PerchaaiN

by javedarshad on August 16, 2009, 03:34:25 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 952 times)
javedarshad
Guest
Reply with quote
Perchaain

Main khamoosh  samunder ki tarah
Apne ko samaite baitha tha
Achanak aik perchaain ne
Aaker mujh se poocha
Tum itne khamoosh kuin ho
Kia Main tum mein sama sakti hun
Main is duniyaan ki bheed se ukta ker
Khud ko tum mein khoo dena chaheti hun

Main tanhayee se , buhtaan se
Be warisooN ki jung se
Bahut tang aachuki hun
Her aik mujhe apni jageer samajhta hai
Mager mera apna koi nahin hai

Zahiri husn ko dekhne wale
Mere jazbe aur ehsaas ko raund rahe hain
Apne be ilmi aur nadani ke pinjre mein
Meri salahiyaatoN aur danayee ko qaid ker rakha hai
Apni kam zerfi ,khud gherzi aur ana parasti ko
Meri zahanat , sharafat aur shaaur se taaul rahe hain

Tum hi batau main in mein
Jiuon to kaise jiuon
Main in nadanoN mein
Dana ban ker kaise rahoN

Maine dheere se uska chamakta chehra
Uske walwale , uske jazbaat padhe
Uske ander jeene ki khuahishaat ko padha
Uske ander obalte ehsasaat ko padha
Aur phir halke tabbasum ke sath
Apne mazboot bazu wa ker diye
Aur woh bahut khamooshi se
Us mein sama gayee
Woh koi aur nahin
Hansmukh aur pagal
Meri perchaain thee


(Us parchaain ke naam jo aaj bhi mujhko
dhoond rahi hai)


javed
 
Logged
Roja
Guest
«Reply #1 on: August 16, 2009, 03:30:15 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
Excellant..... Bahut bahut accha likha hai aapne Arshad ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: August 16, 2009, 04:07:53 PM »
Reply with quote
Bohot achchi Nazm hai Javed Sb
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3 on: August 16, 2009, 04:11:24 PM »
Reply with quote
JAVED JI ... KYA KAHU MAIN AAP KOH... JUST WAH WAH WAH HI NIKAL RAHA HAI JUBAAN SEY .. BAHUT HI KHOOB, WAH


JASBIR SINGH
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: August 16, 2009, 04:14:14 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause

Bahoot bahoot Khoob Javed ji.. bahoot Khooob!
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #5 on: August 16, 2009, 04:17:29 PM »
Reply with quote
Jasbir Ji addab

main aap ka bahut mashkoor hun

Baat kahne ki nahin hooti hai

jis besakhtagee se aap ne likha hai
bas unko dekh ker meri mehnat ka yaqeen ho gaya raigaan  nahin gayee



shukria


javed
Logged
Deepati
Guest
«Reply #6 on: August 16, 2009, 05:23:39 PM »
Reply with quote
Wah Wah Javed Ji... Ek aur Behtreen Ghazal! Bahut Bahut Khoob! Daad qabool karein! Applause Applause
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #7 on: August 16, 2009, 06:17:20 PM »
Reply with quote
Tx
Roja ji



javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #8 on: August 17, 2009, 10:13:52 AM »
Reply with quote
shukria Talat Saheba




Javed
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #9 on: August 17, 2009, 10:21:29 AM »
Reply with quote
Jasbir Ji addab

main aap ka bahut mashkoor hun

Baat kahne ki nahin hooti hai

jis besakhtagee se aap ne likha hai
bas unko dekh ker meri mehnat ka yaqeen ho gaya raigaan  nahin gayee



shukria


javed

U are always welcome javed ji and its just your talent which deserves all the praise .. may god bless you in all that you do ...


jasbir singh
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: August 17, 2009, 11:41:29 PM »
Reply with quote
Perchaain

Main khamoosh  samunder ki tarah
Apne ko samaite baitha tha
Achanak aik perchaain ne
Aaker mujh se poocha
Tum itne khamoosh kuin ho
Kia Main tum mein sama sakti hun
Main is duniyaan ki bheed se ukta ker
Khud ko tum mein khoo dena chaheti hun

Main tanhayee se , buhtaan se
Be warisooN ki jung se
Bahut tang aachuki hun
Her aik mujhe apni jageer samajhta hai
Mager mera apna koi nahin hai

Zahiri husn ko dekhne wale
Mere jazbe aur ehsaas ko raund rahe hain
Apne be ilmi aur nadani ke pinjre mein
Meri salahiyaatoN aur danayee ko qaid ker rakha hai
Apni kam zerfi ,khud gherzi aur ana parasti ko
Meri zahanat , sharafat aur shaaur se taaul rahe hain

Tum hi batau main in mein
Jiuon to kaise jiuon
Main in nadanoN mein
Dana ban ker kaise rahoN

Maine dheere se uska chamakta chehra
Uske walwale , uske jazbaat padhe
Uske ander jeene ki khuahishaat ko padha
Uske ander obalte ehsasaat ko padha
Aur phir halke tabbasum ke sath
Apne mazboot bazu wa ker diye
Aur woh bahut khamooshi se
Us mein sama gayee
Woh koi aur nahin
Hansmukh aur pagal
Meri perchaain thee


(Us parchaain ke naam jo aaj bhi mujhko
dhoond rahi hai)


javed
 

javed sahab subhaanAllah kya kehne hain bhut hi khoob kya khoob shakal banayi hai aapne aur utni hi khoobsurti se anokhe rang se usko sajaya bhi hai bhut maza aaya pad kar ye baat kehne ki nhi magr daad hazir hai

apna ek sher aapki nazr

khud mujhko nhi pata ke mein kya dhoond rha hu.n
shayad ke daayro.n mai khuda dhoond rha hu.n
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #11 on: August 18, 2009, 01:47:17 PM »
Reply with quote
Deep Shukria


aapka



Javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #12 on: August 19, 2009, 04:37:27 PM »
Reply with quote
Tx


Kaash




javed
Logged
sakhi1909
Guest
«Reply #13 on: August 19, 2009, 06:49:50 PM »
Reply with quote
kya bat hai..khubsurat ahsaas se bhari rachna

bhaut din bad apki nazm padi acha laga
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #14 on: August 21, 2009, 07:43:56 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukria sakhi

kahan ghayab hain


javed
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 07:12:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.405 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer