Tery Ishq main

by ibnay_khalid on February 10, 2010, 11:57:54 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 914 times)
ibnay_khalid
Guest
Reply with quote
Mujh ko tera saya bhi ek roshni se lagti hai
Tera ghum-o-ghussa bhi ek dosti si lagti hai

Dherkan teri sama gai jab se meri samaat me
Apni sansain bhi mujhy to ajnabi si lagti hai

Duniya ka mujh ko shoq tha na jenay ki aarzo koi
Ab to mujh ko maut bhi ek zindgi si lagti hai

Itna to main abid na tha bus yad tha apna Khuda
Ghazal teri bhi mujhy ab bandgi si lagti hai

Sub ki rafakat se alag bus tujh ko apna jano main
Teri ada bhi mujhy to berukhi si lagti hai

Do ager piala zeher ka ker lain ge hans ker kabool
Tery hathoon se mily to chashni si lagti hai

Nafrat o Ulfat ki hai jo jang mere nafs main
Khalid tere aaney se ye aashti si lagti hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TERY KHAYALON MAIN DOBA..!!! by SADIQA JAWED in Shayri for Dard -e- Judai
aaj hum tery liyey by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Us Jahan main bhi tery sath Rahoon ! by SADIQA JAWED in Shayri for Khumar -e- Ishq
ISHQ K BAZAAR MAIN ISHQ NAHI MILTA by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
chahatt main tery hadd se guzar jaungii ik din by hameeda in Urdu Poets
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: February 10, 2010, 12:08:49 PM »
Reply with quote
Achhi ghazal hai Khalid Sahab. Wah wah. Lafzon ka behtreen istemaal kiya hai. Nice creation.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: February 10, 2010, 12:34:16 PM »
Reply with quote
Waah Bahoot Bahoot Khoob Khalid ji.. Bahoot khoob !
Logged
malli
Guest
«Reply #3 on: February 10, 2010, 01:00:46 PM »
Reply with quote
Mujh ko tera saya bhi ek roshni se lagti hai
Tera ghum-o-ghussa bhi ek dosti si lagti hai

Dherkan teri sama gai jab se meri samaat me
Apni sansain bhi mujhy to ajnabi si lagti hai

Duniya ka mujh ko shoq tha na jenay ki aarzo koi
Ab to mujh ko maut bhi ek zindgi si lagti hai

Itna to main abid na tha bus yad tha apna Khuda
Ghazal teri bhi mujhy ab bandgi si lagti hai

Sub ki rafakat se alag bus tujh ko apna jano main
Teri ada bhi mujhy to berukhi si lagti hai

Do ager piala zeher ka ker lain ge hans ker kabool
Tery hathoon se mily to chashni si lagti hai

Nafrat o Ulfat ki hai jo jang mere nafs main
Khalid tere aaney se ye aashti si lagti hai


Bahut bahut accha likha hai aapne Khalid Sb. Welcome to Yoindia.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #4 on: February 10, 2010, 02:17:57 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Khalid Ji
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #5 on: February 11, 2010, 02:28:44 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley  Applause
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #6 on: February 13, 2010, 05:41:59 PM »
Reply with quote
KYAA KHOOB LIKHAA HAI KHALID SAHAB Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 12:36:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer