mohbbat bikhari hai duniya mein .......

by ranjana on August 07, 2006, 03:42:50 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1658 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
Zameen kahi per sukhi hai badal kahi aur barsata hai
mohbbat bikhari hai duniya mein magar yeh dil fir bhi tarasta hai

milti hain nazare toh dil kyu dharkata hai
woh naam lete hain wahan per hamaara aur dil yahan per dharkata hai

kabhi toh behegi ishq ki hawa is taraf bhi thodi
ab dekhte hain ki masaum ka mizaaz kab fir se badalata hai

bikheragi kabhi mere andhere rastao per roshni bhi
intazaar hai us pal ka ki yeh chand mohbbat ka hamaari duniya mein kab chamakta hai

khile hain phool bahaaro ke baagbaan mein na jaane kitne
ab dekhna hai ki yeh ishq ki dastaan ka phool kab yahan mehekta hai

kab tak utha ke ghumenge hum in benaam se rishto ka bojh
kab talak koi aansu meri in palko per therata hai

yun toh baaki hai abhi na jaane kai aise sawal mere khayalo ki duniya mein
aake betho jo tum pehlu mein toh aankho mein koi khawab utarta hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Gum hi gum hain duniya mein, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Duniya mein aaye ho to by saatvik in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
kyu maan teri duniya mein...... by shivani in Miscellaneous Shayri
Itni Badi Duniya Mein by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Iss Duniya Ki Bheer Mein by honeyrose in Shayri-E-Dard
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: August 07, 2006, 03:46:35 PM »
Reply with quote
Ranju

Wah ! wah ! wah !

Mashallah ! Bahut khoob :D

Rajbir
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: August 07, 2006, 04:02:27 PM »
Reply with quote
Wah Superb Ranju..... Usual Smile

Chalegi jab hawa toh dekhna Phool bhi mehek uthenge.......
Badal jayega Sama aur Dushmano ke Dil dehek uthenge.....

Bhale ho Dushman dunia toh kya.....
Hum bhi Dard ka Samander pee lenge......

Jashn hoga tab tumhare Sheher me......
Aur hum Aatish bann iss Jahan par baras padenge.....!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: August 07, 2006, 04:12:55 PM »
Reply with quote
shukriya Rajbir ...... :D aapaka yun hoala badana bahut sakun deta hai.. Usual Smile

shukriya Gaurav ......bahut khoob likha hai....too good... Usual Smile

hai tera saath toh fir hame ghum kya hai
dushman hai zamaana magar yahan hosala bada hai

kabhi toh milengi rahe hamaari manzilo ko bhi
hai rasata mushkil  magar saath toh khuda hai

jalta hai is dilo  mein mukadas  mohbbat ka diya
ab keh le zamaana kuch bhi hame is baat ka dar kya hai !!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: August 07, 2006, 04:56:22 PM »
Reply with quote
Sochta hu kabhi.....
Pehle kabhi Fizaon se tumhara pata poocha hota.....

Sochta hu kabhi.....
Pehle kabhi Kaash Phoolon ko tumhare Geet gaate suna hota......

Sochta hu kabhi......
Pehle kabhi Khuda par Yakeen karke dekha hota......

Magar ab hai Yakeen ki humne kabhi Koshish karke tumhe na paya hota.......
Mahobbat mili hai jo aaj mujhe woh kabhi SIKANDER bhi Jung se jeet ke na laya hota.......

Yeh hai TaQdeer jo Naam tera aaj harr Pal me saja hai......
Khoon ban kaash me bhi kabhi tere Jism me baha hota.........!!!!!!!!!!
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #5 on: August 07, 2006, 10:34:42 PM »
Reply with quote
very good............both of you thats a sprit ...........jo kaha hai apne wo karke dikha rahe hooo..........

godbless you both


aur haan mein sach mein darr gaya tha. :cry:
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #6 on: August 08, 2006, 02:37:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Sochta hu kabhi.....
Pehle kabhi Fizaon se tumhara pata poocha hota.....

Sochta hu kabhi.....
Pehle kabhi Kaash Phoolon ko tumhare Geet gaate suna hota......

Sochta hu kabhi......
Pehle kabhi Khuda par Yakeen karke dekha hota......

Magar ab hai Yakeen ki humne kabhi Koshish karke tumhe na paya hota.......
Mahobbat mili hai jo aaj mujhe woh kabhi SIKANDER bhi Jung se jeet ke na laya hota.......

Yeh hai TaQdeer jo Naam tera aaj harr Pal me saja hai......
Khoon ban kaash me bhi kabhi tere Jism me baha hota.........!!!!!!!!!!


kya baat hai everyone...too good :D:D:D
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #7 on: August 08, 2006, 05:07:56 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Zameen kahi per sukhi hai badal kahi aur barsata hai
mohbbat bikhari hai duniya mein magar yeh dil fir bhi tarasta hai

milti hain nazare toh dil kyu dharkata hai
woh naam lete hain wahan per hamaara aur dil yahan per dharkata hai

kabhi toh behegi ishq ki hawa is taraf bhi thodi
ab dekhte hain ki masaum ka mizaaz kab fir se badalata hai

bikheragi kabhi mere andhere rastao per roshni bhi
intazaar hai us pal ka ki yeh chand mohbbat ka hamaari duniya mein kab chamakta hai

khile hain phool bahaaro ke baagbaan mein na jaane kitne
ab dekhna hai ki yeh ishq ki dastaan ka phool kab yahan mehekta hai

kab tak utha ke ghumenge hum in benaam se rishto ka bojh
kab talak koi aansu meri in palko per therata hai

yun toh baaki hai abhi na jaane kai aise sawal mere khayalo ki duniya mein
aake betho jo tum pehlu mein toh aankho mein koi khawab utarta hai



excellent aap ki harr shayari rooh ko chhoo jaati hai... :D
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #8 on: August 08, 2006, 05:09:54 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Sochta hu kabhi.....
Pehle kabhi Fizaon se tumhara pata poocha hota.....

Sochta hu kabhi.....
Pehle kabhi Kaash Phoolon ko tumhare Geet gaate suna hota......

Sochta hu kabhi......
Pehle kabhi Khuda par Yakeen karke dekha hota......

Magar ab hai Yakeen ki humne kabhi Koshish karke tumhe na paya hota.......
Mahobbat mili hai jo aaj mujhe woh kabhi SIKANDER bhi Jung se jeet ke na laya hota.......

Yeh hai TaQdeer jo Naam tera aaj harr Pal me saja hai......
Khoon ban kaash me bhi kabhi tere Jism me baha hota.........!!!!!!!!!!


superb badnaam ji!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: August 08, 2006, 06:53:11 AM »
Reply with quote
shukriya naveen ,anjani and gesu ...............


ek arse ke baad yun muskaraya hai mera dil
dil mein fir kuch jajbaat se jag uthe hain

koi aa ke mila hamse khawabo mein
kya rut ne apne mizaaz fir se badle hain

kis tarah se hum bhul paayenge woh lamhe
jo aaj sirf teri yaado ke saath gujare hain

yun hi hans ke milna thee adat  meri
kyu is baat per kai logo ke dil machle hain
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #10 on: August 09, 2006, 01:43:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Zameen kahi per sukhi hai badal kahi aur barsata hai
mohbbat bikhari hai duniya mein magar yeh dil fir bhi tarasta hai

milti hain nazare toh dil kyu dharkata hai
woh naam lete hain wahan per hamaara aur dil yahan per dharkata hai

kabhi toh behegi ishq ki hawa is taraf bhi thodi
ab dekhte hain ki masaum ka mizaaz kab fir se badalata hai

bikheragi kabhi mere andhere rastao per roshni bhi
intazaar hai us pal ka ki yeh chand mohbbat ka hamaari duniya mein kab chamakta hai

khile hain phool bahaaro ke baagbaan mein na jaane kitne
ab dekhna hai ki yeh ishq ki dastaan ka phool kab yahan mehekta hai

kab tak utha ke ghumenge hum in benaam se rishto ka bojh
kab talak koi aansu meri in palko per therata hai

yun toh baaki hai abhi na jaane kai aise sawal mere khayalo ki duniya mein
aake betho jo tum pehlu mein toh aankho mein koi khawab utarta hai

too good ranz-na jiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii! :D  :D  :D
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #11 on: August 10, 2006, 02:42:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
shukriya naveen ,anjani and gesu ...............


ek arse ke baad yun muskaraya hai mera dil
dil mein fir kuch jajbaat se jag uthe hain

koi aa ke mila hamse khawabo mein
kya rut ne apne mizaaz fir se badle hain

kis tarah se hum bhul paayenge woh lamhe
jo aaj sirf teri yaado ke saath gujare hain

yun hi hans ke milna thee adat  meri
kyu is baat per kai logo ke dil machle hain


sadhiyoon ke baadh aaj mera chehre pe bhi muskurahat ayi hai
murjhaya hua ghulabh bhi aaj mehek utha hai

zindagi humari mein aik naya morh aya hai
jisme khanton ki koi jhagha nahi hai

dil mere mein bhi kuch hua hai
kisi ne kuch humse hole se kaha hai

aaj humhe apna raj kumar mila hai
jise humne khwaboin mein dekha hai :D:D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: August 10, 2006, 08:25:19 AM »
Reply with quote
shukriya shahid ........ anjani bahut khoob.........

gujhre they jis rahe se hum woh raha toh teri hi thee
mili thee jab nazaro se nazare toh ek siharan si badan mein failee thee

is qader hum ghum ho gaye unki baato mein
ki ab har baat duniya ki mere liye pehali thee

meri bhatakti rooh ko tabhi mila thaa qarar
jab aa ke panah mujhe teri hi bahaon mein mili thee
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: August 10, 2006, 11:57:15 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob RANJANA............ behad khubsoorat likha hai aapne.....
baki sab ne bhi bahut khoob likha hai.....nice all..

MOHABBAT BIKHRI HAI DUNIYA ME, shayad yeh mere hi liye nahi,
mohabbat karta hoon kyunki jisse, shayed wo bhi mere liye nahi.......
deewangi mere dil ki wo samajhte nahi, mulaakat kabhi karte nahi,
shayad khuda ka subse keemti-khubsoorat tohfa, mere hi liye nahi.......
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #14 on: August 10, 2006, 12:00:19 PM »
Reply with quote
wah vicky ji bahut khoob.........
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 12:03:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer