Nazar Bichhaye Sar e Raah Koi Baith Hai.

by Ghulam Haider on June 23, 2010, 01:07:31 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 988 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Nazar Bichhaye Sar e Raah, Koi Baitha Hai.
Kisi Ki Dil Mein Liye Chaah, Koi Baitha Hai.

Nahin Kisi Ko Ye Himmat Jo Dekh Le Aa Kar,
Hai Saare Shehr Mein Afwaah, Koi Baitha Hai.

Bas Us Ka Chaand Sa Chehra Chamakne Wala Tha,
Kisi Ne Keh Diya Naa Gaah, Koi Baitha Hai.

Main Ittefaaq Se Aa Kar Jo Baitha Mahfil Mein,
Wo Keh Utha Mere Allah, Koi Baitha Hai.

Chamak Rahi Hain Falak Par Jo Bijliyan To Zuroor,
Labon Pe Apne Liye Aah, Koi Baitha Hai.

Gharaz Mujhe Hi Nahin Jab Guzarne Walon Se,
To Kyon Kisi Ko Ho Parwaah, Koi Baitha Hai.

Ye Keh Ke Ho Gaya Waapas Wahin Se Wo Haider,
Hai Aaj Tang Guzar gaah, Koi Baitha Hai
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #1 on: June 23, 2010, 01:35:57 AM »
Reply with quote
wah wahhhhhhhhhhhh kya khoob kehne janab ghulam haider saheb aap ke..kya ghazal paish ki hai hazaro daad qubool karein janab..bahot bahot aur bahot khoob

«Reply #2 on: June 23, 2010, 02:19:09 AM »
Reply with quote
wah wahhhhhhhhhhhh kya khoob kehne janab ghulam haider saheb aap ke..kya ghazal paish ki hai hazaro daad qubool karein janab..bahot bahot aur bahot khoob
Pasand Karne Ke Liye Bohot 2 Shukriya.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: June 23, 2010, 03:06:33 AM »
Reply with quote
Behad khoobsurat ghazal kahi hai G.Haider sahab. Maza aa gaya padhkar. Mubarakbad aur hazaro daad hazir hain.

>>Riyaz Ashna
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #4 on: June 23, 2010, 03:08:35 AM »
Reply with quote

      Waah-Waah bahut khoobsurat bahut pyara likha hai aapne Ghulam Haider ji. 6th sher to bahut hi pasand aaya.  Applause Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: June 23, 2010, 04:31:16 PM »
Reply with quote
Behad khoobsurat ghazal kahi hai G.Haider sahab. Maza aa gaya padhkar. Mubarakbad aur hazaro daad hazir hain.

>>Riyaz Ashna
Bohot 2 shukriya Riyaz Sb. Pasand farmane k liya.
Allah aap ko hamesha khush aur shaad rakhe.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: June 23, 2010, 04:39:48 PM »
Reply with quote

      Waah-Waah bahut khoobsurat bahut pyara likha hai aapne Ghulam Haider ji. 6th sher to bahut hi pasand aaya.  Applause Applause
Ye to aap ki zarrah nawaazi hai ke aap ne adna si kaavish par daad di. Aur jo shea'r aap ko pasand aaya, yaqeenan woh haasil e ghazal hai aap ke liye. Aap ne is tarah izhaar e khayaal farmaa kar meri bohot himmat afzaayi ki hai.
Behad shukr guzaar hon aap ka.
Mukhlis : Haider
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #7 on: June 23, 2010, 11:54:13 PM »
Reply with quote
Wah Wah Kya Kehne Bahut Khub Haider Ji
Bahut Khoobsurat Ghazal Mehfil Ko Ata Ki Hai
 Dad Hazir Hai Kabule Karen.,...

ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe...Ameen

~Shihab~

Mere dost aapne mujhe dua'a de kar mera dil jeet liya hai. Mujhe bohot khushi mili hai.
Khte hain jab koi shakhs kisi doosre ke liye dua'a karta hai to bohot jald qubool hoti hai.
Allah aapko shaad o aabaad rakh.
Bohot 2 shukriya mere dost
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #8 on: June 24, 2010, 06:00:58 AM »
Reply with quote
Wah Ghulam Haider Saheb Kya kahene , Sar se pa tak Ghazab hai ghazal apki , Dili dad o mubarak baad apki is rawan dawan ghazal pe , Allah khush rakhe apko ..

Duwa go

Qadeertoopcchi
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #9 on: June 24, 2010, 11:56:03 AM »
Reply with quote
Wah Ghulam Haider Saheb Kya kahene , Sar se pa tak Ghazab hai ghazal apki , Dili dad o mubarak baad apki is rawan dawan ghazal pe , Allah khush rakhe apko ..

Duwa go

Qadeertoopcchi
App ki daad aur saath mein dua'a, Aapke khuloos aur dili mohabbat par daleel hai. Mere liye sa'adat aur khushnaseebi ki baat hai ke aap meri adna si kaavish ko apna qeemati waqt diya. Be had shukr guzaar hon aapka.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #10 on: June 25, 2010, 02:00:08 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob likha hai aapne Haider ji... bahut khoobsurat rachnahai... bahut pasand aayi humko aapki ye rachna... bahut hi umda...!!!
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #11 on: June 25, 2010, 02:09:40 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob likha hai aapne Haider ji... bahut khoobsurat rachnahai... bahut pasand aayi humko aapki ye rachna... bahut hi umda...!!!
Mere liye is se ziyada khushi ki baat kya ho sakti hai ke aap ko meri adna si kaavish pasand aayi.
intehaayi mashkoor hon aap ka.
    Haider
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 03:58:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer