nice hai waheed muna
bhut acha likha hia
shayar dildar ney bhi acha likha hia ghalib ka shair
hamari mahubaat ki baat mat puchey
dil mey uthtey ahi zajbaat mat puchey
lana tha asma sey tarey tood ker
laye keya usney sogaat mat puchey
dil beta shaam dhalney ki pertiksha mey
beti keysey sari raat mat puchey
Thanxxxxxxx Sonu..........shayar_dildar....very nice Sonu....shayar........... ek ghalib ki ghazal pesh hai.......bahot fav.. ghazal hai....
hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam niklay
bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam niklay
daray kyoon mera qaatil? kya rahay ga us ki gardan par
voh khoon, jo chasm e tar se umr bhar yoon dam ba dam niklay!
nikalna khuld se aadam ka suntay aaye hain, lekin
bohat be aabru hokar tere koochay se hum niklay
bharam khul jaaye zaalim! tere qaamat ki daraazi ka
agar is turrah e pur pech o kham ka pech o kham niklay
magar likhvaaye koi us ko khat, to ham se likhvaaye
hui subha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam niklay
hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami
phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam e jam niklay
hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paanay ki
voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam niklay
mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka
usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafar pe dam niklay
kahaan mai khaanay ka darwaaza Ghalib aur kahaan va'az
par itna jaantay hain, kal voh jaata tha ke ham niklay.................ghalib..