-Silsile Beqraariyoon ke-

by HumTum is back on May 20, 2006, 02:18:12 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 3356 times)
HumTum is back
Guest
Reply with quote
Meena -JI.......... humey mehfil mein bula ke chand khud kha chup gya hai  :idea:   .... Aa jaiye ......  dekhiye muhoobat bhara paigaam e dil aap ke liye laaye hai !!!



Beqraar ho kar aaj phir teri mehfil mein aaye hai
HazaaroN armaaN teri deed ke dil mein laaye hai

Hai khauf kyuN raat ke anderoN ka tumko sanam
Muhoobat ke laakhoN diye rahooN mein jalaye hai

Sirf phool hi nahi kaffi tum jaseey dilbhar ke liye
KadamooN mein tere hum dil ko apne bichaye hai

kash ke tujhe meri beloos muhoobat ka yaqeeN ho
Sirf tere liye sanam hum khiiyooN ko thukraye hai

Silsile beqraariyooN ke hadd se badne lage hai ab
woh ayenge yeh gazal padhke,  dil ko samjaye hai

Taras rhe hai tere deedar ko ab aa bhi jao “Meena”
Dekho tumhare liye  rastoN pe nazarien tikaye hai !!



Hum :heart: Tum
[/color]


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Silsile Mulaqaton Ke by Mian_Bilal Ashraf Manawan in Shayri-E-Dard
silsile kasme wad k by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
!!!..Muhabbato.N ke silsile..!!! by nashwani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
silsile........(ambu) by ambalika sharma in Shayri for Khumar -e- Ishq
roshni246
Guest
«Reply #1 on: May 20, 2006, 02:24:11 PM »
Reply with quote
very gud humtum ji!!!!
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #2 on: May 20, 2006, 10:00:56 PM »
Reply with quote
wowowowowoow kay abaat hai HumTum ji!!! bahoot khoob!!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #3 on: May 22, 2006, 06:48:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum is back"
Meena -JI.......... humey mehfil mein bula ke chand khud kha chup gya hai  :idea:   .... Aa jaiye ......  dekhiye muhoobat bhara paigaam e dil aap ke liye laaye hai !!!

Beqraar ho kar aaj phir teri mehfil mein aaye hai
HazaaroN armaaN teri deed ke dil mein laaye hai

Hai khauf kyuN raat ke anderoN ka tumko sanam
Muhoobat ke laakhoN diye rahooN mein jalaye hai

Sirf phool hi nahi kaffi tum jaseey dilbhar ke liye
KadamooN mein tere hum dil ko apne bichaye hai

kash ke tujhe meri beloos muhoobat ka yaqeeN ho
Sirf tere liye sanam hum khiiyooN ko thukraye hai

Silsile beqraariyooN ke hadd se badne lage hai ab
woh ayenge yeh gazal padhke,  dil ko samjaye hai

Taras rhe hai tere deedar ko ab aa bhi jao “Meena”
Dekho tumhare liye  rastoN pe nazarien tikaye hai !!


Hum :heart: Tum
[/color]

wah wah humtum ji...maine kaha apne bualya aur hum chale aye...badi hi pyari poem likhi hai janab! :D

shukar guzar hai ke aap humari mehefil me aye hai,
apne arman humare khwabon ke saath jo milaye hai,

na koi darr hai, na koi khauf hai kismat ke andhero ka ab,
jabse apne apni mohabbat ke diye humare lyie jalaye hai,

baharon ki tamana nahin bas tere sath ka sapna hai,
sirf aapki pehechan ko humne apne dil me bitaye hai,

mehefil ko chod kar humari tanhai se jud gaye aap,
humne bhi to apke dil me apna sansar basaye hai,

arre aap bulaye hume aur hum na aye, munkin nahin yeh,
chaliye apke kehne pe hum bhi aaj yeh nazm farmaye hai!


 :D
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #4 on: May 22, 2006, 07:32:45 PM »
Reply with quote
HumTum aur Meena

Bahut khoobsurat likha hai aap dono ne ! :D

Rajbir
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #5 on: May 22, 2006, 09:10:07 PM »
Reply with quote
waah meena aur humtum.....yaar maza agaya....

ajj hum bi teri ghali aye hain
teri isse mehfil ka hissa bane hain

kismat ne aaj phir humhe isse dohraye pe layi hai
ajj hum aur kareeb aye hain

saath tera ka jo sapna dekha
aaj woh saacha lagha

ye judayi bi jhookh gayi samne tera
aaj phir mohabbat choomegi tera kaddam

teri aik pukar humhe keech layi hai
aaj phir ye mohabbat jagh ayi hai:D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: May 23, 2006, 12:44:33 AM »
Reply with quote
Very nice HumTum, Meena & Anjani....
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #7 on: May 23, 2006, 10:34:44 AM »
Reply with quote
Roshni ji, Pankhudi ji, Rajbir veer ji, Anjani ji and Aryaan ... Thanks a bunch.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #8 on: May 23, 2006, 10:37:34 AM »
Reply with quote
Only Thanks se baat nahi chalegi Miyan  :evil:

Kuch arz karo  :D
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #9 on: May 23, 2006, 10:58:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "Mrs HumTum"

wah wah humtum ji...maine kaha apne bualya aur hum chale aye...badi hi pyari poem likhi hai janab! :D

shukar guzar hai ke aap humari mehefil me aye hai,
apne arman humare khwabon ke saath jo milaye hai,

na koi darr hai, na koi khauf hai kismat ke andhero ka ab,
jabse apne apni mohabbat ke diye humare lyie jalaye hai,

baharon ki tamana nahin bas tere sath ka sapna hai,
sirf aapki pehechan ko humne apne dil me bitaye hai,

mehefil ko chod kar humari tanhai se jud gaye aap,
humne bhi to apke dil me apna sansar basaye hai,

arre aap bulaye hume aur hum na aye, munkin nahin yeh,
chaliye apke kehne pe hum bhi aaj yeh nazm farmaye hai!


 :D


Mashallah .....  hamare kehne pe chand hamari mehfil mein khil utha  ..... khuda ka shukar hai ...... bahut dilkash andaaz se aap ne hamari mehfil mein kadam rakha ......  sach ke aap ke ashaar padh ke dil joom utha .....  lijiye kuch aap ke liye aap ki nazar karta hoon !!!


Subhanallah.. woh aaj hamari mehfil mein aaye hai
HajaroN diye muhobat ke ankhoN mein jilmilaye hai
 
Mehak utha hai ghar mera unke aane ki kabar se
ZehN mein vasl-e-yaar ke meieny sapne sajaye hai

Chaha hai tumko dil ki gehrayiioN se mere humdum
Muboobat ki rahooN mein humne kaafile bdhaye hai

Chum lu kadam uske ya kudh ko rahooN pe bicha du
woh mehrbaaN hokar aaj mere dariche pe aaye hai

Hai garur mujhe ke aaya hai sanam pehlu mein mere
Chand ko apne angan mein dekh hum bhi itraaye hai !!

Hum  :heart:  Tum

[/color]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #10 on: May 23, 2006, 11:06:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum is back"
Chum lu kadam uske ya kudh ko rahooN pe bicha du
woh mehrbaaN hokar aaj mere dariche pe aaye hai

Hai garur mujhe ke aaya hai sanam pehlu mein mere
Chand ko apne angan mein dekh hum bhi itraaye hai !!

Hum  :heart:  Tum

[/color]


HumTum

Kya baat hai janab  =D> =D> =D> =D> =D>

Ab dekhte hain aage se jawab kya aata hai  :wink:

Rajbir
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #11 on: May 23, 2006, 11:32:03 AM »
Reply with quote
Wah Wah HUM TUM ji kya baat hai ...bahut khoob...

Dekh kar tera roop salona, yah chand bhi sharmaya hai,
choom liya jo is chand ko humne, roop aur nikhar aaya hai..........

soch liya aangan ko apne, ab is chandni se nahalana hai,
ab to kuch bhi ho yaaron, is chand ko apna hi banana hai.........

us chand ki chandni bhi sharma jaye, jinke husn ke aage,
aise SANAM ko bana kar apna, ab humko bhi itrana hai.......
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #12 on: May 23, 2006, 03:27:32 PM »
Reply with quote
bahut khoob reply diya hai...vicky... real good...
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #13 on: May 23, 2006, 06:01:26 PM »
Reply with quote
waah.....humtum.......honestly maloom nahi kahoon kya.............butttt it's superb......awesome.....:D:D:D
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #14 on: May 24, 2006, 03:41:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum is back"


Subhanallah.. woh aaj hamari mehfil mein aaye hai
HajaroN diye muhobat ke ankhoN mein jilmilaye hai
 
Mehak utha hai ghar mera unke aane ki kabar se
ZehN mein vasl-e-yaar ke meieny sapne sajaye hai

Chaha hai tumko dil ki gehrayiioN se mere humdum
Muboobat ki rahooN mein humne kaafile bdhaye hai
[/color]


wah wah humtum ji...bohot acha likha hai janab ne...zara humari shayari pe bhi gaur farmaiyega janab! :D

apne hume bulaya, hume to ana hi tha,
wada-e-mohabbat aa kar hume nibana hi tha,

ankhon se utar gar mere dil me jo bas gaye,
raat bar apko soch kar hume apka sapna sajana hi tha,

apki chahat pe hume koi shak nahin sanam,
dekh ke apka pyar hume apna ser jukana hi tha,

chand hume kehte ho par chand ka noor to aap ho,
maine kaha, aap ko pa kar hume bhi to yuh itrana hi tha!  :D
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 05:14:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer