~:-Meri Kismat-:~

by fakharenaveed on June 08, 2005, 12:01:19 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1288 times)
fakharenaveed
Guest
Reply with quote
Kar na sake hum pyaar ka sauda keemat hi kuch aisi thi
Jeeti baazi haar gaye hum kismat hi kuch aisi thi.......

Koi na samjhe koi na jaane kaisi yeh majbbori hai
Paas hain ek dooje ke kitne phir bhi kitni doori hai

Aankhon main aanson ke hain qatre hoton pe khamoshi hai
Hans na sake hum ro na sake hum halat hi kuch aisi thi

Kar na sake hum pyaar ka sauda keemat hi kuch aisi thi
Jeeti baazi haar gaye hum kismat hi kuch aisi thi.......

Ek taraf hai pyaar ka daaman ek taraf hai farz mera
Soch rahi hoon kaise mitaoon aaey zindegaani qarz tera

Dekho zara kis morr pe laaye yeh zalim halaat humain
Hum ko mili na tum ki mili woh chahat hi kuch aisi thi

Kar na sake hum pyaar ka sauda keemat hi kuch aisi thi
Jeeti baazi haar gaye hum kismat hi kuch aisi thi.......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri kismat by sandeepparker in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
meri kismat by anand_ajanta in Shayeri for Dard -e- Bewafai
kismat meri.........!!! by sunny_bunny in Miscellaneous Shayri
meri kismat me sirf juda rahena likha hai by abdulqadeer in Ghazals
Bewafaai Kismat Meri., by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Ninaah
Guest
«Reply #1 on: June 08, 2005, 11:26:35 AM »
Reply with quote
KISMAT KO KYON ROTE HO,
KISMAT TO BADALTI REHTI HAI,
GUM AAJ SAATH HAI, KAL NAHI HOGA,
DHADKAN HAMESHA YAHI KEHTI HAI,

DIL KI BHI AWAAZ SUNA KARO,
HAR DUKH WOHI TO SEHTI HAI,
BHUL JAAO APNE GUMON KO ZINDAGI MEIN,
HAWA YEH KEHTE HUVE HE TO BEHTI HAI......




Quote from: "fakharenaveed"
Kar na sake hum pyaar ka sauda keemat hi kuch aisi thi
Jeeti baazi haar gaye hum kismat hi kuch aisi thi.......

Koi na samjhe koi na jaane kaisi yeh majbbori hai
Paas hain ek dooje ke kitne phir bhi kitni doori hai

Aankhon main aanson ke hain qatre hoton pe khamoshi hai
Hans na sake hum ro na sake hum halat hi kuch aisi thi

Kar na sake hum pyaar ka sauda keemat hi kuch aisi thi
Jeeti baazi haar gaye hum kismat hi kuch aisi thi.......

Ek taraf hai pyaar ka daaman ek taraf hai farz mera
Soch rahi hoon kaise mitaoon aaey zindegaani qarz tera

Dekho zara kis morr pe laaye yeh zalim halaat humain
Hum ko mili na tum ki mili woh chahat hi kuch aisi thi

Kar na sake hum pyaar ka sauda keemat hi kuch aisi thi
Jeeti baazi haar gaye hum kismat hi kuch aisi thi.......
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #2 on: June 08, 2005, 07:07:13 PM »
Reply with quote
Tu agi hai wapis yehi buhat hai
jee loon ga do pal yehi buhat hai
kitan chaha tah tujhe mein ney
tubey socha nahin buhat hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #3 on: June 08, 2005, 07:08:00 PM »
Reply with quote
kismat se apni sabko shikayat kyun hai,
jo nahi mil sakata usi se mohabbat kyun hai,
kitani mushkile hain rahon mein dil ki,
phir bhi dil ko usi ki chahat kyun hai?Huh?Huh?Huh?
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:54:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.174 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer