Qatl kaliyon ka

by fezan on December 09, 2008, 03:32:58 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1140 times)
fezan
Guest
Reply with quote
Dosto.n aisa kabhi hone na do
pyar ko ruswa kabhi hone na do

Dil mei.n rakkho ishq ki deewangi
yeh maraz achha kabhi hone na do

Roz dekho apne chehre ki chamak
Aina maila kabhi hone na do

Door rakhho nafrato.n ki anch se
badnuma chehra kabhi hone na do

Hai bahot anjaan rishton mei.n mithas
yeh maza khatta kabhi hone na do

Akhiri over mei.n bhi koshish karo
match iktarfa kabhi hone na do

Kuchh na kuchh padhte raho likhte raho
zahn-o-dil murda kabhi hone na do

Phool khil jaye.n to beshak tod lo
qatl kaliyon ka kabhi hone na do

Zard pad jaye hare patton ka rang
is qadar saaya kabhi hone na do

Tod do Fezan rishwat ka riwaj
kaam tum kaala kabhi hone na do
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Qatl-O- Katil by gurmeet in Shayri for Khumar -e- Ishq
Qatl kishto me by ravisca2003 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Qatl Gaah Chorr Gaye.. by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Qatl by Nadeem Ahmed Kavish in Shayri for Dard -e- Judai
Qatl paakeezah-e-khaatuun hai zinaakaaree! by abdbundeli in Occassion Specific Poetry « 1 2  All »
jasbirsingh
Guest
«Reply #1 on: December 09, 2008, 04:49:33 PM »
Reply with quote
Dosto.n aisa kabhi hone na do
pyar ko ruswa kabhi hone na do

Dil mei.n rakkho ishq ki deewangi
yeh maraz achha kabhi hone na do

Roz dekho apne chehre ki chamak
Aina maila kabhi hone na do

Door rakhho nafrato.n ki anch se
badnuma chehra kabhi hone na do

Hai bahot anjaan rishton mei.n mithas
yeh maza khatta kabhi hone na do

Akhiri over mei.n bhi koshish karo
match iktarfa kabhi hone na do

Kuchh na kuchh padhte raho likhte raho
zahn-o-dil murda kabhi hone na do

Phool khil jaye.n to beshak tod lo
qatl kaliyon ka kabhi hone na do

Zard pad jaye hare patton ka rang
is qadar saaya kabhi hone na do

Tod do Fezan rishwat ka riwaj
kaam tum kaala kabhi hone na do



bahut khoob kaha aap neh


GUM CHAHEY MILEY JINDAGI MEH
PYAR KABHI KAM HONEY NA DOH

BEWAFA HI SAHI SANAM
LOGOH KOH KABHI KEHNEY NA DOH

MIL JAYE BEH PANAH MOHABBAT JISSEY
JASBIR AISA SANAM KABHI KHONEY NA DOH



JASBIR SINGH
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: December 09, 2008, 05:16:37 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Fezan Ji
Aap ka bhi jawaab nahi Jas Ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3 on: December 09, 2008, 05:28:23 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Fezan Ji
Aap ka bhi jawaab nahi Jas Ji

Thanks Rajesh

Jasbir Singh
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 36 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #4 on: December 09, 2008, 06:03:27 PM »
Reply with quote
nice work guys!

muhabbat mein dushman dil ko kisee ka honay na do...
tanha raaton mein aankhon ko ronay na do.
hum soye aaj tho kabhi jaagayngay nahi... aaj daaman mein chuhpa k muhje jaagao, muhje kabhi sonay na do...
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #5 on: December 09, 2008, 06:19:58 PM »
Reply with quote
nice work guys!

muhabbat mein dushman dil ko kisee ka honay na do...
tanha raaton mein aankhon ko ronay na do.
hum soye aaj tho kabhi jaagayngay nahi... aaj daaman mein chuhpa k muhje jaagao, muhje kabhi sonay na do...

Thanks Anjaan
aap neh bahut hi shandaar likha hai, kuch pal key liye koh hi gaya tha in khayaloh meh, ki fir yaad aaya aap ka kaha ki



DOSTOH KOH KABHI RAAH MEH KHONEY NA DOH
PAAS AAO HAMAREY, HAMEY RONEY NA DOH

MILEY JOH MOHABBAT, TOH KHONEY NA DOH
KATOH KOH RAAH MEH KABHI HONEY NA DOH

TANHA RATOH KOH KABHI HONEY NA DOH
YAAD UNKI KABHI DOOR HONEY NA DOH

GALEY LAGAKAR KABHI KHONEY NA DOH
JAGAKAR HAMEY KABHI SONEY NA DOH

MILKAR HUMSEY KABHI JUDA NA HO
HAMAREY HAI SANAM, BUSS YEH KAHO


JASBIR SINGH
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: December 09, 2008, 06:47:40 PM »
Reply with quote
nice sharing fezan, Apka yoindia main sawagat hai..
Rajesh and Jas ji apne acha sath diya hai!!

Good work all
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #7 on: December 09, 2008, 06:53:09 PM »
Reply with quote
nice sharing fezan, Apka yoindia main sawagat hai..
Rajesh and Jas ji apne acha sath diya hai!!

Good work all


Thanks JI

Jasbir Singh
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 36 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #8 on: December 09, 2008, 09:01:17 PM »
Reply with quote
nice jasbir sahaab! keep it goin!
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: December 09, 2008, 09:24:24 PM »
Reply with quote
nice sharing fezan, Apka yoindia main sawagat hai..
Rajesh and Jas ji apne acha sath diya hai!!

Good work all

Thanx Pooja
Naye logon ko protshahit na karenge
Toh wey yun nirash ho jaya karenge
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #10 on: December 10, 2008, 12:58:49 PM »
Reply with quote
nice jasbir sahaab! keep it goin!


tHANKS ANJAAN JI


JASBIR SINGH
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 08:25:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer