyan na ho
teri baahon ka wo aachal
aanson pohoj jati hain

neend aankhon mein jab aati nahi
gham ki raat jab guzarti nahi
teri zulf ki wo gattein
humein sula jati hain

gher ke her koone se teri yaad jhalakti hai
her jaaga bas tu hi tu dekti hain
tanhayi ka ehsas jab hota hai
teri yaadein humsafar banjati hain
her dard mita jati hain
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #35 on: May 25, 2007, 07:09:46 AM »
Reply with quote
aaj socha unne mein khat likhun
iss dil ka paigham likhun

sang uske beetae wo lamhe
wo subah wo shaam likhun

boondon mein unka aks
barish ki wo chham chham likhun

na khatam hone wala ek intezar
ya wo saari umeedein nakaam likhun

raat ki rani ya subah ka aachal
wo mulakatein tamaam likhun

wo shararatein wo haseen ishaare
labon ki wo tabassum likhun

rangeen hui thi jab wo duniya
ab hai wo gumsum likhun

aankhon ke wo sulagte tarz
veerani ka aalam likhun

jo kati na sath uske wo raat
ya judai ka wo gham likhun

kuch lafzon ki ladiyaan
gazal,rubaayi,ya nazm likhun
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #36 on: May 26, 2007, 11:03:12 AM »
Reply with quote
dard hi to mera saathi hai
sang uske chal deti hon

dard hi to mera saaz hai
usko geet bana leti hon

dard hi to meri qalam hai
usko gazal bana leti hon

dard hi to wo khusboo hai
jis se taan mehak leti hon

dard to bangaya hai dhadkan
pal pal dhadka leti hon

ruswa jo tum kergaye to dard milgaya
us dard ke shahare jeevan beeta leti hon

kitna haseen thofa tum mujhe degaye
usko likhun usko padhun ussi se khel leti hon

dard to ab bangaya hai meri saansen
dekhe kab tak chala leti hon
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #37 on: May 29, 2007, 10:25:29 AM »
Reply with quote
barson beet gaye ek diya jal raha hai ab tak
lagaye aas sang mere intezar ker raha hai ab tak

hawaon ke zor ne hi kya tu bhi to isse bhuja na paaya
hai kitna zor iss pyaar mein beyan ker raha hai ab tak

zid pe jab aajaye to her shaa ko faana kerde ye
iski hi inayat hai ke dil dhadak raha hai ab tak

Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
aankhon mein tera chera jhalak raha hai ab tak

afsana to mera adhora reh gaya hai phir b
nadan dil muhabbat ker raha hai ab tak

baanhon mein hoti hai mehsoos teri kaami
baharon ka mausam aa raha hai ab tak

maalum tha RANI aanjam muhabbat ka
ishq barta ja raha hai ab tak
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #38 on: June 01, 2007, 02:50:14 PM »
Reply with quote
Ye Meri Aankh Hai Ke Jheel Ka Behta Koi Paani
Khushi Ki Baat Bhi Sun Luye Aankhein Bheeg Jaati Hai

Chhupa Rakhi Hai Ek Tasveer Teri Kabse Is Dilne
Ye Jab Bhi Yaad Karta Hai Ye Aankhein Bheeg Jaati Hai

har aansu mein baasi hai teri yaadein tamam
jab yaad aate hain wo guzre lamhe aankhein bheeg jaati hai

na tum bewaafa the na humne ki koi khata
iss rooti kismat pe aankhein bheeg jaati hai

har aansu leta hai bus tera hi naam
jab bhi likhna chaha dilka paigam aankhein bheeg jaati hai

hai inhi aansuon ki kasam RANI ab ye karenge saanso ka kaam
per jab socha tere bina jeene ka to aankhein bheeg jaati hai...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #39 on: June 02, 2007, 09:27:53 AM »
Reply with quote
Har lafz me hamari hi tasweer pao ghe
Parhne ko jab bhi tum apni kitaabein uthao ghe

Keh do na ab saaf-saaf k ham se hi pyar he
Eyse kab talak ye mohabbat chopao ghe

aankhein mohabbat ki zuban hoti hain
kabhi to apni aankhein humse milao ghe

pata hai humko ke khayalon mein khoye rehte ho
kya unhi khayalo khayalo mein duniya basao ghe

kismat se milta hai ek baar ye haseen pyaar
gaya waqt to phir na wapas pao ghe

her raah dhadkan se saja de hai teri raahguzar mein
ab RANI aur kitna intezar kerwao ghe
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #40 on: June 02, 2007, 09:43:28 AM »
Reply with quote
Tere akhlas se mohabbat ki hai
Tere ahsas se mohabbat ki hai

Tu mere paas nahin hai phir bhi
Teri yaad se mohabbat ki hai

Main tum ko kis tarah bhool sakti hoon
Main ne tere osaaf se mohabbat ki hai

Kabhi to tu ne bhi muje yaad kiya ho ga
Mai ne on lamhat se mohabat ki hai

Jin main hoon sirf teri or meri baatien
Mai ne on oqaat se mohabbat ki hai

Or jo mehkain ho sirf teri hi mohabbat se
Mai ne on jazbat se mohabbat ki hai

Tujh se milna to ab khuwab sa lagta hai
Mai ne tere intzar se mohabbat ki hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #41 on: June 03, 2007, 01:00:34 PM »
Reply with quote
Masoom hai muhabbat dil ki naadaniyan thi
maana hui hai humse khata per aisi b kya berukhi


na dena tum aisi saaza,ke hum hojayen judaa
bin tere socha na tha kabhi,ab zindagi laage baddua
iss tarha b humse na rootho ke ab jaan hai jaati
masoom hai muhabbat......


tum mujhse na muh moro.thaam lo ab mera haath
chalna hua hai duswar,aise na thoro ab ye saath
pyaar ko yun ruswa na karo dekho aagayi aankhon mein naami
masoom hai muhabbat....


tere saang beetana tha jeevan,tu hi mere dilki dhadkan
aankhon mein saajaye the kahin sapne, shayad tha wo mera pagalpan
tu hi jeene ki waaja tha,ab tu hi marne ka sabab baani
masoom hai muhabbat......
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #42 on: June 06, 2007, 09:51:24 AM »
Reply with quote
mera taajub kuch ajab nahin hai
wo shakhs pehlay sa ab nahin hai

wafa ka kyun kar gilla karon mein us say
wo mera tha hi kab jo ab nahin hai

kyun thokraon mein jeevan ko
zindagi to kabhi aazab nahin hai

pyaar ko thokra ke pahajtaenge wo
meri kismat to karab nahin hai

muhabbat ko bhool samaj ke bhool ki hai usne
per meine b chaha usko jis se mera milaab nahin hai

kuch paane ko kuch khona padta hai RANI
zindagi mein haasal sab nahin hai....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #43 on: June 06, 2007, 11:59:55 AM »
Reply with quote
wonderful Cool girl.. its really nice

keep writing
Divya
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #44 on: June 07, 2007, 05:37:05 AM »
Reply with quote
thnx divya
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 15, 2024, 11:01:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer