*~*Tere Naam~*~

by Daredevil on October 17, 2008, 11:18:47 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1992 times)
Daredevil
Guest
Reply with quote
Main Apna Aaj apna kal Tumhare Naam Karta hoon
Main is Jeewan ka Her Ek Pal Tumhare naam Karta Hun

Khazan Sardiyan Garmi Baharain Barishain
Mian Her muasaam Ka Her Her PaL Tumhare Naam karta Hun

Sitaray Titliyan Jugnoo Gull-O-BullBull Dhanak Khushbo
Yah sare Husaan kie Chall Ball Tumhare Naam Kerta Hun

Mera Guzera Hua Kal Tu mere mazi Ka Hisa hay
Main Apna Aaj apNa kal Tumhare Naam KerTa Hun

Tumhare Bin yah her Ek pal Mughay Bechean RakhTa Hay
Main Apna Dil jo hay Bekal Tumhare Naam kerta Hun

Barsta Bhigta Muasaam hay Kamzori mere LaKen
Main yah Sawan Ghata BaDal Tumhare Naam kerta Hun

NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tere naam by dhadkan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4  All »
....~~Tere Naam~~.... by HumTum in Shayri for Khumar -e- Ishq
....~~Tere Naam~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard
tere naam by anand_ajanta in Shayeri for Dard -e- Bewafai
tere naam......................... by sunny_bunny in Shayri-E-Dard
Daredevil
Guest
«Reply #1 on: October 17, 2008, 11:19:23 PM »
Reply with quote
Haan Pyaar Nahi Ishq Nahi Ibadat Ki Hai
Mein Ne Rasmon Se Riwajon Se Baghawat Ki Hai
Apni Makhmoor Nigahon Main Basa Kar Mujh Ko
Tu Ne Bhi Toot Ker Mujh Se Jo Mohabbat Ki Hai
Qabool Ker Ke Mujhe Thukra Dia Hai Duniya Ko
Main Ne Bhi Tere Liye Duniya Se Adaawat K Hai
Haseen Azaala Hai Karam Hai Ya He Khush Bukhti
Apne Malik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai
Karoon Main Kese Adaa Shuker Iss Nawazish Ka
Mere Maahboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai
Khood Se Bhi Berh Ker Main Ne Tujh Chahat Ki Hai
Haan Pyaar Nahi Iahq Nahi Ibadaat Ki Hai

NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #2 on: October 17, 2008, 11:20:38 PM »
Reply with quote
tum yaad ho tou naqsh ho mere hawaas per
tum ashq ho tou mere dukhon ka ilaaj ho
tum khawab ho tou meri in aankhon mein ho kahin

tum weham ho tou mujh ko haqeeqat say kia gharz
tum baaes e safar ho hunar ki uraan ho
tum neend ho tou soo ka guzarein gay ye hayat
tum husun ho tou mere takheel ki jaan ho

tum raat ho tou mujh ko nahi subha ki talab
tum noor ban k dil mein samaye ho aaj kal
tum khaak ho tou khaak nashino ki ho talash
tum dard ho tou rooh per chaaye ho aaj kal



NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #3 on: October 17, 2008, 11:21:07 PM »
Reply with quote
tum dasht ho tou main bi musafir hon dasht ka
tum chand ho tou talkh andheron ki fikar kia
tum bey nayaz ho tou zamany say ho alag
tum rang ho tou phir ye baharon ka zikar kia

tum bey samar rutoon mein baharon ki ho umeed
tum raahguzar shouk mein jazba junoo ka ho
tum aarzo ho aahl e tammana ki ho khalsh
tum ratjagon ki bheer mein lamha sakoon ka ho

tum beywafa rutoon mein hawala ho ishq ka
tum beybasi ho phir bhi muheet e hawaas ho
tum ek kiran ho noor e azal mein dhuli hui
tum tazgi ho shabnami phoolon ki aas ho


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #4 on: October 17, 2008, 11:21:46 PM »
Reply with quote
tum gehray paanio mein chupay mautoon ka lams
tum maut k safar mein nishaan e hayat ho

tum meri chasm e nim k sitaron ki kehkshaan
tum husn e beymisaal meri kainat ho

tum jab say ho gaye ho meri dastras say duur
main jee raha hon ku k zarori hai zindagi
saanso ko bhooj ko bi uthaya hai rooh ney
lakin tere beyghair adhoori hai zindagi

NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #5 on: October 17, 2008, 11:22:30 PM »
Reply with quote
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai per naam tha bhala saa

Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see Lehja thaka thaka saa

Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa

Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa

Pehley bhi zindagi mein kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin auron sey tha juda saa

Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa

Ab such kahein tou yaaro Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat Aik waaqaya zara saa

Taywer thay berukhi key, andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin lagta tha Aashna saa


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #6 on: October 17, 2008, 11:23:18 PM »
Reply with quote
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai per naam tha bhala saa

Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see Lehja thaka thaka saa

Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa

Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa

Pehley bhi zindagi mein kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin auron sey tha juda saa

Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa

Ab such kahein tou yaaro Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat Aik waaqaya zara saa

Taywer thay berukhi key, andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin lagta tha Aashna saa



NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #7 on: October 17, 2008, 11:24:01 PM »
Reply with quote
Barson ke baad dekha Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai per naam tha bhala saa

Ubroo khichey khichey sey Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see Lehja thaka thaka saa

Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa

Khawabon mein khawab Uss ke Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa

Pehley bhi zindagi mein kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin auron sey tha juda saa

Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey Dil tha dara dara saa

Ab such kahein tou yaaro Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat Aik waaqaya zara saa

Taywer thay berukhi key andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin lagta tha Aashna saa



NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #8 on: October 17, 2008, 11:24:25 PM »
Reply with quote
WOH MERA THA YEH BATANA AJEEB LAGTA HAI
AB US SE AANKH MILANA AJEEB LAGTA HAI

JO ZINDAGI MAI KABHI BHI MERA HO NA PAYA
AB US KA KHWAAB MAI AANA AJEEB LAGTA HAI

BARAY KHULOOS SE DAWAT TO US NE BHEJI HAI
PAR US KI MEHFIL MAI JANA AJEEB LAGTA HAI

THA JIS KA HAATH HAMESHA HAMARAY HAATHOO MAI
AB US SE HAATH MILANA AJEEB LAGTA HAI



NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #9 on: October 17, 2008, 11:31:14 PM »
Reply with quote
Aiy mairy humnasheen chal kahen aur chal
iis chamn mein ab apna guzaraa nahey
baat hotii guloon tak to seh laitay hum
ab to kantoon pay bhi haq humara nahey


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #10 on: October 17, 2008, 11:31:33 PM »
Reply with quote
Teray firaaq key lamhey shumaar kartey howe
Bikhar chalein hein terra intazaar kartey howe

To mein bhii khush hoon koi uss sey gaa key keh denna
Agaar woo khush hey mujhey beqaraar kartey howey

Tumhein khabar he nahin key koi toot gayya
Muhabbatoon ko buhat paeydar karteey howey

Mein muskarata howwa aeenay mein ubhroon gaa
Wo roo parey gii acchanak singhar kartey howey

Mujhey khabar thi key abb loot kar naa aaoon gaa
Soo tujh koo yaad kia dil pey war kartey howey

Woo keh rahhi theey samandar nahin aankhen hein
Mein unn mein doob gayya aetibaar kartey howey



NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #11 on: October 17, 2008, 11:31:52 PM »
Reply with quote
na hareef-e jaan, na shareek-e ghum
shab-e intizaar, koi to ho
kisay bazm-e shock main layain hum
dil-e bay karar koi to ho

kisay zindagee hay azeez ab
kisay aarzoo-aay shub tarab
magar aay nigaray wafa talab
tera aitabar koi to ho

kaheen tar-e daman-e gul milay
tu yeh maan lain k chamman khilay
k nishanay fasl-e bahaar ka
saray shakhsar koi to ho

yeh udaas udaas say bam-o-dur
yeh ujaar ujaar c rah guzar
chalo hum naheen na sahee magar
sarray koo-aay yaar koi to ho

yeh sakoon-e-jaan kee gharee dhalay
to charagay dil hee na bujh chalay
woh bala say ho ghum-e-ishq ya
ghum-e-rozgar koi to ho

sarray maqtalay shab-e-aarzoo
rahay kuch to ishq kee aabroo
jo naheen adoo to faraz tu
k naseeb-e-daar koi to ho



NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #12 on: October 17, 2008, 11:32:33 PM »
Reply with quote
main dhoubh jaoun teri ein jheel sii gahri ankhoun main
phir apni barbadi ka Eilzam teray nam kar doun

main apni Rouh koo teray Wajood mai bhar doun
phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun

tou mojhay mouhubat ka aghaz day sanam
main apnay payar ka anjam teray naam kar doun

mouhobatoun kay qaseeday likhoun teri sana mai
hazaron payar kay paygham teray naam kar doun

hou jis ka zikar mouhubaat kii har kahani mai
eik aysa payar ka paygham teray naam kar doun



NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #13 on: October 17, 2008, 11:33:03 PM »
Reply with quote
Ik tere naam se kitnee yadain beykal ho jatee hain
Main rona nahi chahta laiken ankhain jalthal ho jatee hain

Kahan se aayi janey mugh main itnee chahat itnee shiddat
Judai k naam pey meeri apni sansain qatal ho jatee hain

Jo jo sun ker sehtey they aab sab samjh main aata hai
Bicher ker kissi se kaisey bhala
umaiden pagal ho jatee hain

Sab darwaze band hue tu dar khula duaoon ka
Uss k karam se dekha aksar rahain manzil ho jati hain



NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #14 on: October 17, 2008, 11:33:36 PM »
Reply with quote
Yaadon Sey Rishta Kal Bhi Tha Yaadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha
Dil Afsurdaa Sa Aaj Bhi Hai

Tum Door Huvey Majboori Mein Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana
Ye Dil Ka Dar Vaa Aaj Bhi Hai

Woh Sahil Woh Mitti Geeli Mitti Ke Gharondey Sahil Per
Sahil Ki Bipherti Mojoon Se
Gharondon Ko Bachana Aaj Bhi Hai

Tum Khush Ruho Abaad Ruho Dil Apna Tu Barbaad Huva
Gham Dil ka Sahara Kal Bhi Tha
Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Aankhon Mein Jo Kal Tuk Tha
Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai

Ab Shikva Kisi Se Kya Karna Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmayaa Tha
Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai




NM
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 01:53:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer