mujhe sirf PYAR kar....!!

by ghayal_shayar on December 16, 2007, 03:41:39 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1089 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
saare aashiqoN ko is nacheez aashiq ka salaam,

AansuoN ke saath jaan bhi nazroN se utar jaaye,, teri yaad jo aaj humko dhundhli nazar aaye,, teri yaad hawaa ban seene ko cheere,, aaNkhoN se kabhi dil se guzar jaaye,, hai itni si iltiza khuda se humari,, is hawaa me aaj ye jism v bikhar jaaye,, dil karta hai ki aaj is syahi ki sisi me,lahoo saara utar jaaye,, aur naam ye "ghayal" humesha ko marr jaaye,, isi bahaane kuch tera roop v nikhar jaaye............

Dariya-e-ishq ke liye khud ko taiyaar kar,
Pyar kar meri jaan! mujhe sirf pyar kar.

Kabhi koi dil jo na tootne paaye yahaaN,
Kuch aisa tu jahaaN me eh mere yaaar kar,

Jane waale ko jana tha, to wo chala gaya,
Uske liye khud ko tu na yuN bekarar kar….

Wapas tere paas aana pade us bewafa ko,
Mohabbat tu usse itni beshumaar kar….

Usw dhoodhta tu ktuN ghum kar, darbadar,
Dil cheer le apna aur uska deedaar kar….

Kyun karta hai tu dushmani khud se “ghayal”,
DushmanoN ko v dostoN me shumaar kar….

Pyar kar meri jaan! mujhe sirf pyar kar. haaN sach sirf pyar kar.......!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #1 on: December 17, 2007, 05:34:30 PM »
Reply with quote
Quote
Dariya-e-ishq ke liye khud ko taiyaar kar,
Pyar kar meri jaan! mujhe sirf pyar kar.

Kabhi koi dil jo na tootne paaye yahaaN,
Kuch aisa tu jahaaN me eh mere yaaar kar,

Pyar kar meri jaan! mujhe sirf pyar kar.

Bahut khoob... lovely lines Ghayal_Shayar ji .. Accha laga padkar.
Yu hi likhte rehna.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #2 on: December 18, 2007, 03:06:55 AM »
Reply with quote
roja ji pasand karne ka shukriya, bas aap aage v yuNhi hausla afzaai karte raheN....!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: October 08, 2011, 06:49:44 PM »
Reply with quote
Ghayal Sahaab Aadaab!

Masha Allah janab kia khoob khayaloN ko zubaaN di hai
aapne.. Aik se badhkar aik sher kahe hai daad janab..

Bahut khoob behad achchi kalaam rahi dili daad O mubarakbad
kabul kijiye...

Aur In ashaaroN par hazaaroN daad hazir hai janab,
Bahut hi umdaa khayaal kaheN hai daad daad daad...         

Usw dhoodhta tu ktuN ghum kar, darbadar,
Dil cheer le apna aur uska deedaar kar…

Kyun karta hai tu dushmani khud se “ghayal”,
DushmanoN ko v dostoN me shumaar kar….

Janab ummid hai aapke aagami kalaamoN se
ruberu hone ka mouka jald hi mileNga hume... Usual Smile

Likhate rahiye.. Aate rahiye.. Khush O aabaad rahiye.
Khuda Hafez.... Usual Smile         

Logged
suman59
Guest
«Reply #4 on: November 02, 2012, 05:30:15 PM »
Reply with quote
saare aashiqoN ko is nacheez aashiq ka salaam,

AansuoN ke saath jaan bhi nazroN se utar jaaye,, teri yaad jo aaj humko dhundhli nazar aaye,, teri yaad hawaa ban seene ko cheere,, aaNkhoN se kabhi dil se guzar jaaye,, hai itni si iltiza khuda se humari,, is hawaa me aaj ye jism v bikhar jaaye,, dil karta hai ki aaj is syahi ki sisi me,lahoo saara utar jaaye,, aur naam ye "ghayal" humesha ko marr jaaye,, isi bahaane kuch tera roop v nikhar jaaye............

Dariya-e-ishq ke liye khud ko taiyaar kar,
Pyar kar meri jaan! mujhe sirf pyar kar.

Kabhi koi dil jo na tootne paaye yahaaN,
Kuch aisa tu jahaaN me eh mere yaaar kar,

Pyar kar meri jaan! mujhe sirf pyar kar.

Jane waale ko jana tha, to wo chala gaya,
Uske liye khud ko tu na yuN bekarar kar….

Pyar kar meri jaan! mujhe sirf pyar kar.

Wapas tere paas aana pade us bewafa ko,
Mohabbat tu usse itni beshumaar kar….

Pyar kar meri jaan! mujhe sirf pyar kar.

Usw dhoodhta tu ktuN ghum kar, darbadar,
Dil cheer le apna aur uska deedaar kar….

Pyar kar meri jaan! mujhe sirf pyar kar.

Kyun karta hai tu dushmani khud se “ghayal”,
DushmanoN ko v dostoN me shumaar kar….

Pyar kar meri jaan! mujhe sirf pyar kar. haaN sach sirf pyar kar.......!!

Waah bahut hi pyara kalam likha hai aapne ghayal jee. good good good v.good Thumbs UP
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: May 23, 2013, 03:18:26 AM »
Reply with quote
Ghayal Sahaab Aadaab!

Masha Allah janab kia khoob khayaloN ko zubaaN di hai
aapne.. Aik se badhkar aik sher kahe hai daad janab..

Bahut khoob behad achchi kalaam rahi dili daad O mubarakbad
kabul kijiye...

Aur In ashaaroN par hazaaroN daad hazir hai janab,
Bahut hi umdaa khayaal kaheN hai daad daad daad...         

Usw dhoodhta tu ktuN ghum kar, darbadar,
Dil cheer le apna aur uska deedaar kar…

Kyun karta hai tu dushmani khud se “ghayal”,
DushmanoN ko v dostoN me shumaar kar….

Janab ummid hai aapke aagami kalaamoN se
ruberu hone ka mouka jald hi mileNga hume... Usual Smile

Likhate rahiye.. Aate rahiye.. Khush O aabaad rahiye.
Khuda Hafez.... Usual Smile         

janaab aaj puraani posts padh raha tha, to dekha aapko jawaab nahin diya hai humne, kahin ap bura na maan jaayeN, iske liye aapka main tahe dil se shukriya adaa karna chaahta huN...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: May 23, 2013, 03:19:18 AM »
Reply with quote
Waah bahut hi pyara kalam likha hai aapne ghayal jee. good good good v.good Thumbs UP

suman ji tareef ka bahut bahut shukriya, bas yuNhi aap apni daya drishti banaaye rakheN...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 02:35:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer