Tasveer-- Ma ne dikhayi hai~~ Saahil

by salil2002 on June 17, 2009, 01:22:15 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1757 times)
salil2002
Guest
Reply with quote
doston yeh sirf poem hai asal main aisa kucch nahin hain ok..

aaj meri ma ne mujhe ek tasveer dikhayi hai
pehli nazar mein hi woh tasveer mere dil mein ootar aayi hai

bahut masoomiyat jhalakti hai ooske chehre se
lagta hai woh pari sirf meri liye zami par ootar aayi hai

poochhti hai ma mujhse kya tujhe yeh tasveer pasand aayi hai
main hans k keh deta hoon ,ki tu pasand toh kar aayi hain

maa ne jab maangi tasveer teri mujhse , toh maine kaha abhi deta hoon
kaise kahoon maa se kii ab sehan hoti na tujhse judaayi hai

bin mile tujhse haal aisa hai , jab milegi tu toh kya hoga
aayenge khwaab tere mujhko, isliye tasveer takiye k neeche chhupayi hai

keh rahi hai maa kii tujhse milna hai bahut jaldi mujhe
isliye tere liye , behan se angoothi bhi pasand karwaayi hai

ab toh intjaar hai oos pal ka jab tu rubaroo hogi
bin tere toh "Saahil" k sang bas tanhaayi hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TASVEER....!!! by Delicate_Doll in SMS , mobile & JOKES
aap ki tasveer by sanjaykattimani in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
joker dikhayi deta hai by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 20 21 »
joker dikhayi deta hai by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Tasveer jalane se kya hoga .......saahil by saahill in Miscellaneous Shayri
Talat
Guest
«Reply #1 on: June 17, 2009, 01:23:50 PM »
Reply with quote
Aha... Love at first site  NaNaNa NaNaNa

Bohot Khoob Salil  Applause Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #2 on: June 17, 2009, 01:38:51 PM »
Reply with quote
Oho... Yeh to Pakka such Baat hai.. Aisa to ho hi nahi sakta ki Mammy Ne Ladki Ki Photo na Dikhaai ho.. tongue3 tongue3

O ji Munda Nu Pahali Nazar Me Ishq ho gaya hai.. Hahahaha.. Winking Winking

Kya Baat hai Salil Bhai.. Behad Pyaare Ehasaas Likhe hain Dear..!! Maza aa gaya yaar Padh kar.. dil Baag Baag Ho gaya..!! Behad Khubsoorat Soch aur Behad Khubsoorat Alfaazon se Is rachna ko sajaaya hai Dost. Bahut Bahut Khoooooob.. Applause Applause


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: June 17, 2009, 01:43:24 PM »
Reply with quote
doston yeh sirf poem hai asal main aisa kucch nahin hain ok..

aaj meri ma ne mujhe ek tasveer dikhayi hai
pehli nazar mein hi woh tasveer mere dil mein ootar aayi hai

bahut masoomiyat jhalakti hai ooske chehre se
lagta hai woh pari sirf meri liye zami par ootar aayi hai

poochhti hai ma mujhse kya tujhe yeh tasveer pasand aayi hai
main hans k keh deta hoon ,ki tu pasand toh kar aayi hain

maa ne jab maangi tasveer teri mujhse , toh maine kaha abhi deta hoon
kaise kahoon maa se kii ab sehan hoti na tujhse judaayi hai

bin mile tujhse haal aisa hai , jab milegi tu toh kya hoga
aayenge khwaab tere mujhko, isliye tasveer takiye k neeche chhupayi hai

keh rahi hai maa kii tujhse milna hai bahut jaldi mujhe
isliye tere liye , behan se angoothi bhi pasand karwaayi hai

ab toh intjaar hai oos pal ka jab tu rubaroo hogi
bin tere toh "Saahil" k sang bas tanhaayi hai

aahaaa ... wowwwww... what a romantic shayari..(Sach kaho aisa kuch hai kya?  tongue3 ).. Bahut bahut accha aur pyara shayari likha hai aapne ji.. maza aagaya padkar... Good Luck  Winking
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: June 17, 2009, 07:28:28 PM »
Reply with quote
Bhai kya khoob likha hai...Aisa toh ho hi nahin sakta ke yeh sirf ek poem ho...Bade ghere ehsaason ko darj kiya hai apne...Too good...Dil ko choo gayi apki likhi hui poem... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #5 on: June 17, 2009, 08:26:10 PM »
Reply with quote
Bada rangeen khayaal hai aap ka saahil ji, bohot khoob.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: June 17, 2009, 11:05:31 PM »
Reply with quote
Wow Saahil ji,tune toh kamaal kardiya,excellent and beautiful creation.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
shab
Guest
«Reply #7 on: June 18, 2009, 12:36:24 AM »
Reply with quote
  WAAH ! SAAHIL JI,BAHUT HI PYARA LAGA AAPKA CREATION.
YE SUCH ME IMAGINATION HAI MAA NE TASWEER DIKHAI HAI
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: June 18, 2009, 08:05:09 AM »
Reply with quote
Aha... Love at first site  NaNaNa NaNaNa

Bohot Khoob Salil  Applause Applause Applause
ha ha ha di thanks a lot .sab ka kamaal hai aap itni achchi poems likhte ho khumar e ishq main kii padne k baad waisa hi kuch likhne ka mann karta hai........
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: June 18, 2009, 08:06:43 AM »
Reply with quote
Oho... Yeh to Pakka such Baat hai.. Aisa to ho hi nahi sakta ki Mammy Ne Ladki Ki Photo na Dikhaai ho.. tongue3 tongue3

O ji Munda Nu Pahali Nazar Me Ishq ho gaya hai.. Hahahaha.. Winking Winking

Kya Baat hai Salil Bhai.. Behad Pyaare Ehasaas Likhe hain Dear..!! Maza aa gaya yaar Padh kar.. dil Baag Baag Ho gaya..!! Behad Khubsoorat Soch aur Behad Khubsoorat Alfaazon se Is rachna ko sajaaya hai Dost. Bahut Bahut Khoooooob.. Applause Applause


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
shukriya bhai......aapko pasand aaya yeh bahut hai mere liye aur yeh pyaar vyaar se bahut door hoon main..........
Logged
salil2002
Guest
«Reply #10 on: June 18, 2009, 08:07:50 AM »
Reply with quote

aahaaa ... wowwwww... what a romantic shayari..(Sach kaho aisa kuch hai kya?  tongue3 ).. Bahut bahut accha aur pyara shayari likha hai aapne ji.. maza aagaya padkar... Good Luck  Winking

kheench lo yaar aaj sabki mauka mil gaya hai taang kheenchne ka
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: June 18, 2009, 08:16:54 AM »
Reply with quote
Bhai kya khoob likha hai...Aisa toh ho hi nahin sakta ke yeh sirf ek poem ho...Bade ghere ehsaason ko darj kiya hai apne...Too good...Dil ko choo gayi apki likhi hui poem... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
shukriya bade bhai aapko pasand aayi ...sach mein aisa kucch nahin .agle  7 saal tak shaadi ka koi iraada nahin hai na mera na mere gharwalon ka
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: June 18, 2009, 08:29:27 AM »
Reply with quote
Bada rangeen khayaal hai aap ka saahil ji, bohot khoob.
kya barebade bhai zindgi mein khyal par hi toh bandish nahin hai.........shukriya aapko pasand aayio
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: June 18, 2009, 08:30:16 AM »
Reply with quote
Wow Saahil ji,tune toh kamaal kardiya,excellent and beautiful creation.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
thnks a lot madhu dear
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: June 18, 2009, 08:32:10 AM »
Reply with quote
  WAAH ! SAAHIL JI,BAHUT HI PYARA LAGA AAPKA CREATION.
YE SUCH ME IMAGINATION HAI MAA NE TASWEER DIKHAI HAI
thanks a lot shabana dear
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 08:53:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer