Husain ji wrote
Fanaa ho jaane mein vishwaas chaahiye
pyar ke liye dil mein bas ehsaas chaahiye
hothon se kehne ki to zaroorat hi nahi
bas aankhon mein khamoshi ki aawaaz chahiye
anjaam ki kab fikra karte hai deewaane
bas ek khoobsurat sa aaghaaz chaahiye
zindagi ki hadh ke bhi paar pyar hai
kisi pe marke jeene ka andaaz chaahiye
is duniyaa ko apne kadamo me jhukaa denge
dil mein tera pyar, haathon mein haath chaahiye
taron ke pehre tale khili hai chandni,
ye raat kitni haseen hai!
zubaan ko aaj rakho khamosh,
mujhe aankhon ki guftgu mein yakeen hai.
chaand ko ho chala hai guroor khud par,
tu kyun ab tak parda nasheen hai
ye mulakaat yadgar rahegi,
gawah ye aasman-o-zameen hai.
is munh se kya tareef karoon teri,
sari kainaat tere sajde mein e humnasheen hai.
Dono hi bahuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuut hi jhakaas likhi hain
Specially ye neeche waali ka to jawaab nahin
********************
Mere saamne aana sundari, Baat karenge raat bhar
Mere saamne aana sundari, Baat karenge raat bhar
Thoda sa sharma ke, thoda sa itra ke
Dil mein samaana sundari, Kat jaayega jeewan ka safar
Kehta hoon barson se, hoon main arson se
Tera deewana sundari, Mila meri nazron se nazar
Kisi aur ki chah mein, muhko akela raah mein
Chod na jana sundari, Toot jaayega mera jigar
Gar hum kahin pe, ghoomne niklein
Saath nibhaana sundari, Saath nibhana umrbhar
Kabhi jab mujhe, koi chot pahuche
To tum muskurana sundari, Jakham pal mein jaayega bhar
********************