Javed Saaheeb ! A'adaab,
Aaj pehli baar aap se iss bazm mein ru-b-ru huye hai........ so, ab jaa.N pehchaa.N bhi ho jayegi....... bahut hi a'llatree.N Ghazal pe'sh ki hai aap ne. sab ash,a'ar saadagee aur achhe bayaan ke Haamil haiN
Shula hawaaun main sisakte dekha
Munsif qatil hi ko bante dekha
Subaa.Na'llah Ghazal ka a'gaaz bahut hi dil-ka'sh hai
Husn bazaar main bikte dekha
Ishq sahra main bilakte dekha
waah bahut kh'uub... Ishq aur Husn ka bayaa.N !!
Hunge samunder main tufan bahut
Sahil per khamoosh simat te dekha
waah .. yha Sahil aur Samundar ka kaafi Beh'tree.N i'semaal kiya hai!
Kalyun main hai yeh tamkanat kaisi
Phuloon ko hamne to bikharte dekha
Bahut Chubta huuya Sh'er likha hai .. waah waah !! Khushk padun ke saai main bhi
Kuch dair musafir ko taher te dekha
Gustakhi Muaa'f ... yha dusri line mein gar "Kuch dair musafir ko teher te dekha" ki ba'jaye "dair ta'lak musafir ko teher te dekha" ho jaye to sh'er mein aur vajaN aa jayega
kis kis ko libade pahnain
har shaqhs ko yahan simat te dekha
Iss tarah ke zazbaat ko bahut se shairo.n ne mukhtalif andaaz main kaha hai lekin aapne jo isse sehazta di hai wo iss ki khoobsurti badhati hai.. waah !! Aakhir javed khahan tak rooke
Har har qadam ko bahekte dekha
Javed jee ...... agar dusri line ko kucch yun kha jaye "Har ik qadam ko behekte dekha" to sh'er aur jiada achcha lagega
dil ko chuu lene wali Ghazal likhi hai ... daad qa'buul kijiye !!
HumTum