Pyaar Kiya Hai Chori Chori

by Miss Kismat on November 30, 2004, 08:09:26 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 13045 times)
Miss Kismat
Guest
«Reply #45 on: December 22, 2004, 09:53:50 PM »
Reply with quote
Thanks Sharmaarunkumar ji...


Khair ho yarab maine bhi mohabbat karli
ek dile barbad say maine mohabbat karli

Na dekha rang o roop na kirdare sanam
Har gunha se uske maine mohabbat karli

Har daur mein mohabbat sangsar huyi hai
Har zaqm se uske maine mohabbat karli

Yaro ujaalon ko maine baksh diya hai
Gumnam andheron se maine mohabbat karli

Apnon ki aah ne aawaz mujh ko di hai
Mehaboob ke nalon se maine mohabbat karli

Imaan ki baat par saaqhi rooth jayega
Madhosh maikadon se maine mohabbat karli

Toofane zindagi hai behosh meri khisma
Saahil na sahi samandar se maine mohabbat karli

chaand Aaya tha main akela javoonga bhi akela
kya bura hai gar tanhaiyon say maine mohabbat karli
 :oops:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chori Chori.. by sangy in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
MERE DIL KI CHORI by BHONDU in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
-Ek Chori Si Mulakaat- by Tosha in Shayri-E-Dard
TUM CHORI CHORI ROLENA by Risk in Shayri for Khumar -e- Ishq
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #46 on: December 23, 2004, 06:33:34 PM »
Reply with quote
Waah Kismat ji!!! Nice!!!
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #47 on: December 24, 2004, 09:06:56 PM »
Reply with quote
Shukhriyaa Sharmaarunkumar Ji... tongue3

Yaadein
Zindgi mein to tumhari aa na sake, ab khwaabon mein chale aate hain
Tum laakh nazrein pher lo sanam, hum phir bhi chale aate hain

Kahne ko to tum bhul chuki thi, phir bhi anjaane mein pukarti ho
Tum kabhi bhuli nahin thi, sirf jaankar anjaane mein pukarti ho

Mann to mann hai, mann ko kya kahena
Hum aayenge sapno mein, sapno ko kya kahena

Azeez bewafa nahin, tum paas aao ya na aao,
Wo mar ke bhi mara nahin, uski yaadon ko gale se lagao......!!
 :oops:
Logged
nikki
Guest
«Reply #48 on: December 24, 2004, 11:32:02 PM »
Reply with quote
very nice KISMAT..too good.[/code][/quote]
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #49 on: December 28, 2004, 05:43:15 PM »
Reply with quote
Thanks Nikki...

Naya Naya Hain

Naye Dhang hain ab, zamaane naye hain
na aane ke un ke, bahaane naye hain

Nahin kuch hai badla riwaaj-e-muhabbat
hai qissa wahi par, diwaane naye hain

Nigaahon ki aadat wahi hai puraani
Nishaana wahi par, nishaane naye hain

Agar aik bichda nasheman to kya gham
banaane hameN aashiyaane naye hain

Badal kar qabaa-e-kuhan sochte hain
hue haal apne puraane naye hain

Rihaa daur-e-maa'zi ki yaados se ho kar
anis aaj likhte fasaane naye hain !
 :oops:
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #50 on: December 29, 2004, 10:08:43 AM »
Reply with quote
Ek Ghazal Aap Ke Naam

Rang aur noor ki is duniya me
Is dil ka karaar kaha paaye
In badalte hue halat me
Wah pyar ka sheela hum kaha paaye

Aap jo khawab ki duniya le kar aaye the
Aankh khulte hi wah duniya kahi nahin paaye
Raaste me jo kaante bikhre the
Use chaah kar bhi hum choon nahin paaye

Beshumaar pyar bhara tha is dil me
Aap ke dil ka krodh phir bhi kam nahin kar paaye
Ab sirf ashq hi ubhara hai in aankhon me
Is dil ko in ashqon me dooba nahin paaye

Pyar ke siva uljhan hi dekhi humari har baaton me
Laakh koshish ke baad bhi aap ko mana nahin paaye
Prem ke phool chadhaye har waqt aapke kadmon me
Aapki raahon me sirf kaante hi hum bikhara paaye
 :oops:  :oops:  Puzzled !
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #51 on: December 29, 2004, 10:16:21 AM »
Reply with quote
wowow.............miss kismat.........arun bhai....excellent work ...bahot pyari pyari ghazal.... :lol:

-   Ajeeb larki hoon Khudh ko jalana chahti hoon
Mein khudh ko rakh kar kaheen bhool jana chahti hoon,

Meray naseeb ki khushiyan bhi kab milen mujhko
Bas ab to umer bhar ansoo bahana chahti hoon,

Najaney kitni mohabbat hai ranj-o-gham sai mujhe
Koi bhi dard ho dil mein chupana chahti hoon,

Baha baha kai yeh ansoo bikhar chuki hoon buhut
simat kai zaat mein ab muskurana chahti hoon,

Jisey aik umer sai Dil mein basa kai rakha hai
Woh raaz aaj mein sab ko batana chahti hoon,

Wohi yaad hai jo acha kaha hai loghon nai
Baqaya sarey sitam bhool jana chahti hoon,

Mujhe zamaney nai pathar samjh lia hai magar
Mein aik Larki hoon sab ko batana chahti hoon,

Jo mujh sai ruth chuki hain zamaney ki khushiyan
To mein bhi khushyon sai ab ruth jana chahti hoon,

Woh meri khwahishein woh mera khwaab woh mera bachpan
Aye Umer rafta mein phir sai woh pana chahti hoon,

Koi to ho jo mujhe bhi lagaye seenay sai
Kisi ko mein bhi gham apna sunana chahti hoon,

To Apnay Dil kai har aik dard ko khol de NAZI
Mein dard ban kai teray dil mein ana chahti hoon!!!!!   (nm)
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #52 on: December 29, 2004, 10:22:52 AM »
Reply with quote
Dosti Ka Pehla Pegam Apkay Naam             Zindagi Ki Akhri Sham Apkay Naam                   Iss Safar main humsafar Hain hum donno            is dosti Ko Nibhana Hain Apka Naam .....             Ess Qadar humari Chahhat Ka Imtehan Na Lijiye kyun ho humsay Khafaa Bayaan to Kijiyai              kar Dejiyai maaf Agar hogaye humsay Khataa     Yu Yaad Na Karke Saza Na DiJiye......          RishTo0n Ki Yeh Duniya Hai NiraLi
Sab Rishto0n Say Pyari Hai dOSti tUmhari
ManZo0r Hai AanSu Bhi AanKho0n Main HumaRe Agar Aah JAye MusKan hout Pe TumhaRay......

*nm*
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #53 on: December 29, 2004, 10:51:58 AM »
Reply with quote
Wahhhh Bahot Achaa...Nice Waheed and Amit Ji... :lol: With Love Miss Kismat...

Dil..

Sine se lagaya hota aap ko, agar aap dil ke paas hote
dil to khair rehne do kya chahte, agar aap nazar ke paas hote..
 Puzzled !
Logged
lovebites
Guest
«Reply #54 on: December 29, 2004, 01:46:00 PM »
Reply with quote
Wah bohat achey Waheed bhai,Amit,& Miss-K..................!


Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #55 on: December 29, 2004, 01:46:56 PM »
Reply with quote
Intezaar to karein ke jab vo aaye bhi
Bhool jaayein hum chhodein jo mere saaye bhi

Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekhenge apne aur paraaye bhi

Vo gair hai to gair ban-na bhi seekh le
Yaadon mein aake baar-baar aazmaaye bhi

Kehta hai duniya ko chhon dega humein
Mud ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi

Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi lagaaye aag, khud hi bhujaaye bhi

Shikwa bhi to kya karein hum kisi se
Khoya ik humsafar to lakhon rehnuma paaye bhi.
Logged
lovebites
Guest
«Reply #56 on: December 29, 2004, 01:57:13 PM »
Reply with quote
Nice Miss-K......................!


har tamana ko nadi kinare chhor diya ..
tum kiya gaye hum ne saans bhi lena chhor diya ..
jiyenge kaisay ab us ke bin waqas ...
is zindagi ko halat ke sahare chhor diya...
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #57 on: December 29, 2004, 08:16:03 PM »
Reply with quote
Thanks Lovebites.... :wink:

Sukhe patton pe aitbaar kar lenge,
teri yadon se pyaar kar lenge, bas ek baar kehdo tumhe pyaar hai humse,
hum saari umar intezaar kar lenge.

Koyi dost hai na koi rakeeb hai
Tera shaher kitna ajeeb hai

Yahan kiska chehra padhaa karoon
Yahan kaun itna qareeb hai

Main kis se kahoon mere saath chal
Yahan sab kay sar par saleeb hai........


Kuch Paloon Ki Mohalat Hai, Mil Ke Do Ghadi Jii Lein,
Ranjisho Ke Saaye Mein Umar Kya Bitaana Hai..

Sochte Hain yahaan kise raazdaar banaaye hum..
Saahilon ko sajishon ki dastaan sunana hai..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #58 on: December 30, 2004, 08:57:25 AM »
Reply with quote
ur welcome miss-kismat.....lovebites.........

very nice work........amit_is_always_cool...miss kismat...lovebites..............  bahot khoob .keep  writing..........
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #59 on: December 30, 2004, 09:02:41 AM »
Reply with quote
Thank you Waheed Ji...and Nice work you all... :wink:

Nigahe aapki,
Pehechan hai hamari.........
Muskurahat aapki,
shaan hai hamari...........
Karna hifajat tum apni,
kyonki............
Saanse aapki JAAN hai hamari

*************************

Umar na ishq ki hote hai na hoti hai aashiq ki
Umar to ik Dikhawa hai jo bas bas yaad dilati hai aazadi ki
Azaadi dil se nahin Duniya se hoti hai
Umar ko yaad karke na jane kyon duniya roti hai

**************************

Duniya me har kissi ne nashe me khud ko hai jalayaa,
kissi ne sharaab to kissi ne shabaab hai aazmayaa.
Maut ko dekh kar kaun nahi ghabrayaa,
par maine to khuda se zindagi ke badle tujhko hai payaa
 :oops:
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 07:52:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer