Betaab Nazrain Yun Mili Iqraar Hum Karne Lage...~*~
~*~Ye Kiya Hua Kion Is Tarhaan Izhaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Chalke Howe Jazbaat Kuch Ansoo Bhi Kuch Bikhre Howe...~*~
~*~Ab Qatra Qatra Zindagi Sarshaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Shaadab Hain Ankhain Lahoo Se Kuch Gulabii Shaam Hai...~*~
~*~Quose-e-Qaza Rangoo Main Ghuftaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Veeraan Kade Main Aa Gayee Jo Wo Baharoon Ki Tarhaan...~*~
~*~In Ke Tasawoor Se Sakhan Gulzar Hum Karne Lage...~*~
~*~Rahne Lage Hain Garizaan Go Tumhare Qarb Se...~*~
~*~Is Ehde Ulfat Se Ghazab Ka Pyaar Hum Karne Lage...~*~
~*~Shama Kyun Shikva Gila Ehle Wafa Theray Jo Hum...~*
~*~Jalte huwe Sholoo Ka Dariyaa Paar Hum Karne
Duaa

Koi chara nahin dua k siwa
Koi sunta nahin Khuda k siwa
Mujh se kya ho saka wafa k siwa
Mujh ko milta bhi kya saza k siwa
Dil sabhi kuch zaban par laya
Ik faqat arz-e-mudda k siwa
Khwab mertay nahin
Khwab dil hain, na aankhain na shaamain k jo
Raiza raiza huwe to bikher jyen gay
Jism ki mot se ye bhi mer jyen gay
Khwab mertay nahin
Khwab to roshni hain , nawa hain , hawa hain
Jo kaalay paharon se ruktay nahin
Zulm ke dozakhon se bhi phuktay nahin
Roshni aur nawa aur hawa k alam
Maqtalon main pohanch ker bhi jhuktay nahin
Khwab to herf hain
Khwab to noor hain
khwab Suqrat hain