rumaani dunya

by samnoj on November 11, 2004, 10:38:05 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 7949 times)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
Reply with quote
meri aankho ne dekha ek aisa nazara
badakhoobsurat bada hi tha pyaara

thi aankho se aankhe mili rahti har dam
nahi maut ka bhi tha unko zara ghum

yu lagta tha jaise ho karte ishare
thi sumsaan waadi aur wo be sahaare

nahi deen wo dunya ki unko khabar thi
un dono ki bas ek si hi umar thi

waise to wo do the par ek jaan the
wo ek doosre ke dilo me nehaan the

ye ek raaz tha, kya thi unki kahaani
thi kaisi haseen, unki dunya rumaani

ho dhoop ya barfili sardi ki raate
khula aasmaan ho ya sawan ki raate

khiza ho ya rang-e-bahaaro ka mausam
yu aa aa gaye kitne madhosh sawan

ye sab dekh main bhi yu hairaan bada tha
unhen pata har roz usi hi jagah tha

yu pake wo aahat na jab chaukte the
na hilte zara the, na mud dekhte the

jo phir jaake nazdeek se unko dekha
to phir jaa kahin, us kahani ko samjha

wo traashe hue sang-e-mar mar ke but the
thi nazre mili unki, lekin wo chup the

ye hi raaz tha, ye thi unki kahaani
thi aisi haseen, unki dunya rumaani
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tera Rumaani Ehsaas *** by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Kash k dunya aisi ho by Aliisking in Occassion Specific Poetry
Sasat dano ki dunya ma koi wafadar nh by FArah in Shayri-E-Dard
Ye dunya bhi uski wo dunya bhi uski by Asif samani jaunpuri in Shairi for Manzar -e- Kudrat
ye dunya ki kasti ye dunya ka kinara by Asif samani jaunpuri in Shayri for Khumar -e- Ishq
nishita
Guest
«Reply #1 on: November 11, 2004, 10:43:55 AM »
Reply with quote
wah sam kya baat hai yaar...!!
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #2 on: November 11, 2004, 10:48:53 AM »
Reply with quote
thanx nishita ji
Logged
nishita
Guest
«Reply #3 on: November 11, 2004, 10:51:25 AM »
Reply with quote
Kabhi mujh ko saath lekar, kabhi mere saath chal kar
vo badal gaye achaanak meri zindagi badal kar

Huye jis pe mehrbaan tum koi khush naseeb hoga
meri hasratein to nikli mere aansuon mein dhal kar (NM)
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #4 on: November 11, 2004, 10:52:53 AM »
Reply with quote
good one nishita ji
Logged
nishita
Guest
«Reply #5 on: November 11, 2004, 10:57:37 AM »
Reply with quote
uff ye ji.... thanks hai ji grrrrr
Logged
husain52
Guest
«Reply #6 on: November 11, 2004, 11:15:38 AM »
Reply with quote
waah bahoot khoob samnoj
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #7 on: November 11, 2004, 11:30:20 AM »
Reply with quote
thanx husain ji
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #8 on: November 11, 2004, 02:56:02 PM »
Reply with quote
wah!!!!!  samnoj bhai.............nishita..........  

Yeh chahton ke silsaley bari door tak gaye...
Abhi bhi waqt hai meri baat maan jao.............
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: November 11, 2004, 03:00:15 PM »
Reply with quote
Kya baat hai Sam..bohot khoobsurat alfaz aur andaz!!!

Roshni thi phaili hui aur rangeen saman tha
Dunya ki khabar na thi, hosh kisi ko na tha
Dharkane gum theen, jazbato ka shor tha
Ek nasha sa rago main daudta phirta tha
Saanse bikhar gayi theen, ruksaar jalta tha
Palko pe sharm-o-haya ka behisaab bojh tha
Apni kismat pe mera dil khud hi naazan tha
.....
Jo zara nazrain uthai ek barq si lahrayee thi
Jahan luta hua tha, bas main aur meri tanhai thi
Guzra hua waqt haseen khwaab ban ke aata hai
Teri bewafai ka naag mujhe har roz das ke jaata hai!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #10 on: November 11, 2004, 03:09:56 PM »
Reply with quote
wow talat......nice wordings......bahot pyara likha aap ne..........

Toota huwa sheesha phir joda nahi jaata

aankh se nikla howa ansoo phir waapis nahi aata

Tum to keh k bhool chuke ho sab kuch

lakin mujh se wo pal bhoolaaya nahi jaata

Teri mohobbat ne zangirein daale hain aisi

ki chodna bhee chahoon to chudaya nahi jaata

Mehfil mein bhee mouj ko tanhai nazar aate hai

tere bin ya dil kaheen aur lagaaya nahi jata

Meri dil ki dewaron par sirf tera he naam likha hai

Mitana bhee chahoon to mitaaya nahi jaata

sans rokne se pehlay ek jhalak dikha jaana

bewafa zindagi ka aitbar kiya nahi jaata.........  (neelu)
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: November 11, 2004, 03:11:20 PM »
Reply with quote
Thanks Waheed n nice one!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #12 on: November 11, 2004, 03:20:34 PM »
Reply with quote
thanx Talat..............
Logged
husain52
Guest
«Reply #13 on: November 11, 2004, 03:42:50 PM »
Reply with quote
nice talat and waheed

TUFAN SE ZINDAGI KO PANAH KAHA MILTI HAI"
"HAR RAHE KO RAH KAHA MILTI HAI"
"HOSLA TO TAJMAHAL BANANE KA SAB KO HAI"
"MAGAR IS JAHAN MEIN MUMTAZ KAHA MILTI HAI
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: November 11, 2004, 03:46:18 PM »
Reply with quote
Thx Husain...Nice..
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 10:23:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.084 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer