Merra haseen sa ajnabi...R...

by brokenbyluv on May 07, 2010, 08:20:14 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 4388 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #45 on: May 21, 2010, 11:46:07 PM »
Reply with quote
thanx a lot Geet ji.... aapke jawaab ka bhi jawaab nahi... bahut khoob...!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


chahe gum hi mile har kadam pe is zindagi me,
par yun mohabbat ko badnaam kiya nahi karte,

zamaane ki to aadat hai hasi udaana aashiqo ki,
par un paththar dil logo ki baat suna nahi karte,

aaj mile ho bichhadne ko to kal fir se miloge,
yu ek do baar bichhadne ka afsos kiya nahi karte,

na socho ki mohabbat ke phoolon me sugand hoti hai,
kuch phool aise bhi hote hain jo mehka nahi karte,

jaruri nahi ki jo tum chaho samjhana use wo maan jaaye,
jo tumhaari khamoshi ko na samjhe wo pyaar nahi karte,

izhaar-e-mohabbat ke liye shabdon ki jarurat nahi hoti,
jo dil shabdon se bandhe hain wo mohabbat nahi karte...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil haseen hai to mohabbat bhi haseeN paida kur! by SADIQA JAWED in Shayri for Khumar -e- Ishq
Merra pyar... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq
Merra naam... by brokenbyluv in Miscellaneous Shayri
**Ek haseen sa ajnabi** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Vo merra ajnabi...... by brokenbyluv in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
madhuwesh
Guest
«Reply #46 on: May 22, 2010, 12:33:13 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Geet ji and Kapil ji,very touching and marvelous lines.keep writting. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #47 on: May 22, 2010, 05:02:22 AM »
Reply with quote
Good one Geet Ji
And Kapil your response is wonderful
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #48 on: May 22, 2010, 01:19:35 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya madhuji n rajesh ji...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #49 on: May 22, 2010, 01:29:50 PM »
Reply with quote
thanx a lot Geet ji.... aapke jawaab ka bhi jawaab nahi... bahut khoob...!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


chahe gum hi mile har kadam pe is zindagi me,
par yun mohabbat ko badnaam kiya nahi karte,

zamaane ki to aadat hai hasi udaana aashiqo ki,
par un paththar dil logo ki baat suna nahi karte,

aaj mile ho bichhadne ko to kal fir se miloge,
yu ek do baar bichhadne ka afsos kiya nahi karte,

na socho ki mohabbat ke phoolon me sugand hoti hai,
kuch phool aise bhi hote hain jo mehka nahi karte,

jaruri nahi ki jo tum chaho samjhana use wo maan jaaye,
jo tumhaari khamoshi ko na samjhe wo pyaar nahi karte,

izhaar-e-mohabbat ke liye shabdon ki jarurat nahi hoti,
jo dil shabdon se bandhe hain wo mohabbat nahi karte...


Bahut bahut shukriya pasand karne k liye..apka bhi nice reply hai...


Main ab aur muskurana nhi chahti,
koi mujhse door gum mein bhi muskurata hoga,

main aur ansu bahana nhi chahti,
koi merri chah mein kahiin ansu bahata hoga,

main kisiki yad mein khona nhi chahti,
koi merri yad mein waqt bitata hoga,

main aur aas lagana nhi chahti,
koi merre aane ki umeed mein rishte nibhata hoga,

main ab aur khudko azmana nhi chahti,
koi merri tarah apne dardo ko chhupata hoga,

main usko aur takleef dena nhi chahti,
koi merre khayal se sanwar kar pal mein toot kar bikhar jata hoga,

jis tarah merri zindgi khamosh si ho gyi hai,
usi tarah uski duniya mein bhi hamari judai ka sannata hoga......

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #50 on: May 24, 2010, 07:26:03 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Madhu ji...!!!

Bahut khoob Geet ji and Kapil ji,very touching and marvelous lines.keep writting. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #51 on: May 24, 2010, 07:26:48 PM »
Reply with quote
Thank u so much Rajesh ji...!!!

Good one Geet Ji
And Kapil your response is wonderful
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #52 on: May 24, 2010, 07:28:17 PM »
Reply with quote
Geet ji aap likhte hi itna khoob hain ki kisi ko bhi pasand aa jaaye... bahut khoob likha hai is baar bhi... bahut bahut khoob...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause

aur hamari rachna ko pasand karne ke liye bahut bahut shukriya...!!!




yun mohabbat karke kisi se muh moda nahi karte,
   bich raah me hamsafar ka saath chhoda nahi karte,

mushkilen to bahut aayengi is raahe chahat mein,
   par un mushkilon se darke kabhi ruka nahi karte,

koi hai aaj bhi teri muskaan dekh ke muskurata hai,
   kisi ki muskaan ko is tarah usse chhina nahi karte,

agar kabhi waqt lag jaaye manzil tak pahuchne me,
   safar me zindagi ke kabhi himmat haara nahi karte,

halaat ke aage haar maanke hathiyaar daal dete ho,
   kyun mohabbat karke anjaam tak koshish nahi karte,

kehte ho bade hi guroor se ki mohabbat ki hai maine,
 kyun marte dum tak us mohabbat ko nibhaya nahi karte,

ehsaas to hai ki teri yaad me koi aansu bahata hoga,
   kyun uske aansuon ko mitaane ki koshish nahi karte...




Bahut bahut shukriya pasand karne k liye..apka bhi nice reply hai...


Main ab aur muskurana nhi chahti,
koi mujhse door gum mein bhi muskurata hoga,

main aur ansu bahana nhi chahti,
koi merri chah mein kahiin ansu bahata hoga,

main kisiki yad mein khona nhi chahti,
koi merri yad mein waqt bitata hoga,

main aur aas lagana nhi chahti,
koi merre aane ki umeed mein rishte nibhata hoga,

main ab aur khudko azmana nhi chahti,
koi merri tarah apne dardo ko chhupata hoga,

main usko aur takleef dena nhi chahti,
koi merre khayal se sanwar kar pal mein toot kar bikhar jata hoga,

jis tarah merri zindgi khamosh si ho gyi hai,
usi tarah uski duniya mein bhi hamari judai ka sannata hoga......


Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #53 on: May 27, 2010, 10:57:46 AM »
Reply with quote
shukriya kapil ji apki tarif k liye..apke alfazo se yu lga ki ankhe khul gyi..shukriya merri uljhan suljhane k liye...



Na kabhi kisi se mu moda na kabhi mhbt ka sath chhoda,
logo k sitam ne hai merre har khuab ko toda,

pehle udati thi apni chaht ki hawao mein,
rehti thi kisi ki yado ki wafao mein,

kisi ki bewafai mein dil ne har aas kho di thi,
kisi ki rusawai mein chupke se ye ankhe ro di thi,
 
per aaj jo hai merri mhbt vo khuda ka farmaan hai,
haan ye sach hai uske bina merra jivan ekdum viran hai,

uske ehsaso se ab betaabi ki khushbu aati hai,
uski yad uski chaht merre har su jagati hai,

ab ye wada hai merra tujhse ae merre khuda..
use andhero mein gum hone nhi dungi..
usko zamane k darr se main khone nhi dungi......
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #54 on: May 27, 2010, 11:21:01 AM »
Reply with quote
Great and touching lines Geet ji and Shihab ji,bahut khoob Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #55 on: May 27, 2010, 11:24:29 AM »
Reply with quote
shukriya madhu ji n shihab ji n shihab ji  bahut umda likha hai apne..



Mila k gum ko apni sanso mein,
aaj tu bhi karle poora apni hasrat-e-dil,
per zyada der k liye iss gum se dosti na karna,
bada hi jaanleva hota hai ye dard-e-dil......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #56 on: May 27, 2010, 11:43:41 AM »
Reply with quote
shukriya shihab ji...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #57 on: May 28, 2010, 08:25:23 AM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aur ek dum sach baat likha hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause

shukriya madhu ji n shihab ji n shihab ji  bahut umda likha hai apne..



Mila k gum ko apni sanso mein,
aaj tu bhi karle poora apni hasrat-e-dil,
per zyada der k liye iss gum se dosti na karna,
bada hi jaanleva hota hai ye dard-e-dil......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #58 on: May 28, 2010, 08:29:12 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Shihab ji... humein bahut khushi mili ki aapne apna waqt nikaalke hamare is thread ko thoda sa waqt diya aur ise pasand kiya...!!!

aur maafi maangke humein sharminda na karein. Hume bahut achcha laga jo aapne bhi apne kalam se do line yahaan likha. Aur bahut khoob likha hai aapne...!!!

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

tute huye wo ret ke ghar the unko dil na samajhna tum,
        do pal ka wo saath jo tha usko chahat na samajhna tum,

    rag rag me bas mohabbat rahe, dard ki koi jagah na ho,
            tuta hua wo khwaab hi tha, use zindagi na samajhna tum...


Wah Kya Jugalbandi Hai
Bahut Khub Likha Hai Aap Dono Ne
Brokenbyluv Ji Aur Klaskar Ji...

Gushtakhi Ki Mafi Chaunga
Main Bhi Yahan Do Line Likh Raha Hun
Galti Maaf Ho...!



     Kisi Ki Yaad Mein Mujhey Do Pal Machalne Do
            Bahut Ghutan Hai Dil Ko Thoda Aur Jhalne Do

                     Kaash Mil Jaayegi Mujhey B Thodi Si To Raahat
                          Is Dard-o-Gham Ko Meri Rag Rag Men Ghulne Do.



Khush Rahiye...

~Shihab~

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #59 on: May 28, 2010, 08:38:05 AM »
Reply with quote
Humein ye jaanke bahut achcha laga ki hamari baaton se aapki uljhan sulajhne lagi. Kuch to faida hua hamare likhne ka. Hota yahi hai hum kisi ko chahte hain aur wo humein thukra deta hai to humein aur mohabbat pe vishwas nahi rehta. Aur hum kisi aur ki mohabbat ko nahi samajh paate ya bharosa nahi karte.


main bhi ye samajh sakta hoon dil ka tootna kya hota hai,
        zindagi maut tab ban jaati hai aur dil har lamha rota hai.


Par koi hota hai jo humein khud se bhi jyaada chahta hai. Kyun hum kisi aur ke gunaah ki saja kisi aur ko de. Yahi soch ke humein koshish karna chahiye ki hum kisi bhi haal me kisi aur ka dil na tutne de... Usual Smile

jyada ho gaya ... bahut padha liya....aaj ke liye itna kaafi hai...  Laughing hard

bahut khoob likha hai aapne.... too good...!!!
 Applause Applause Applause Applause Applause


kyun tum usko yaad karti ho jo tumko hi nahi chahta hai,
  kyun uski yaadon me koi yun har lamha aansu bahata hai,

beete huye us waqt ko bhulaake aaj is pal ko sajana hai,
  mohabbat kisko kehte hain is jahaan ko aaj dikhaana hai,

koi to hai jo tumhaare liye har lamhaa betaab rehta hai,
  zamaane ke zulm ko sehte hue bhi wo kuch na kehta hai,

baari ab hai imtihaan ki, tumne khuda se kiya waada hai,
  dekhna hai kiss hadd tak wo waada poora ho paata hai,

chaha hai agar sachche dil se to saath uska nibhana hai,
  apne har ghum ko chhipake uske aansuon ko mitana hai,

mera to ye samajhna hai mohabbat hi khuda ki ibadat hai,
  saath mehboob ka de na sako to bhala wo kaisi chahat hai.



shukriya kapil ji apki tarif k liye..apke alfazo se yu lga ki ankhe khul gyi..shukriya merri uljhan suljhane k liye...



Na kabhi kisi se mu moda na kabhi mhbt ka sath chhoda,
logo k sitam ne hai merre har khuab ko toda,

pehle udati thi apni chaht ki hawao mein,
rehti thi kisi ki yado ki wafao mein,

kisi ki bewafai mein dil ne har aas kho di thi,
kisi ki rusawai mein chupke se ye ankhe ro di thi,
 
per aaj jo hai merri mhbt vo khuda ka farmaan hai,
haan ye sach hai uske bina merra jivan ekdum viran hai,

uske ehsaso se ab betaabi ki khushbu aati hai,
uski yad uski chaht merre har su jagati hai,

ab ye wada hai merra tujhse ae merre khuda..
use andhero mein gum hone nhi dungi..
usko zamane k darr se main khone nhi dungi......
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 11:16:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer