Meri Kahani...

by CoolGirl on March 22, 2007, 11:34:19 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 11
ReplyPrint
Author  (Read 9756 times)
monali
Guest
«Reply #75 on: July 28, 2007, 03:18:52 PM »
Reply with quote
Mind blowing dear, keep writing
God bless you
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri kismat ki kahani by gum in Shayri-E-Dard
Meri Kahani.. Meri Zubani by Aashique in Shayri-E-Dard
'kahani teri' ( meri kyu lagti hai) by samnoj in Miscellaneous Shayri
meri kahani by Singh is king in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERI KAHANI MERI JUBAANI by amarhellboy in Shayeri for Dard -e- Bewafai
CoolGirl
Guest
«Reply #76 on: July 29, 2007, 06:40:17 AM »
Reply with quote
thnx monali GOD BLESS U TOO
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #77 on: July 31, 2007, 11:57:25 AM »
Reply with quote
mein toh tumari saanson mein basta hon
saansein rook paao ager ho mumkin


chahe jalado saare panne beete zamano ke
dil se mitta paao ager ho mumkin


jab bhi aaeena dekhoge aaonga mein nazar
aaeene se nazar hata paao ager ho mumkin


diye ki her roshni mein bas chuka hon mein
aandhere mein reh paao ager ho mumkin


door rehte hue bhi kareeb paaogi mujhe
aur mujhe door ker paao ager ho mumkin


yaad rakhna tum khud ek din kahogi RANI
mere paas wapas aajao ager ho mumkin
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #78 on: July 31, 2007, 03:10:28 PM »
Reply with quote
mujh ko bhi hui na kabar
tujh ko bhi kuch hua na asar
pyaar ka yeh kaisa jaadu chal gaya
ke tera mera rishta ab joor gaya


saali saali raaton ka woh saama
dil mera tab hua tha jaawa
pehle deedar se mein hogaya fidaa
aisa meine kabhi socha na tha
ke aaoge mujhe bas tum hi nazar
dekhonga jahan mein idhar ya uddar
pyaar ke yeh kaisa jaadu chal gaya
ke tera mera rishta ab joor gaya


dilse meine tumhe maana piya
ab thaam lo tum meri baaiyaan
ab aisa mere haal hai hua ke
jaagon mein ab saari raatiyan
karna hai mujhe tere sang safar
ab kuch bhi ho chahe ager ya magar
pyaar ke yeh acha jaadu chal gaya
ab RANI ko uska piya mil gaya
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #79 on: August 03, 2007, 09:49:18 AM »
Reply with quote
Ab toh jeeya na jaye tere bin
tujhko bhulana na mumkin
kate na katte mere raat din


di hai jo tune saaza tarapta hai mera dil
tanha mera jeena kiya tune mushkil
meri waafon ka sila jo tune diya
dongi ab mein tujhko uski saaza
kate na katte mere raat din
ab toh jeeya na jaye tere bin


ki thi jitni tujhse muhabbat
aaj hai utni tujhse nafrat
sukoon se abtak na sooyi hon
tujhe hi bas yaad kerti hon
kate na katte mere raat din
ab toh jeeya na jaye tere bin
tujhko bhulana na mumkin
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #80 on: August 04, 2007, 01:28:11 PM »
Reply with quote
aayi hai ye raat milan ki suhani
hogi puri rehgayi thi jo adhori kahani


khiil utti her soo phoolon ki bhaggiya
beh rahi hai ab khushiyoun ki naadiya
chahat ki ho rahi hai barsaatein
dekho dekho kaise muskura utti ye khaliya
ghaa rahi hai her dun banke deewani
aayi hai ye raat milan ki suhani


bangaya apne sapno ka aashiyana
her koi gungunaye pyaar ka taraana
deta hai ab woh KHUDA bhi yehi gawayi
dil walon ka hi hai ab ye zamaana
aao likhe milke apni prem kahani
aayi hai ye raat milan ki suhani
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #81 on: August 04, 2007, 01:28:49 PM »
Reply with quote
Khamosh se rehne lage hai hum,
Intezar kisi ka karne lage hai hum


Yakinan kisi se hui hai mohabbat
Bina baat hi muskurane lage hai hum


dil pochta hai bas yehi aik sawal ke
koi hamara ya kisi ke hone lage hai hum


der hai kisi ke kho jane ka
jaane kaisa khuwab bunne lage hai hum


ab to her cheez se hojata hai pyaar
dosron ko bhi pyaar shikane lage hai hum


ye qalaam bhi pyaar ki hogayi deewani
bas RANI pyaar hi pyaar likhne lage hai hum
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #82 on: August 11, 2007, 11:41:43 AM »
Reply with quote
DUR CHAND KAHI JAL RAHA HOGA
KISI KA DIL MACHAL RAHA HOGA

UFF YE MERE PAIRON ME CHUBAN KAISI
ZAROOR MERA KOI APNA KAANTO PAR CHAL RAHA HOGA

JAANE KYUN YE DIL MANZIL KI TARAF HI CHALTA HAI
SHAYAD KISI KI DUAON SE YE SMABHAL RAHA HOGA

DOORIYUON KI JO PARWA NAHI KERTE
DOOR REHKE BHI WOH HUMSAFAR SANG CHAL RAHA HOGA

UNKE NAAM SE JAANE KAISI KHUSHBOO AA RAHI HAI
SHAYAD RANI WAHAN SE PHOOL DHAAL RAHA HOGA
Logged
nikki
Guest
«Reply #83 on: August 11, 2007, 12:58:32 PM »
Reply with quote
superbbb CoolGirl..padh kar bahut acha laga...aapne to kamaal ka likha hai...keep writing
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #84 on: August 12, 2007, 10:19:54 AM »
Reply with quote
thnx nikki
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #85 on: August 12, 2007, 10:20:26 AM »
Reply with quote
Ye Mausam Bhi Kitna Pyaara Hai
Karti Ye Hawayein Kuch Ishaara Hai


Zara Samjho Inke Jazbaaton Ko
Ye Keh Rahi Hai Kisi Apne Ne DILSE Aapko Pukara Hai


barish ki ye boondein kuch gaah rahi hai
her boond mein dekhe chera tumhara hai


iss raat mein jo itni chandnein chayi hai
shayad tumhari bindiya ka laskara hai


yeh mausam yunhi aawara nahi hua
deraha hai gawai ke RANI tu ishq sirf humara hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #86 on: August 13, 2007, 10:08:47 AM »
Reply with quote
Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai


Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai


Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain
Aisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai


Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai


Aisay Main RANI Keh Do Dil Ki Baat
Ye Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #87 on: August 29, 2007, 05:52:00 AM »
Reply with quote
Maine Kaha Wo Ajnabi Hai
Dilne Kaha Ye Dil Ki Lagi Hai


Maine Kaha Wo Sapna Hai
Dilne Kaha Phir Bhi To Apna Hai


Meine Kaha Nahi Milega woh
Dilne Kaha Her Taraf Khilega Woh


Meine Kaha Dard Paega Tu
Dilne Kaha Bin Uske Jee Paega Tu


Meine Kaha Nasoor Banjayege Waqt Ke Nishan
Dilne Kaha Zindagi Mein Kuch Nahin Aasan


Meine Kaha Aasan Nahi Yeh Raahein
Dilne Kaha Fahala Ke Dekh Tu Apni Baahein


Meine Kaha Zindagi Phir Nahi Milti
Dilne Kaha Chahat Wohi Jo Saada Hai Rehti
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #88 on: August 29, 2007, 07:29:05 AM »
Reply with quote
tanha tanha hai safar
tanha tahna hum idaar
tanha tanha chal diye jaane kahan


ab hume sohujta kuch nahin
tere bin mein kuch nahin
tu hi tou hai mera saara jahan


kyun hai mujhe tere itni hasraat
muhabbat ban gayi hai ab mere fitraat
tere ishq ne banaya hai mere dil mein makaan


ab tou aaja tu lut ker mere yaar
kahin umar beet na jaye kerte kerte tera intzar
dekhon jahan aaye tu hi nazar mujhe wahan
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #89 on: August 29, 2007, 07:29:30 AM »
Reply with quote
ek sarsari nazar woh humpe bhi dalde
aisa karam mere maula tu zara kerde


aankhon aankhon mei jo hojaye mulakat
phir meri saari iltija tu raad kerde


her pal jinke khayalon mein hum khoye hain
E-khuda us anjaan ko thoda tou asar de


na karna tum kisi aur se aankhein char
koi tou jake unne meri khabar de


kash banjaye woh iss dil ki RANI
iss kash ko tu haqiqat ke rang mein bhar de
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 14, 2024, 10:08:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer