Na Gila Karon Na Shikayaten
Na Hi Tujhse Koi Hikayaten
Main Hi Haal’e’Dil Na Suna Saka
Na Hi Tujhko Ghar Me Chuna Saka
Yehi Tha Naseeb So Ho Gaya
Mera Pyar Mujhse Hi Kho Gaya
Thin Wo Khushiyan Aarzi So Tal Gain
Mere Saath Gham Kiya Chal Gain
Tera Dosh Is Me Zara Nahi
Main Hi Utra Is Me Khara Nahi
Yehi Tha Naseeb So Ho Gaya
Mera Pyar Mujhse Hi Kho Gaya
Bina Jung Sab Kuch Haar Ke
Jo Tha Apna Tujh’pe Waar Ke
Main Akela Tanha Rah Gaya
Tere Ranj Hans Ke Sah Gaya
Yehi Tha Naseeb So Ho Gaya
Mera Pyar Mujhse Hi Kho Gaya
Hoon Magan Ab Apne Hi Aap Me
Koi Murgha Jaese Ho Jhanp Me
Mujhe Kuch Lubhata Nahi Hai Ab
Tere Bin Ye Duniya Ujad Sab
Yehi Tha Naseeb So Ho Gaya
Mera Pyar Mujhse Hi Kho Gaya
Tere Jism Ke Sabhi Pech’o’Qam
Aate Hain Yaad To Leke Gham
Main Tujhe Bhula Na Saka Kabhi
Lage Dil Ye Toota Abhi Abhi
Yehi Tha Naseeb So Ho Gaya
Mera Pyar Mujhse Hi Kho Gaya
Na Hi Chaen Hai Na Qharaar Hai
Bina Tere Sooni Bahaar Hai
Tere Bin Na Koi Dawa Lage
Na Kisi Ki Mujhko Dua Lage
Yehi Tha Naseeb So Ho Gaya
Mera Pyar Mujhse Hi Kho Gaya
Tere Naam Pe Hi Jiyonga Ab
Subha Shaam Ashk Piyonga Ab
Na To Lab Ko Apne Hilaonga
Na Hi Cahera Apna Khilaonga
Yehi Tha Naseeb So Ho Gaya
Mera Pyar Mujhse Hi Kho Gaya
Na Kisi Se Dard Bayan Karon
Na Hi Haal Apna Ayan Karon
Tere Hijr Ke Gham Thaam Ke
Longa Sahare Jaam Ke
Yehi Tha Naseeb So Ho Gaya
Mera Pyar Mujhse Hi Kho Gaya
Written by Syed Iqtedar Hussain
[/b]