Kya baat hai Sam..bohot khoobsurat alfaz aur andaz!!!
Roshni thi phaili hui aur rangeen saman tha
Dunya ki khabar na thi, hosh kisi ko na tha
Dharkane gum theen, jazbato ka shor tha
Ek nasha sa rago main daudta phirta tha
Saanse bikhar gayi theen, ruksaar jalta tha
Palko pe sharm-o-haya ka behisaab bojh tha
Apni kismat pe mera dil khud hi naazan tha
.....
Jo zara nazrain uthai ek barq si lahrayee thi
Jahan luta hua tha, bas main aur meri tanhai thi
Guzra hua waqt haseen khwaab ban ke aata hai
Teri bewafai ka naag mujhe har roz das ke jaata hai!!!
bahut khoob talat ji .... very nice
roshni thi phaili hui, aur rangeen sama tha
dunya ki khabar thi mujhko sirf hosh apna na tha
dhudkan-e-ghum thi, jazbaato ka shor tha
ek pagal sa shahar me main ghoomta phirta tha
saanse bikhar gayi thi, rukhsaar jalta tha
apni zindagi par main khud hi ek bojh sa tha
apni kismat hi nahi thi to dil naazaan kaise ho sakta tha
............
jo zara nazre uthai ek barq si lahraaayi thi
jahaan ulta hua tha, bas tu aur teri tanhaai thi
guzra hua wakt haseen khawaab ban ke aata tha
meri bewafai ka naag das ke tujhe jata tha
..........
tu tanha thi, main kbhi akela na tha
mere paas teri biti yadon ka sama tha
tujhe ghum tha, main kabhi ghumgeen na tha
teri judai ka mujh ka zara bhi yakeen na tha
tu roya karti thi, meri aankh kabhi num na hui
humesha hunsti rahi aankh meri mausam na hui