Mohabbat Ik Naazuk Si Larki Hai...

by Aryaan on July 29, 2006, 07:53:56 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 5557 times)
Talat
Guest
«Reply #30 on: August 01, 2006, 03:14:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Tumhein yeh kis ne keh diya aakhir
Keh!
Kisi resturant ke kisi tareek goshey mein
Baith kar madham sargoshiyon mein
Muskurate labon se baat karna
Aur icecream ke cup mein chamach chalaate huwe
Khwahish-e-dil ko zubaan par le aana
Mohabbat hai?

Balkeh mohabbat tau
Door daraaz kisi wehshi Qabeele mein koyi chalaak si devi
Jo tumhari anaa ko apne jaado se yun Qaid karti hai
Keh tum apna saara gham bhool jaate ho
Mohabbat mann ka sacha sauda hai
Jisey..
Bazaar mein baicha nahi karte
Mohabbat ik naazuk si larki hai
Jisey rulaaya nahi karte
Mohabbat ko yun zaya nahi karte

Bohot khhobsurat Aryaan....especially the last 4 lones... !!

Baaqi sabne bhi achcha likha hai ...!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Naazuk ho tum Sanam....!!!! by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
JITTA THA HAR BAAR IK NAAZUK SA SIKANDAR KOI,, by guhar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
naazuk by saahill in Share:Love Poetry
naazuk hothon ko by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Badi naazuk hai ye manzil mohabbat ka safar hai by @Kaash in Share Video
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #31 on: August 02, 2006, 05:35:40 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Quote from: "BHONDU"
Quote from: "ranjana"
woh pad ke unke lafaz geeto mein khud ba khud muskarna
woh karna sakhiyon se baate baar unki ,jaan ke unka naam lab per lana
jahan bhi dekhi koi do nigaahe milti ,bas unke hi tasvur mein kho jaana
karungi mein mil ke unse baate kya kya?yeh soch ke sharmaana
karke apna solah singaar ,aaine mein khud ko  unko dikhana
yun hi unke raaste se gujarte hue ,rumaal ka jaanbujh ke giranaa
hoti hai kaya yahi mohbbat ki nishaniyaa.n ........
sajan jara aake hamko samjhana....

wo raat mein teri yaad mein neendo ka ud jaana,
wo baithat baithay tere khawboo mein kho jaana.
wo talab ke kinare baithker patharoon ko fekna.
wo baar baar aapke intzaar mein ghadi ka dekhna.
aapke bare mein her kisi se poochna.
aapki her ek batein yaad rakhna.
aur.. kehna humne to lakhon mein aapko hi chuna hai
kuch aisa hi hota hai pyaar humne bhi yahi suna hai.

bahut khub kavi ji...

dekhte hain ab khuli aankho se khawab hum
na dil ki chein hai na  neend aati hai
har pal dil mein ek meethi si kasak jaag jaati hai
dil karta hai ki aaj kisi ki bahon mein mar jaaye
koi fere mere gesuo.n mein ungliyaan pyaar se
aur koi mere kandhe per apna sirr rakh ke dhero baate kare
yadi yeh sab hain pyaar ki nishaniyaan toh aaj khuda hamari kher kare!!

aapne bhi bahut aacha likha hai..

aab to her waqt aapka hi khayal aata hai.
aapki baat sunney ko dil ye lalchata hai.

kertein hai kai miss-call ek hello sunney ko,
bahane dhoonte hai ek nazar tujhko dekhne ko.

peecha kertein hai tera tumko bina bitaye,
pyaar kertein hai bahut  aap per bina jataye.

dil mujhse aaj bhi mera yaar mangta hai,
aapse aur... kuch nahi bas ye pyaar mangta hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #32 on: August 02, 2006, 06:08:07 AM »
Reply with quote
:D nice kavi ji......

unki kaatil aadao ne hame maar diya
apni baato se usne hame lajawab kiya

hamne kamaal dekha unki aankho mein
sirf lab se chhoo kar har lafaz ko jaise nashe se bhar diya

unki khaatir hamne bhi apne ko badla kuch is tarah
ki dekha jo aaine mein apna aqs toh unse hi nayno ko do chaar kiya

baji jab bhi koi mere phone ki ghanti
toh mujhe laga unhone hi mujhe yaad kiya

kab tak na karte hum unse pyaar ki baate
haan lagata hai ki ab hamne bhi unse pyaar kiya....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #33 on: August 02, 2006, 07:17:57 PM »
Reply with quote
Thanx a lot Talat.... Usual Smile
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #34 on: August 03, 2006, 10:36:49 AM »
Reply with quote
wah wah ARYAAN BHAI behad khubsoorat likha hai... bahut khoob.....
BHONDU JI aur RANJANA ... nice ones
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #35 on: August 04, 2006, 05:12:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
:D nice kavi ji......

unki kaatil aadao ne hame maar diya
apni baato se usne hame lajawab kiya

hamne kamaal dekha unki aankho mein
sirf lab se chhoo kar har lafaz ko jaise nashe se bhar diya

unki khaatir hamne bhi apne ko badla kuch is tarah
ki dekha jo aaine mein apna aqs toh unse hi nayno ko do chaar kiya

baji jab bhi koi mere phone ki ghanti
toh mujhe laga unhone hi mujhe yaad kiya

kab tak na karte hum unse pyaar ki baate
haan lagata hai ki ab hamne bhi unse pyaar kiya....

yu to chup chap raaste se jaa rae thay hum.
unki ek nazar ne humko roka,aankho ki kasis ne dekhne ko mazboor kiya.
unki pyaari kaatil adao ne humko gulaam unko huzoor kiya.

ishq ki baazi kuch seekhi thi unhone is tarah,
her chaal mein unki buri tarah faste rahe.
wo dekhker humein sharmaye, aur haste rahe.

kuch aisa ker diya pagal uhone aapne pyaar mein,
need ud jaati hai raaton ki aur... chain khota hai.
kya mohabbat sirf ek nauk si ladki hai yakeen nhi hota hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #36 on: August 04, 2006, 05:37:07 AM »
Reply with quote
wah great kya baat hai ....bahut khoob kavi ji ....

saraka jab raat ka aanchal toh ek halchal si machi dil mein
aayenge woh hamse jarur kisi bahaane toh milne

ek sapana thaa jo hamara woh pura ab  hoga
aaj bas unki nazaro mein hum honge aur na koi  hoga

sarkati rahi yeh nashili si raat dheere dheere
ek kasak si uthati rahi dil mein hole hole

mohabbat kabhi itna tadpaaygi yeh na socha thaa
neend khud hi ek khawab ban jaayegi yeh na socha thaa
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #37 on: August 04, 2006, 06:15:32 AM »

bahut aache..
dhalne lagti hai suraj ki kirane aur madmast hawa jub behti hai.
cham cham girti baarish ki boonde bhi humse kehti hai
cham cham ye aawaz uske payal se aa rahi hai.
hawa chumti tere jism ko wo aanchal lehra rahi hai.
sach mein mohbbat ek nazuk si ladki hai.
jo mujhko sata rahi hai pagal bana rahi hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #38 on: August 04, 2006, 07:00:18 AM »
Reply with quote
ghir ke aayi hain fir se sawan ki ghaatye
koi aa ke mere uljhe se gesuo.n ko suljhaye
mehek raha hai aaj badan tere hi janun se
yeh pagal bana rahi hai mujhe madmast hawe.n
hai sard aaj kuch bheege se masoum ki fiza
koi toh aake aaj in jajabato ko pighla jaaye
hoti hai kya yahi mohbbat
koi toh aake ab is pehali  ko suljhaaye
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #39 on: August 04, 2006, 08:15:08 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
ghir ke aayi hain fir se sawan ki ghaatye
koi aa ke mere uljhe se gesuo.n ko suljhaye
mehek raha hai aaj badan tere hi janun se
yeh pagal bana rahi hai mujhe madmast hawe.n
hai sard aaj kuch bheege se masoum ki fiza
koi toh aake aaj in jajabato ko pighla jaaye
hoti hai kya yahi mohbbat
koi toh aake ab is pehali  ko suljhaaye

ayegha koi teri zindagi mein
isse paheli ko suljayegha

dil pe karegha warh tujhe pe
sabakh tujhe bhi sikha jayegha

uska asarh tujh pe bhi hoga
naam apna tera dil pe likh jayegha
:D:D:D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #40 on: August 05, 2006, 12:23:19 AM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"
wah wah ARYAAN BHAI behad khubsoorat likha hai... bahut khoob.....
BHONDU JI aur RANJANA ... nice ones

Bohat Shukryia Vicky... Usual Smile

Bohat khoob Bondhu, Ranjana & Anjani...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #41 on: August 05, 2006, 03:41:43 AM »
Reply with quote
shukriya Aryaan ...bahut khoob anjani ....

ek naam hai jo dil per likha ha sa hai
dil ab uske pyaar mein duba hua sa hai

rehti hai unki suart bas meri nighaao.n mein
bas woh hi woh mere dil mein basa hua sa hai

hai yahi pyaar toh yeh ab unse hi hua hai
mere dil ka ha chain sakun unse ab juda hua sa hai
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #42 on: August 05, 2006, 03:45:46 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
shukriya Aryaan ...bahut khoob anjani ....

ek naam hai jo dil per likha ha sa hai
dil ab uske pyaar mein duba hua sa hai

rehti hai unki suart bas meri nighaao.n mein
bas woh hi woh mere dil mein basa hua sa hai

hai yahi pyaar toh yeh ab unse hi hua hai
mere dil ka ha chain sakun unse ab juda hua sa hai

likh liya hai uska naam apne dil mein
karliye hai unhone humhe apne baas mein

logh kehte hain issi ehsaas ko kehte hain pyar
kya saach mein hum bhi hogaye hain ashiqoon ki mehfil mein
Logged
ranjana
Guest
«Reply #43 on: August 05, 2006, 03:56:44 AM »
Reply with quote
Quote from: "anjani_si"
Quote from: "ranjana"
shukriya Aryaan ...bahut khoob anjani ....

ek naam hai jo dil per likha ha sa hai
dil ab uske pyaar mein duba hua sa hai

rehti hai unki suart bas meri nighaao.n mein
bas woh hi woh mere dil mein basa hua sa hai

hai yahi pyaar toh yeh ab unse hi hua hai
mere dil ka ha chain sakun unse ab juda hua sa hai

likh liya hai uska naam apne dil mein
karliye hai unhone humhe apne baas mein

logh kehte hain issi ehsaas ko kehte hain pyar
kya saach mein hum bhi hogaye hain ashiqoon ki mehfil mein

wonderful ....bahut khoob anjani .....

jab yeh ishq janun ban jaata hai
toh dil ko bahut tadpaata hai

bechain ho kar dhoondati hai nigahaae.n unko
ek jahalk unki mil jaaye bas yahi khayaal dil mein aata hai

har waqt khoye khoye se hum rehte hain
aur naam hamara ishq karne walo diwaano ke saath liya jaata hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #44 on: August 06, 2006, 09:50:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
ghir ke aayi hain fir se sawan ki ghaatye
koi aa ke mere uljhe se gesuo.n ko suljhaye
mehek raha hai aaj badan tere hi janun se
yeh pagal bana rahi hai mujhe madmast hawe.n
hai sard aaj kuch bheege se masoum ki fiza
koi toh aake aaj in jajabato ko pighla jaaye
hoti hai kya yahi mohbbat
koi toh aake ab is pehali  ko suljhaaye

bahut aacha likha hai ranjana ji...
kya hoti hai ye mohabbat hum aaj bhi ye jaan na paaye hai.
kuch bade aadmiyon ne humein bas kuch kisse sunaye hai.
chand lafzon mein unhone ye raaj khola tha.
mohabbat mein badi kasis hoti hai bas yahi bola tha.
kuch tane bane yaad mein unki bunte jaa rahe  hai.
ishq hai unhe humse ye sunte jaa rahe hai.
unske saath hi marne ka humara wada hai.
ab to mohabbat kerne ka humara bhi irada hai.
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 10:47:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer