So Jaun kuch Pal Tumare Seene Se Lag kar... !!

by deepika_divya on January 17, 2010, 03:43:35 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 8243 times)
muskan_bye
Guest
«Reply #15 on: January 23, 2010, 12:05:10 PM »
Reply with quote
THANKS "SOPHI" JI

H R U "SOPHI" JI
Aap ke ehsaas padkar dil ro diya
aapne aisa likha ki dil mein derd ho gaya
itna gahera na likhiye ki har koi soch pad jaye
dukhi na hoiye bas aap khush hokar zindagi guzaar jaye.......

*****************************MUSKAN**************************
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #16 on: January 23, 2010, 12:26:01 PM »
Reply with quote
wah sophi ji kya khoob likha hai aapne
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #17 on: January 23, 2010, 12:30:34 PM »
Reply with quote
sahi kaha "SHABBIR" JI...

BAS DIL RO GAYA
KUCH BAATEIN AAPKI PADKAR
DIL RO DIYA
ITNA EHSAAS HUA KI
ANSOON KA FASANA BHAR GAYA............

*************************MUSKAN*********************************
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #18 on: January 23, 2010, 12:39:21 PM »
Reply with quote
THANKS "SOPHI" JI

H R U "SOPHI" JI
Aap ke ehsaas padkar dil ro diya
aapne aisa likha ki dil mein derd ho gaya
itna gahera na likhiye ki har koi soch pad jaye
dukhi na hoiye bas aap khush hokar zindagi guzaar jaye.......

*****************************MUSKAN**************************

Me fine !

But maine Kuch aisa likh diya kya jo rula dene wala ho ?

Kuch yaadein Aksar rula jaati hai
Jo Attit ban Vartmaan mea chali aati hai
Kaun hai jo rok sakta hai unn yaado ko
Yea tho ak nadi hai jo ashq ban beh jati hai

Divya !
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #19 on: January 23, 2010, 12:39:46 PM »
Reply with quote
wah sophi ji kya khoob likha hai aapne

THanks a lot Shabbir ji !
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #20 on: January 23, 2010, 12:40:09 PM »
Reply with quote
sahi kaha "SHABBIR" JI...

BAS DIL RO GAYA
KUCH BAATEIN AAPKI PADKAR
DIL RO DIYA
ITNA EHSAAS HUA KI
ANSOON KA FASANA BHAR GAYA............

*************************MUSKAN*********************************

GOod one Muskaan ji !
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #21 on: January 23, 2010, 12:53:31 PM »
Reply with quote
THANKS *SOPHI* JI AND *KASH* JI

SHAM-O- SAHER BAS YAHI LAGTA HAI
ITNA EHSAAS HOTA HAI
KI ZINDAGI MEIN KITNI TANHAI HAI
BAS YAHI EK KASAK KI TARAH LAGTA HAI...............

*************************************MUSKAN*********************************** icon_flower
Logged
cara
Guest
«Reply #22 on: January 23, 2010, 01:06:31 PM »
Reply with quote
AAKHRI BAR MERE SANAM MUJHE PAR VISHWAS KAR
"SO JAANE DE MUJHKO KUCH PAL TERE SEENE SE LAG KAR
AGAR MERA DIL TERE DIL PAR NAHIN KARE ASAR
DIL KI BAAT BATAIYEGA DIL KI SARGOHIYUN ME AAKAR

dear Cara ji since it is posted in khumaar poem
to aapki ijazat chahunga last line ko aisa karke
asha hai aap pasand karenge.



 Applause Applause Applause Applause Applause


bahut hi behtareen ehsaasaat dikhaye hain aapne Divya ji
aur aajkal aap aur Vicky ji ki posts padhne ka alag maza hai
bahut hi achi jugal bandi se likhte hain aap dono
vicky dear is me aapne kuch nahi likha icon_silent DOH


ehsaason ke saaye me ehsaas bhi ek khyaal hai
jazbaat hi to ehsaas ke hamsha bahaal hai



kaash ji aapne jo mere likhe last line mein change kiya hai
 wo hamko pasand aayi hai...
thanks for the same...
aap jaise logon ka haath mere sar par rahega...  
toh mein jaanta hun mein kuch na kuch toh seekh hi paaunga...
is mein meh kuch bhi gawaaunga nahin....

aur sophi ji i always take positively....
advices are always welcome....
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #23 on: January 23, 2010, 01:13:16 PM »
Reply with quote
THANKS *KASH* JI
*****************************MUSKAN*****************************
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #24 on: January 23, 2010, 01:23:09 PM »
Reply with quote
Wah wah Divya-di mann k bhavo ko kaagaz per uttarna tou koi aapse seekhe....
lagta hai ek dum dilse nikle hain ye alfaaz... Applause Applause Applause Applause Applause

Aaj phir mera mann kyu ooudaas hai
Jaanti nahi main ye kaise pyas hai

Ye hawaayein kehti hain mujhse wo aane ko hai
Dil ki dhadkan baddhti jaye ki wo aane ko hai

Aankhen neend se bojhil ho rahi hain magar
Wo aayen tou so jaaun unke seene se lagkar

Kho jaaun bas unhe kay sapno mai
Aur Do jism ek jaan ho jaaun main

Aaj phir mera mann kyu ooudaas hai
Jaanti nahi main ye kaise pyas hai


Na jane kyun jab yea Hawaayein mujhe chu kar
guzarti hai Dil pe ak dastak si de jaati hai ...
Shayad Ishaaro -2 Mein Kehti hai tum aane wale ho
Ya fir yuhin mujhe Behla kar chali jaati hai


Kuch Pesh kar rahi hun... kuch ajeeb sa ehsaaso ko sabdo mein daalne ki koshihs ki hai umeed karti hun aapko pasand aayegi...Usual Smile


So Jaun kuch Pal Tumare Seene Se Lag kar
Aaj Najane Yea Dil Kyun Gabra raha hai
Kar Raha hai Yea Chand Sitaaro se baatein
Aur Dhadkano ko Najane Kyun Bada raha hai

SHayad Sama Jana chahta hai Teri Bahoon mea
Har Khushi aur GUm ko Bhula dena chahta hai
Duniyaa Ki Nazro se Chupte Chupate aaj yea
Dil Sirf Tere Dil Pe Panaah Lena chahta hai

Teri Dhadkan Ko Apni Dhadkan Bana kar yea
Teri Saanso ko agosh mein bharna chahta hai
Lipat kar Tere Seene se aaj Mera Tan Mann
Teri Pyaar ki Agan Mein Kho jana chahta hai

Bhoolana Chahti hun Mein Sab kuch tere siwa
Yea Mausam bhi Dekho Tujhme samaana chahta hai
Dekho Kaise yea Mujhe ched raha hai har Pal
Yea Mujhe Aaj tere Qareeb lana Chahata hai

So Jaun kuch Pal Tumare Seene Se Lag kar
Aaj Najane Yea Dil Kyun Gabra raha hai
Kar Raha hai Yea Chand Sitaaro se baatein
Aur Dhadkano ko Najane Kyun Bada raha hai

Divya


Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #25 on: January 24, 2010, 04:47:37 AM »
Reply with quote
Wah wah Divya-di mann k bhavo ko kaagaz per uttarna tou koi aapse seekhe....
lagta hai ek dum dilse nikle hain ye alfaaz... Applause Applause Applause Applause Applause

Aaj phir mera mann kyu ooudaas hai
Jaanti nahi main ye kaise pyas hai

Ye hawaayein kehti hain mujhse wo aane ko hai
Dil ki dhadkan baddhti jaye ki wo aane ko hai

Aankhen neend se bojhil ho rahi hain magar
Wo aayen tou so jaaun unke seene se lagkar

Kho jaaun bas unhe kay sapno mai
Aur Do jism ek jaan ho jaaun main

Aaj phir mera mann kyu ooudaas hai
Jaanti nahi main ye kaise pyas hai



Aww thank you so much Koyal Dear !

And kya baat hai bahoot Khoob Likha hai tumne bhi. Keep it up !
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #26 on: January 24, 2010, 09:20:10 AM »
Reply with quote
THANK YOU DIVYA-DI........

Aww thank you so much Koyal Dear !

And kya baat hai bahoot Khoob Likha hai tumne bhi. Keep it up !
Logged
Bored
Guest
«Reply #27 on: January 24, 2010, 09:27:21 AM »
Reply with quote
 Hats off to you! Applause Bahut Khoob LIkha Hai APnay Sophi Ji
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #28 on: January 24, 2010, 12:39:29 PM »
Reply with quote
Hats off to you! Applause Bahut Khoob LIkha Hai APnay Sophi Ji

Thank you so much Bored ji !
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #29 on: January 25, 2010, 08:43:01 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Likha Hai Aapne Sophi Ji
Pura Khumaar Mein Dooba Hua Hai
Chalo Kuch Koshish Karta Hun Ji
Galti Maaf Ho...!

Apne Chehre Pe Tabassum Ki Kaliyan Khila Do
Ki Apni Sari Pareshaniyon Se Mujhko Mila Do

Deke Mujhe Apne Saare Dard O Gham Aey Sanam
Aao Ki Mere Seeney Pe Sar Rakh Khudko Sula Do.!


Bahoot Bahoot Shukriyaa Shihab !

MashaAllah Kya khoob Likha hai.. Bahoot Khoob!

Will reply you soon...
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 02:17:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.164 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer