TERI YAADEIN

by BHONDU on July 29, 2006, 02:13:31 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3112 times)
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
Reply with quote
IS BHEEGTE MAUSAM MEI BEEGTE HUM
AUR.. BHEEG JAATI HAI SANAM TERI YAADEIN.

SOOCHTE HAI HUM SOOCHE NA TUMKO KABHI
PER TANHAAYEE MEIN BULATI HAI SANAM TERI YAADEIN

YU TO AAG SE HUMEIN DAAR BAHUT LAGTA HAI,
PER HUMEIN JALATI HAI SANAM TERI YAADEIN.

AAPSE  DOORIYAAN TO JAAN LE KE JAAYENGI
YE HUMEIN BATATI HAI SANAM TERI YAADEIN.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TERI YAADEIN........... by Ninaah in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 13 14 »
teri yaadEIn by jochahohojayein in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Teri yaadein aaj bhi mujhe tadpa jaati hai by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
ranjana
Guest
«Reply #1 on: July 29, 2006, 03:54:40 PM »
Reply with quote
bahut khoob kavi ji....

is bheegate mosaum mein hum bhi tujhe yaad karte hain
har roz tujhse milne ki  fariyaad karte hain

chamkati hai jab bijali kahi joro se sanam
to hum tere saaye mein apne vajood ko talash karte hain

yeh bheege se rut  ka hi hai jaadu sanam
na hum tere bina jeete hain na hi hum marte hain
Logged
HANNU
Guest
«Reply #2 on: July 29, 2006, 05:25:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khoob kavi ji....

is bheegate mosaum mein hum bhi tujhe yaad karte hain
har roz tujhse milne ki  fariyaad karte hain

chamkati hai jab bijali kahi joro se sanam
to hum tere saaye mein apne vajood ko talash karte hain

yeh bheege se rut  ka hi hai jaadu sanam
na hum tere bina jeete hain na hi hum marte hain

Ranjana ji bhot sunder likha hai apne
 =D>
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: July 29, 2006, 06:13:32 PM »
Reply with quote
shukriya Hannu .... :D
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #4 on: July 30, 2006, 04:19:36 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khoob kavi ji....

is bheegate mosaum mein hum bhi tujhe yaad karte hain
har roz tujhse milne ki  fariyaad karte hain

chamkati hai jab bijali kahi joro se sanam
to hum tere saaye mein apne vajood ko talash karte hain

yeh bheege se rut  ka hi hai jaadu sanam
na hum tere bina jeete hain na hi hum marte hain

bahut aacha likha hai aapne ranjana ji.

cham cham kerti baarish ki boonde jub mujhe chu jaati hai,
kehti hai dil ki dhadkan tu mujhko paas bulati hai.

baarish ki boondo se tab mein ek sihran si jaagti hai,
sanam tera pyaara sa ek aalingan maangti hai.

is barsaat ke mausam mein shoolay dil mein pal rahe hai.
ek baar to aa jaao bahn mein ki teri yaad mein jal rahe hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: July 30, 2006, 07:11:03 AM »
Reply with quote
bahut khoob kavi ji ......aapne bahut sunder likha hai....

jaise koi badal ka tukda tut kar barsata hai
mera dil tumhari bahaon mein milne ko tarsata hai

milte hain chand lamhe hi hame mulakat ke sanam
fir toh din raat bas tere hi khayalo ke sang gujarta hai

jab tak hai labo per koi ruki hui si payaas sanam
tab tak tere payssi si nazaro mein dil mera bhatakta hai

mil jayega mere dil ko sakun tujhse mil ke
meri aankho mein basa umeed ka deep yahi kehta hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #6 on: July 30, 2006, 08:09:39 AM »

milne ki chahat hai sanam to takdeer humein milayegi.
chand lamho mein hi ye saara pyaar de jaayegi.

aur.. labon ki pyaas mein lub jub takraayenge.
ishq ke khumaar se hum dono bheeg jaayenge.

ishq paane ke liye thodi bekarari sehna
milney ki umeed na chode aapni umeed ko ye kehna.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: July 30, 2006, 10:19:29 AM »
Reply with quote
dil ki betaabi ab had se jayada badti jaati hai
har waqt bas teri hi  yaad hame sataati hai

jitna hum  tere ishq mein dubate jaate hain
utna hi apna chein sakun hum gawaate hain

badti yeh beqarari ab hame bahut sataati hai
ab toh yehi betaabi  dil ki dawa bhi banti jaati hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #8 on: July 30, 2006, 01:43:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

dil ki betaabi ab had se jayada badti jaati hai
har waqt bas teri hi  yaad hame sataati hai

jitna hum  tere ishq mein dubate jaate hain
utna hi apna chein sakun hum gawaate hain

badti yeh beqarari ab hame bahut sataati hai
ab toh yehi betaabi  dil ki dawa bhi banti jaati hai

bahut aacha likha hai aapne. per aisa ilzzaam humari ashique per...aacha laga.

teri ishq bekarai per ye dil nisaar hai.
khushnaseeb hai hum jo apko humse pyaar hai.

per aapka khumaar bhi to humare dil per chaya hai.
pyaar mein aapne bhi to pagal banaya hai.

bekarari to her roz is tarah badti jaati hai.
is had mein pahuch gaye hai koi dawa kaam nhi aati.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: July 30, 2006, 04:28:31 PM »
Reply with quote
Quote from: "BHONDU"

kya baat hai .....bahut acache kavi ji....

dil ki lagi ab toh badti hi jaati hai
yeh aag pyaar ki ab hame sulgati hai

hawa bhi aaj kuch mehek ke aati hai
tere hi pyaar ka meetha sa sandesh sunaati hai

ab na meri rooh tere bin chein paati hai
teri baate sun ke hamko bhi tera diwaana banaati hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #10 on: July 31, 2006, 01:06:36 PM »

ye hawaye aapka jo sandesh le ker aati hai.
aapse milne ki bekarari badhti jaatihai.

bolta hu hawa ko jaaker humara sandesa dena.
aapki yaadein humein kis kadar satati hai

chand se bhi kehta hu aaina tu ban jaana
per wo bhi aapki surat dikhlati nhi

aapse to milne ko rooh itni betaab hai
kisi jagah kisi pal chain ye paati nhi.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: July 31, 2006, 01:19:23 PM »
Reply with quote
ab tak tumko meri nazaro ne dekha nahi hai
fir bhi ek tasveer teri aankho mein basi hai

chhua  nahi kabhi maine tujhko
per teri khusbu meri saanso mein bhari hai

tum koi khawab ho ya haqikat ho meri zindagi ke
yeh mera dil samjh nahi paata hai

jab bhi hoti hun main akeli kahi bhi
tu mere saamne aa jaata hai

kyu kar diya hai is qadar tumne beqarar mujhko
ki ab mera dil tujh bin kahi bhi nahi lga paata hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 3 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #12 on: August 01, 2006, 06:10:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

ab tak tumko meri nazaro ne dekha nahi hai
fir bhi ek tasveer teri aankho mein basi hai

chhua  nahi kabhi maine tujhko
per teri khusbu meri saanso mein bhari hai

tum koi khawab ho ya haqikat ho meri zindagi ke
yeh mera dil samjh nahi paata hai

jab bhi hoti hun main akeli kahi bhi
tu mere saamne aa jaata hai

kyu kar diya hai is qadar tumne beqarar mujhko
ki ab mera dil tujh bin kahi bhi nahi lga paata hai

yu to humko aaj bhi aap ek khawab samajhti hai.
jo kuch palo ke liye hi yaad aata hai.
soochta hai aadmi kuch deer uske bare mein,
aurr thodi deer mein phir usay bhool jata hai.
her roz aapke needon mein ek naye khawab aate hai.
aapko to hakiqut mein aapna mana jo dil mein bas jaate hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: August 01, 2006, 06:36:32 AM »
Reply with quote
meri aankho mein mere dil mein ek tasveer thee dhundhli si
ek murat si maine koi apni nazar mein basa rakhi thee
karti thee us se baate din raat aur usko apna hamdard maana karti thee
aap mile jabse mujhe us murat mein ek rang bharne laga
dil chahane laga aapko is qader bas har pal aapke  khayalo mein gumh rehne laga
maine likhe jo bhi geet wah sab aapke hi naam they
wo thaa kabhi mere liye ek sapana aaj uski jagah ab aap they
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: August 01, 2006, 08:05:49 AM »
Reply with quote
shukriya Gum .... Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 09:45:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.337 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer