Pyaar Kiya Hai Chori Chori

by Miss Kismat on November 30, 2004, 08:09:26 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 13019 times)
Miss Kismat
Guest
«Reply #15 on: December 04, 2004, 01:53:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "Miss Kismat"
Badi  maherbaani  ae  waktt   tumhari
gadi  bhar  mere  samne  unko  laya
magar  ho  gayi  berukhi  tumse  kesi
hawa  sang  to  bhi  chalaa  piche  piche
 Puzzled !


Kitne  gamzada  hai  hum
ke  kya  tumhe  bataaye
aakhe  to  kuch  kahti  nahi
ye  dil  bhi  yu  khamosh  hai
hoto  pe  jo  aayi  thi  baat
hoto  pe  hi  ruk  kar  rahi
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chori Chori.. by sangy in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
MERE DIL KI CHORI by BHONDU in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
-Ek Chori Si Mulakaat- by Tosha in Shayri-E-Dard
TUM CHORI CHORI ROLENA by Risk in Shayri for Khumar -e- Ishq
Soheb_Khan
Guest
«Reply #16 on: December 04, 2004, 03:54:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "Miss Kismat"
Quote from: "Miss Kismat"
Badi  maherbaani  ae  waktt   tumhari
gadi  bhar  mere  samne  unko  laya
magar  ho  gayi  berukhi  tumse  kesi
hawa  sang  to  bhi  chalaa  piche  piche
 Puzzled !


Kitne  gamzada  hai  hum
ke  kya  tumhe  bataaye
aakhe  to  kuch  kahti  nahi
ye  dil  bhi  yu  khamosh  hai
hoto  pe  jo  aayi  thi  baat
hoto  pe  hi  ruk  kar  rahi
[/color]


 :cry:
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #17 on: December 05, 2004, 02:19:07 PM »
Reply with quote
Utre hai dil mei sidhi tirchi nazar tumaari
Dil aarzoo karega ab umrabhar tumari

Kahte hai pyaar kisko? hum kya kahenge isko?
Tumko pata hai mera ,Mujhko khabar tumari

Dil ke hazaar tukde kar ke bichaunga me
Yun bhi sajaunga me ab rahgujar tumari,

Is baat pe kyo aamin afsos kar rahe ho
Duniya me ho rahi hai baatein agar tumaari
 Puzzled !
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #18 on: December 07, 2004, 03:10:54 PM »
Reply with quote
Gaur Farmaiye

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chod diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #19 on: December 09, 2004, 02:01:02 PM »
Reply with quote
Khud Hee Ho Jata Hai...

Ishq to khud hee ho jaata hai…
Dil bhi apna kho jaata hai…
Jab aisa ho jaata hai…
To dil bekaraar ho jaata hai.

Kyun hota hain humko pyaar…
Mujhko nahi pata yaar.

Itna zaroor pata hai mujhko…
Ek din ye bhi hoga tumko.

Jab hoga tumko pyaar…
Hawa mein udoge tum bhi yaar…
Khush rahoge hardam tum…
Pyaar karoge pyaar se tum.

Aaj tumne jisko dekha hai…
Shayad who hee tumhara apna hai…
Abhi chalega pata nahi…
Intezaar mein rahna har ghadi.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #20 on: December 09, 2004, 02:34:22 PM »
Reply with quote
Quote from: "Miss Kismat"
Utre hai dil mei sidhi tirchi nazar tumaari
Dil aarzoo karega ab umrabhar tumari

Kahte hai pyaar kisko? hum kya kahenge isko?
Tumko pata hai mera ,Mujhko khabar tumari

Dil ke hazaar tukde kar ke bichaunga me
Yun bhi sajaunga me ab rahgujar tumari,

Is baat pe kyo aamin afsos kar rahe ho
Duniya me ho rahi hai baatein agar tumaari
 Puzzled !


wow.....excellent meena.............bahot khoob..........

Naheen Naheen Humein Ab Teri Aarzoo Bhi Naheen
Tujhe Bhi Bhool Gaye Hum Teri Khushi Ke Liye.....................
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #21 on: December 10, 2004, 05:41:28 PM »
Reply with quote
It was me Waheed hahah who wrote it.... :oops: Miss Kismat

Dil ke is mehfil mein

"Mere Dil ke is mehfil mein,
tere anek roop shaamil hain,
Tere har roop ke saath,
khud ko jodne ki koshish karthi hun,
Jab kisi ek roop ke saath,
khud ko jod nahi pati, tho
khud ko ghar mein akela mehsoos kartha hun".


Tujhe Yaad Karti Hoon..

Aanken band kar bhi, hum tera deedar karte hain,
Aye sanam, hum to sirf tum se pyar karte hain.
Lakh chaah kar bhi main tujhe bhula nahi sakta,
Saans rahte, tera tasvir aankhon se hataa nahi sakta.
Aakhiri pal tak o bewafaa, tujehe yaad karti hoon,
Teri yaadon ko seene mein basaa kar chalti hoon.
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #22 on: December 10, 2004, 06:01:31 PM »
Reply with quote
gadar!!!

abs. vvonnderful!!!
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #23 on: December 10, 2004, 06:52:49 PM »
Reply with quote
Quote from: "myheart_ursonly"
gadar!!!

abs. vvonnderful!!!


Thnxxx Myheart...

Gul-e-Gulzar..
Mita de apni Husti ko Agar doh Martba Chahe.....
Ke Dana Khak may Milkar Gul-e-gulzar hota hay.
Logged
smile_deep1
Guest
«Reply #24 on: December 10, 2004, 06:55:49 PM »
Reply with quote
Quote from: "Miss Kismat"
It was me Waheed hahah who wrote it.... :oops: Miss Kismat

Dil ke is mehfil mein

"Mere Dil ke is mehfil mein,
tere anek roop shaamil hain,
Tere har roop ke saath,
khud ko jodne ki koshish karthi hun,
Jab kisi ek roop ke saath,
khud ko jod nahi pati, tho
khud ko ghar mein akela mehsoos kartha hun".



anek roop ko dil main shamil na kar,
woh to jamanay ke liye hain.......
shamil hi hona hin to ruh-e-maan main ho,
woh ek hi roop hain mera jo duniyan se chupaya hain tere liye.........
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #25 on: December 10, 2004, 11:05:50 PM »
Reply with quote
Pardes mein

Pardes mein yaad jab teri ati hain..
Dil roti hai, ankh bhar ati hai..
Kya gunah kiya tha hamne?
Pardes mein yaad jab teri ati hai..

Kesi yeh ajeeb pareshani hai..
Yaad bhi teri ek pareshani hai..
Kabhi to sakoon milega dil ko
Kesi yeh ajeeb pareshani hai..

Din lambe, Raaten bhi lambi hein..
Yaad mein hosh bhula baithe hein..
Talaash ki justujo kise nehi
Din lambe, Raaten bhi lambi hein..

Dil ke darwaze pe dastak ho rahi hai..
Aaj phirr ek yaad sata rahi hai..
Dil ki gehrayon me jhaank ke dekh..
Pardes me aaj phirr teri yaad aa rahi hai..
 :oops:
Logged
lovebites
Guest
«Reply #26 on: December 11, 2004, 12:43:48 PM »
Reply with quote
nice work allzzz.................!



ik na ik roz to rukhsat kerta
mujh se kitni hi muhabbat kerta
aur uss se na rahee koi talab
buss mere pyaar ki izzat kerta
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #27 on: December 11, 2004, 01:00:22 PM »
Reply with quote
ur vvelcome miss kismat ji!!!


n "pardes" is also nice of u


 :dance:
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #28 on: December 11, 2004, 01:49:14 PM »
Reply with quote
wah!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!excellent work....allllllllllllllllllllllllllllllllllllllll llllllllllllllllllllllll Usual Smile
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #29 on: December 14, 2004, 02:13:27 PM »
Reply with quote
Thnxx All... :lol:

Mohobbat !!!!!!!

Mohobbat  hai  duniya
Mohobbat  hai  dariya
Mohobbat  karam  hai
Mohobbat  dharam  hai

Mohobbat  dilo  ki  aajab  dasta  hai
Kabhi  kho  ke  payi,
Kabhi  paa  ke  khoyi

Mohobbat  hawa  ka  ek  halka  sa  jhoka
Kabhi  chu  gaya,  to
Kabhi  chu  ke  nikla

Mohobbat  samandar  ki  gheraiya  hai
Koyi  tair  nikla
Koyi  dub  haara

Mohobbat  ki  saaso  me  bhi  shokhiya   hai
Kabhi  has  diye, to
Kabhi  chot  khayi

Mohobbat  khuda  ka  ek  nazuk  sa tofaa
Kahi  tutt  jaye,  to
Jode  jude  na

Bade  dilkashe  hai  mohobvat  ke  vaade
Kabhi  hai  wafaai
Kabhi  ruswaai

Mohobbat  dilo  ki  aajab  dasta  hai
Samaj  ke  bhi,  humko
Samaj  me  na  aayi.... :oops:  Puzzled !
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 01:58:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer