teri maut ya ke meri .......

by chiraaaaaaaaag on May 18, 2005, 12:57:35 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2963 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #15 on: June 06, 2005, 09:11:29 PM »
Reply with quote
buhat acha likha hai chiraagggggggg  ji

................................keep it up
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jab meri maut ho by VIKRANT in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meri maut by Nino in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
~~~...Meri maut ka zimma...~~~ by Tosha in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~meri wafa meri maut ki waje bangayi..~ by roshni246 in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
maut se pehla meri chahat.... by sagar_voski22@gmail.com in Shayeri for Dard -e- Bewafai
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #16 on: June 08, 2005, 11:12:48 AM »
Reply with quote
aap logon ke comments ka bahut bahut shukriya .......... rosha ji aur faree saheb ....






phir bhi hey tumko masihai ka dava dekho
mujhko dekho, mere murne ki tamanna dekho

jurm-e-nazara pe kaun itni khushamad karata
ab vo ruthe hain lo aur tamasha dekho

do hi din me vo baat hai na vo chah na pyar
ham ne pehle hi ye tum se na kaha tha dekho

ham na kehte the banavat se hai sara gussaa
hans ke lo phir vo unhone hamen dekha dekho

masti e husn se apni bhi nahin tum ko khabar
kya suno araj meri, haal mera kya dekho

ghar se har vaqt nikal aate ho khole hue baal
shaam dekho na meri jaan savera dekho

khana-e-jaan me namu~dar hai ek paikar e noor
hasrato aao rukh e yaar ka jalva dekho

samne sab ke munaasin nahin ham par ye itaab
sar se dhal jaye na gusse me dupatta dekho

mar mite hum to kabhi yad bhi tum ne na kiya
ab muh'bbat ka na karana kabhi davaa dekho

doston tark e muh'bbat ki nasihat hai fizool
aur na mano to dil e zaar ko samjha dekho

sar kahin baal kahin haath kahin paon kahin
us ka sona bhi hai kis shan ka sona dekho

ab vo shokhi se ye kehte hain sitamagar jo hain hum
dil kisi aur se kuch roz behla dekho

havas e deed miti he na mitegi "chiraag"
dekhane ke liye chaaho unhe jitna dekho
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #17 on: June 08, 2005, 11:39:45 AM »
Reply with quote
zahidon ko kisi ka khauf nahin
sirf kali ghata se darate hain

aah jo kuch kahe hamen manzoor
nek bande khuda se darte hain

dushmanon ke sitam ka khauf nahin
doston ki vafa se darte hain
Logged
lokesh2
Guest
«Reply #18 on: October 24, 2009, 02:25:39 PM »
Reply with quote
Hazaro fulon se sajaayi gayi hain meri kabr
Ek phool ki mahak kafi thi jab tak tha zami par

Utha lete the kal jo log apne shabdo ke zor par
Utha nahi paye apne kandhe ke zor par

Zukam de jaate hein ye thande ashq mere kafan ko bhigo kar
Bade garm the ve ashq jo sukh jaate the mere dilko bhigokar

Diya jalaakar aaj jo chale jaate hein meri kabr par
kambhaqt saath rehkar to jalte the jab tak tha zami par
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 08:22:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer